Thursday, January 1, 2009

kuch is tarah

Qatal karke mera woh kuch is tarah milta hai

jaise toofan ke baad sannata milta hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

rishtoon...


khoon ke rishtoon se jab pyar na mila
fhir kaun mohabbat ke ristoon par aitbaar kare
jab apno ne saath na diya
begano se saath ki umeed kaun kare!
[written by romil arora - copyright reserved]

khawabon...

khawabon mein raatbhar aakar jagata hai koi
soye hue zakhm jagata hai koi
udaasiyon mein tanha chhod jata hai koi!

#Romil

ख्वाबों में रातभर आकर जगाता है कोई 
सोये हुए ज़ख्म जगाता है कोई
उदासियों में तन्हा छोड़ जाता है कोई...

#रोमिल

manzil...

do kadam chale aur mil gayi manzil
maaza to tab hai jab pairon mein chaale bhi pade!

#Romil

दो कदम चले और मिल गई मंजिल 
मजा तो तब है जब पैरों में छाले भी पड़े... 

#रोमिल

Wednesday, December 31, 2008

beethe yaadon ko bhula mat dena

beethe yaadon ko bhula mat dena
tum mujhe bhula mat dena...
yaad rakhana meri mohabbat,
woh pyar ke pal
tum meri wafaon ko bhula mat dena...
beethe yaadon ko bhula mat dena.
~
saath dekhe the jo sapne humne
ab wahi mere apne hai
tum un sapno ko bhula mat dena...
beethe yaadon ko bhula mat dena.
~
rait par lekhe the jo humne pyar ke vaade
tum us rait ko saagar main bahan mat dena....
beethe yaadon ko bhula mat dena.
~
aaj bhi tere chehare par honge meri ungaliyoon ke nishaan
tum usse apne aansoon se mita mat dena....
beethe yaadon ko bhula mat dena.
~
main hamesha rahunga tere rooh main simat kar
tum apne rooh se mujhe juda kabhi mat hone dena
beethe yaadon ko bhula mat dena.
[written by romil arora - copyright reserved]

Nav Varsha Aaya Hai...

Nai asha, naya ujyala laya hai
Nav Varsha Aaya Hai!
~
Kheton main fhir sona barsega
Naye rojgar ke avsar milenge
Charon taraf vikas hi vikas hoga
Har koi subh mangal jeevan jiyega
Fhir khushali, samridhi, safalta ke din aaye hai
Nav Varsha Aaya Hai!
~
Vishwa kutumb banega
Aatankwad ka naas hoga
Ahinsa ka sandesh jagah-jagah pahuchega
Charon taraf pyar aur sadbhawana ke phool khelenge
Subh Nutan Varsh Aaya Hai!
Nav Varsh Aaya Hai!

#Romil

नई आशा, नया उजाला लाया है 
नव वर्ष आया है...

खेतों में फिर सोना बरसेगा 
नये रोजगार के अवसर मिलेंगे 
चारों तरफ विकास ही विकास होगा 
हर कोई शुभमंगल जीवन जीयेगा
फिर खुशहाली, समृद्धि, सफलता के दिन आए हैं 
नव वर्ष आया है...

 विश्व कुटुंब बनेगा
आतंकवाद का नाश होगा 
अहिंसा का संदेश जगह-जगह पहुंचेगा 
चारों तरफ प्यार और सद्भावना के फूल खिलेंगे 
शुभ नूतन वर्ष आया है ! 

नव वर्ष आया है...

#रोमिल

JoKE..

Romil - Hospital Mein...

Romil ka Bhai - Lady Doctor Se Puchata Hua...
Zara Suno...
Kya Khayal Hai Romil Ke Baare Mein...

Lady Doctor - Iss Khadoos Ke Khayal...
Din Bhar Bhagwan Ke Saath Poore Hospital Ko Galiya Deta Rehta Hai. Abhi To Iski Ek Tang Tooti Hai, Mera Bas Chalta To Iska Sar Bhi Fod Deti...