Friday, March 13, 2009

sach se rubaru

jala diye the maine sabhi kamyabi ke parche
nakamiyoon ne mujhe itna dard diya tha...
~*~
mann chahta hain ki noch lu sabhi sitare aasman se
meri waafa ki lau kisi ko nahi dikhaiye di thi...
~*~
pathar ka chota sa tukda bhi mujhe toodh jaata tha
sachai ka main aaina tha...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

aansoo...


meri aankhon se jhalak jaate hain teri bewafai ke aansoo
ab inko aankhon main panah nahi de jaati mujhse...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

sitam..

mohabbat-e-gum bahut purana hain
bas haseenao ke sitam dhaane ka andaz badal gaya hain...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

dialouge...

mujhe yeh nahi pata ki meri shaadi kisse hogi
magar main itna jarur janta hu ki mujhe mohabbat kisse karni hain...
~*~
mujhe yeh nahi pata ki woh meri zindagi main aayegi ki nahi
magar main itna jarur janta hu ki main umar bhar uska intezaar kar sakta hu...
~*~
mujhe yeh nahi pata ki mujhe zindagi main kya chahiye
magar main itna jarur janta hu ki mujhe zindagi main kya nahi chahiye...
[written by romil arora - copyright reserved]

mohabbat...

mohabbat karne se darte ho TUM,
na jaane fir kyon mohabbat ko talashte ho TUM
~~~~~~~~~
dhoka khaye logo se mohabbat ka zikr na karna,
jab himmat na ho to mohabbat na karna,
dil behlane ke liye bahut milenge tumko yahan
kabhi kisi wafadar se bewafai mat karna.

#Romil

मोहब्बत करने से डरते हो तुम 
ना जाने फिर क्यों मोहब्बत को तलाशते हो तुम... 

धोखा खाए लोगों से मोहब्बत का जिक्र न करना 
जब हिम्मत ना हो तो मोहब्बत ना करना 
दिल बहलाने के लिए बहुत मिलेंगे तुमको यहां 
कभी किसी वफादार से बेवफाई मत करना... 

#रोमिल

Tuesday, March 10, 2009

badkismati...

kitne saal nikal gaye bina holi khele dost,

aa meri haatoon ki badkismati ko to dekh...

[written by Romil Arora-copyright reserved]

holi ke mausam main...

holi ke mausam mein jab log holi khela karte hai
hum chhat par akele baithe tumko yaad kiya karte hai...
~~~
pani se jab log, ek-dusare ko bhigoya karte hai
hum aansuon se khud ko bhigo liya karte hai...
~~~
rangon se jab log chehare ko ranga karte hai
hum rangon me
in teri tasveer dhundha karte hai...
~~~
jab shaam hoti hai
chand bhi tanha akela hota hai
hum chupe-chupe chhat par baithe
chand sang holi khela karte hai...
~~~
holi ke mausam mein jab log holi khela karte hai
hum chhat par akele baithe tumko yaad kiya karte hai...

#Romil

होली के मौसम में जब लोग होली खेला करते हैं 
हम छत पर अकेले बैठे तुमको याद किया करते हैं... 

पानी से जब लोग एक-दूसरे को भिगोया करते हैं 
हम आंसुओं से खुद को भिगो लिया करते हैं... 

रंगों से जब लोग चेहरे को रंगा करते हैं 
हम रंगों में तेरी तस्वीर ढूंढा करते हैं... 

जब शाम होती है 
चांद भी तन्हा अकेला होता है 
हम छुपे-छुपे छत पर बैठे 
चांद संग होली खेला करते हैं... 

होली के मौसम में जब लोग होली खेला करते हैं 
हम छत पर अकेले बैठे तुमको याद किया करते हैं... 

#रोमिल