Tuesday, March 24, 2009

Yakeen...

Yakeen nahi hai use teri ibadat par Romil
Jiski zindagi ki dua tu har roz Khuda se mangata hai!

#Romil

यक़ीन नहीं है उसे तेरी इबादत पर रोमिल
जिसकी ज़िन्दगी की दुआ तू हर रोज ख़ुदा से मांगता हैं...

#रोमिल

marne ke baad...

marne ke baad apni mazaar mere naam likh jana
main use apna aashiyana bana lunga...

#Romil

मरने के बाद अपनी मजार मेरे नाम लिख जाना 
मैं उसे अपना आशियाना बना लूंगा... 

#रोमिल

dua-e-umar

apne rabb se main fhir maang raha hu uski dua-e-umar

jisne mujhe mohabbat sheekhaye thi...

jisne mujhe bandagi sheekhaye thi...

[written by romil arora - copyright reserved]

dua kar raha hu...

tere har aarzoo main puri kar raha hu

tere sang apna naam fhir likh raha hu!

~*~

muddat hue tujhe apna kahe hue

le mere humdum aaj main tujhe apna likh raha hu!

~*~

nahi tha naseeb main tu mera, is baat ka khuda se koiye gila nahi

tu bas hamesha khush rahe, yeh fariyaad kar raha hu!

~*~

zindagi jee-jee kar bhi roz main maara ja raha hu

tujhe sau saalon ki umar lage yeh dua kar raha hu!

[written by romil arora - copyright reserved]

mubarak ho tujhe...

naye zindagi
naya safar
mubarak ho tujhe...
zamane ki har khushi mubarak ho tujhe...
~*~
kaanton ki seej ho mere liye
phoolon ka palang mubarak ho tujhe...
~*~
hum mil jaye mitti main
aasman ki uchahaiyoon mubarak ho tujhe...
~*~
naye zindagi,
naya safar
mubarak ho tujhe...
zamane ki har khushi mubarak ho tujhe...

[written by romil arora - copyright reserved]

naazar aata hain...

ab to yeh shehar maatam ka shehar naazar aata hain
har taraf chitta jalti ho
har koiye murda naazar aata hain...
~*~
na insaniyat hain kahi
na koiye aapna hain
na kahi khuda naazar aata hain...
~*~
ab to yeh shehar maatam ka shehar naazar aata hain
[written by Romil Arora - copyright reserved]

chal diye tum...

kehte the tere saath zamana jiyenge hum
khud zamane ko chhod kar chal diye tum...
[written by romil - copyright reserved]