Friday, March 13, 2009

magar dua teri kamyab ho gayi...

tumse durr rehne ka kaam bahut mushkil tha
magar dua teri kamyab ho gayi...
~~~
woh mohabbat bhi kya mohabbat thi,
jisme nazdikiyon ke saath deewarein bhi thi,
tumko pass dekh kar, durr rehna bahut mushkil tha
magar dua teri kamyab ho gayi...
~~~
mohabbat tum thi meri
ibadat tum thi meri
bandagi tum thi meri
tumhare siva kisi aur ki bandagi karna mushkil tha
magar dua teri kamyab ho gayi...

#Romil

तुमसे दूर रहने का काम बहुत मुश्किल था 
मगर दुआ तेरी कामयाब हो गई... 

वो मोहब्बत भी क्या मोहब्बत थी 
जिसमें नज़दीकियों के साथ दीवारें भी थी 
तुमको पास देखकर दूर रहना बहुत मुश्किल था 
मगर दुआ तेरी कामयाब हो गई... 

मोहब्बत तुम थी मेरी 
इबादत तुम थी मेरी 
बंदगी तुम थी मेरी
तुम्हारे सिवा किसी और की बंदगी करना मुश्किल था 
मगर दुआ तुम्हारी कामयाब हो गई... 

#रोमिल

sach se rubaru

jala diye the maine sabhi kamyabi ke parche
nakamiyoon ne mujhe itna dard diya tha...
~*~
mann chahta hain ki noch lu sabhi sitare aasman se
meri waafa ki lau kisi ko nahi dikhaiye di thi...
~*~
pathar ka chota sa tukda bhi mujhe toodh jaata tha
sachai ka main aaina tha...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

aansoo...


meri aankhon se jhalak jaate hain teri bewafai ke aansoo
ab inko aankhon main panah nahi de jaati mujhse...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

sitam..

mohabbat-e-gum bahut purana hain
bas haseenao ke sitam dhaane ka andaz badal gaya hain...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

dialouge...

mujhe yeh nahi pata ki meri shaadi kisse hogi
magar main itna jarur janta hu ki mujhe mohabbat kisse karni hain...
~*~
mujhe yeh nahi pata ki woh meri zindagi main aayegi ki nahi
magar main itna jarur janta hu ki main umar bhar uska intezaar kar sakta hu...
~*~
mujhe yeh nahi pata ki mujhe zindagi main kya chahiye
magar main itna jarur janta hu ki mujhe zindagi main kya nahi chahiye...
[written by romil arora - copyright reserved]

mohabbat...

mohabbat karne se darte ho TUM,
na jaane fir kyon mohabbat ko talashte ho TUM
~~~~~~~~~
dhoka khaye logo se mohabbat ka zikr na karna,
jab himmat na ho to mohabbat na karna,
dil behlane ke liye bahut milenge tumko yahan
kabhi kisi wafadar se bewafai mat karna.

#Romil

मोहब्बत करने से डरते हो तुम 
ना जाने फिर क्यों मोहब्बत को तलाशते हो तुम... 

धोखा खाए लोगों से मोहब्बत का जिक्र न करना 
जब हिम्मत ना हो तो मोहब्बत ना करना 
दिल बहलाने के लिए बहुत मिलेंगे तुमको यहां 
कभी किसी वफादार से बेवफाई मत करना... 

#रोमिल

Tuesday, March 10, 2009

badkismati...

kitne saal nikal gaye bina holi khele dost,

aa meri haatoon ki badkismati ko to dekh...

[written by Romil Arora-copyright reserved]