Thursday, February 26, 2009

Wafa...

"jab meri kismat mein mohabbat thi hi nahi
fir khuda ne mujhe dil kyon diya"

जब मेरी किस्मत मोहब्बत थी ही नहीं 
फिर खुदा ने मुझे दिल क्यों दिया...
~~
"Uske andar wafa ki aadat nahi thi 
fir usne bewafai kaise itni wafa se nibha li"

उसके अंदर वफा की आदत नहीं थी 
फिर उसने बेवफाई कैसे अपनी वफा से निभा ली...

#Romil
#रोमिल

Badnaam...

"Bahut aache tarah se jante hai shehar ke log mujhe,
uski aashiqui mein badnaam jo bahut hua hu"

#Romil

बहुत अच्छे से जानते हैं शहर के लोग मुझे, 
उसकी आशिकी में बदनाम जो बहुत हुआ हूँ...

#रोमिल

khuda...

is kadar mujhko na ujado khuda,
ki baad main basana muskil ho jaye...
[written by romi arora-copyright reserved]

aankhon..

aansoo aur mat bahao Romil
aankhon mein yaar ki tasveer hai mit jayegi

#Romil

आंसू और मत बहाओ रोमिल 
आंखों में यार की तस्वीर है मिट जाएगी...

#रोमिल

Waafa...


Beethoon Se Waafa Na Mil Saki To $ultan

Meri Maa Ne Kutta Khareed Liya...

[written by romi arora-copyright reserved]

Goan ke log...


Goan ke log kitne aache hote hain $ultan

Mitti ke ghar, dil sacche hote hain $ultan

Milti hain izzahat, sukh-shanti hoti hain $ultan

Neem ke paidh ki chao main zindagi katati hain $ultan...

[written by romi arora-copyright reserved]

Ki main laut kar wapas na aane pau...

Uski yaadon ne yeh kaisa tilism bana rakkha hai Romil 
Ki main khud mein hi khoya-khoya rehta hu...
_________________________
Kitni mohabbat se mujhe wapas bhej rahe hai yeh duniya wale
Ki main laut kar wapas na aane pau Romil,
Itni mohabbat se meri kabr saaja rahe hai yeh duniya wale....
Ki main laut kar wapas na aane pau Romil
[written by romil arora-copyright reserved]