Thursday, February 26, 2009

Ki main laut kar wapas na aane pau...

Uski yaadon ne yeh kaisa tilism bana rakkha hai Romil 
Ki main khud mein hi khoya-khoya rehta hu...
_________________________
Kitni mohabbat se mujhe wapas bhej rahe hai yeh duniya wale
Ki main laut kar wapas na aane pau Romil,
Itni mohabbat se meri kabr saaja rahe hai yeh duniya wale....
Ki main laut kar wapas na aane pau Romil
[written by romil arora-copyright reserved]

aakhiri khat

"Mera aakhiri khat dekhkar woh ajnabi ro pada hoga Romil
maine usko thik se khuda haafiz bhi nahi likha"

#Romil

मेरा आखिरी खत देखकर वो अजनबी रो पड़ा होगा रोमिल 
मैंने उसको ठीक से खुदा हाफिज भी नहीं लिखा...

#रोमिल

Wednesday, February 25, 2009

aankhein

aankhein meri kisi ke khawab mein khoi hui thi Romil
logon ne socha ki main is duniya se rukhsat ho gaya...

#Romil

आँखे मेरी किसी के ख़्वाब में खोई हुई थी रोमिल
लोगों ने सोचा की मैं इस दुनिया से रुख़सत हो गया...

#रोमिल

kya jawab dunga...

Sochata hoon ki us ajnabi ka naam hatheliyon mein likhwa lu Romil,
Agar yeh hatheli kisi aur ne tham li to us ajnabi ko kya jawab dunga...

#Romil

सोचता हूँ कि उस अजनबी का नाम
हथेलियों में लिखवा लूँ रोमिल,
अगर यह हथेली किसी और ने थाम ली, तो उस अजनबी को क्या जवाब दूंगा...

#रोमिल

khata

Shayad meri khata thi ki woh bewafa ho gayi Romil
kasoor mera tha, fir usko ilzam kyon doon...

#Romil

शायद मेरी खता थी कि वो बेवफा हो गई रोमिल 
कसूर मेरा था, फिर उसको इल्जाम क्यों दूं...

#रोमिल

tadap-tadap kar marr raha hu...

samundar mein doobkar maru
to khushnaseebi hogi Romil
gum to is baat ka hai ki
kinare par pyasa tadap-tadap kar marr raha hu...

#Romil

समुद्र में डूबकर मरूं तो खुशनसीबी होगी रोमिल 
ग़म तो इस बात का है कि किनारे पर प्यासा तड़प-तड़पकर मर रहा हूँ...

#रोमिल

dil se

mehboob ki tasveer banate-banate jawani guzar gai Romil
jab bani to baazar ki ho gai...

महबूब की तस्वीर बनाते-बनाते जवानी गुजर गई रोमिल 
जब बनी तो बाजार की हो गई...
~~~
Is tarah toota hai dil mera mat pucho
ki kanch ko pathar se thoda gaya ho...

इस तरह टूटा है दिल मेरा मत पूछो 
की कांच को पत्थर से तोड़ा गया हो... 

#Romil
#रोमिल