Tuesday, March 10, 2009

holi ke mausam main...

holi ke mausam mein jab log holi khela karte hai
hum chhat par akele baithe tumko yaad kiya karte hai...
~~~
pani se jab log, ek-dusare ko bhigoya karte hai
hum aansuon se khud ko bhigo liya karte hai...
~~~
rangon se jab log chehare ko ranga karte hai
hum rangon me
in teri tasveer dhundha karte hai...
~~~
jab shaam hoti hai
chand bhi tanha akela hota hai
hum chupe-chupe chhat par baithe
chand sang holi khela karte hai...
~~~
holi ke mausam mein jab log holi khela karte hai
hum chhat par akele baithe tumko yaad kiya karte hai...

#Romil

होली के मौसम में जब लोग होली खेला करते हैं 
हम छत पर अकेले बैठे तुमको याद किया करते हैं... 

पानी से जब लोग एक-दूसरे को भिगोया करते हैं 
हम आंसुओं से खुद को भिगो लिया करते हैं... 

रंगों से जब लोग चेहरे को रंगा करते हैं 
हम रंगों में तेरी तस्वीर ढूंढा करते हैं... 

जब शाम होती है 
चांद भी तन्हा अकेला होता है 
हम छुपे-छुपे छत पर बैठे 
चांद संग होली खेला करते हैं... 

होली के मौसम में जब लोग होली खेला करते हैं 
हम छत पर अकेले बैठे तुमको याद किया करते हैं... 

#रोमिल

holi...

"apne shehar main nafrat ki holi theek nahi romil,
aao hum-tum pyar ke rang se holi khele"

#Romil

अपने शहर में नफरत की होली ठीक नहीं रोमिल 
आओ हम-तुम प्यार के रंग से होली खेले... 

#रोमिल

taash ke patte...


taash ke patte ke tarah
khela hain woh meri zindagi se...
jeeta tab bhi mehfil main chod gaya
haara tab bhi mujhko wahi fhek gaya...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

Monday, March 9, 2009

teri kahani mein mujhe apni kahani dikhai deti hai...

"teri kahani mein mujhe apni kahani dikhai deti hai
aaye dost tu kuch jaani-pehchani dikhai deti hai"
~*~
"daulat jaruri nahi hoti, zindagi ke liye
bahut jaruri hota hai sukoon-chain, zinda rehne ke liye"
[written by Romil Arora - copyright reserved]

woh din aayega jarur....

tarap ne do khud ko
intezaar karne do
mohabbat ka pal ek din aayega jarur...
~
do aansoo behane hai
beh jaane do
aansoo jis din moti banege woh din aayega jarur...
~
haawan ke jhoke jitne bhi gira le mohabbat ke phool
pathjad ke mausam mein bhi phool khilenge woh din aayega jarur...
~
chand ko chahe jitni bhi dushmani ho mere aangan se
mere aangan mein bhi sitare palenge woh din aayega jarur.
[written by Romil Arora - copyright reserved]

mujhe apna bana le tu...

mil to aaise mil
mujhe apna bana le tu
~
main tera hu
mujhe khud main saama le tu
~
yeh aankhen pyasi hain deedar ko teri
meri pyas bhujha de tu
~
rehna nahi hain juda hokar
hum dono ko
yeh rabba ko bata de tu
~
mil to aaise mil
mujhe apna bana le tu
[written by romil arora - copyright reserved]

yeh maano ya na maano tum....

udasiya kabhi chehare par lana nahi
main sada tumhara hu
yeh maano ya na maano tum
~*~
tumse bichard kar bikhar jaata hu
ek mala hai humtum
yeh maano ya na maano tum
~*~
in aansuyon ko na bahao aankhon se
tere aansoo meri jaan le lete hai
yeh maano ya na maano tum
~*~
apne sajde mein rehne do
yeh sar jhuka hai ise jhuka hi rehne do
main tumhare bin nahi jee payunga
yeh maano ya na maano tum
yeh maano ya na maano tum
[written by romil arora - copyright reserved]