mausam rangeen
shama bhi hain suhana
dil main hain dard bhara
hoonton par bas tera hi afsaana...
~
kisse kahe dard apna
har koiye to hain yahaan begana...
manzile hain juda-juda
fhir bhi begano sang hain chalte jaana...
~
na koiye shikwa-gila
na koiye ab kissa hain batana
bas mujhe akele hi chalte jaana...
mausam rangeen
shama bhi hain suhana
dil main hain dard bhara
hoonton par bas tera hi afsaana...
[written by Romil Arora-copyright reserved]
All my posts dedicated to My Rab NaaZ... Bas is tarah mohabbat ki namazein ada kar leta hun, naam NaaZ ka zameen pe likh sajda kar leta hoon... Written By ROMIL.COPYRIGHT RESERVED to http://www.sunny-raj.blogspot.com and writer!
Friday, March 20, 2009
shaam...
"shaam ka kaisa khumaar chaaya hain
aaisa lagta hain har taraf tera hi saaya hain"
~*~
"dhundhala-dhundhala yeh mausam kyon hain
chand par yeh kisne parda daala hain"
[written by Romil Arora-copyright reserved]
aacha hota....
"kuch keh kar jaati to aacha hota
do-char ilzaam lagati to aacha hota
main intezaar nahi karta rehta uska
agar woh bewafa keh kar jaati to aacha hota"
[written by Romil Arora-copyright reserved]
bin maange
duaon ke baad bhi nahi milta kisi ko koi Romil,
koi bin maange hi pa jata hai jaanat-e-jahan!
#Romil
दुआओं के बाद भी नहीं मिलता किसी को कोई रोमिल
कोई बिन मांगे ही पा जाता है जन्नत-ए-जहां!
#रोमिल
Wednesday, March 18, 2009
kaisa mazaak yeh zindagi mere saath karti hai...
kaisa mazak yeh zindagi mere saath karti hai
"banakar roshan lau, hawa tez kar deti hai"
#Romil
कैसा मजाक यह जिंदगी मेरे साथ करती है
बनाकर रोशन लौ, हवा तेज कर देती है...
#रोमिल
Monday, March 16, 2009
faqr
unko gumaan hain apni daulat par
humko faqr hain apni mohabbat par!
[written by Romil Arora-copyright reserved]
minnat aur mannat
kya rakha hai aaisi pal do pal ki zindagi mein Romil
Jo minnat aur mannat par teeki hai...
Jo minnat aur mannat par teeki hai...
[written by Romil Arora-copyright reserved]
Subscribe to:
Posts (Atom)