Thursday, May 21, 2009

tum

meri kabr par jab aana tum
aansoo mat bahana tum
dekh kar chand ko muskurana tum
bhari mehfil main tanha mat rehna
doston ke saath gungunana tum
jeena apni zindagi maire zindagi samaj kar
har pal khushi manana tum
main har kadam saaya ban kar tumhare saath rahunga
kabhi khud ko akela mat samajhana tum...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, May 20, 2009

jo chala gaya woh chala gaya...

jo chala gaya woh chala gaya...laut kar nahi woh aane wala...
tum kyon apne aaksh bheeghoti ho...jo chala gaya woh chala gaya...
~*~
naye zindagi ko tumhara intezaar hain
naye sapne bunne ke liye dil beqarar hain
naye bandhan banne ke liye taiyaar hain
jo chala gaya woh chala gaya...laut kar nahi woh aane wala...
tum kyon apne aaksh bheeghoti ho...jo chala gaya woh chala gaya...
~*~
jo nahi tha naseeb main woh nahi mila
tujhe jo mila usse main zindagi beeta
jo chala gaya woh chala gaya...laut kar nahi woh aane wala...
tum kyon apne aaksh bheeghoti ho...jo chala gaya woh chala gaya...
~*~
purani baaton ko yaad karke na dukh maana
na khud ko tanhaiyoon ka libaas pehna
jo chala gaya woh chala gaya...laut kar nahi woh aane wala...
tum kyon apna aaksh bheeghoti ho...jo chala gaya woh chala gaya...
~*~
zaaraa sa to khawab tha jo guzar gaya
ab na khawabon ko apna baana
jo chala gaya woh chala gaya...laut kar nahi woh aane wala...
tum kyon apna aaksh bheeghoti ho...jo chala gaya woh chala gaya...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, May 18, 2009

nahi bhule...

Hum aaj bhi aankhen ladana nahi bhule
Aashiqui ka zamana nahi bhule...
~*~
Tum rukh se naqaab mat hatana
Hum aaj bhi behoshi ka aalam nahi bhule...
~*~
Ek umar hue tumko apni baahon mein bhare hue
Hum aaj bhi aag mein jalna nahi bhule...
~*~
Yeh baat alag hai, tum ab mere nahi ho
Hum aaj bhi teri tasveer banana nahi bhule...

#Romil

हम आज भी आंखें लड़ाना नहीं भूले 
आशिकी का जमाना नहीं भूले... 

तुम रुख से नकाब मत हटाना 
हम आज भी बेहोशी का आलम नहीं भूले... 

एक उम्र हुए तुमको अपनी बाहों में भरे हुए 
हम आज भी आग में जलना नहीं भूले... 

यह बात अलग है, तुम अब मेरे नहीं हो 
हम आज भी तेरी तस्वीर बनाना नहीं भूले...

#रोमिल

Sunday, May 17, 2009

Jawab-e-Shayari...

"yeh sach hai uski aankhon mein, main chupa rehta hu
magar yeh aur baat hai main usse nazre milane se darta hu..."
===
"mujhe rimjhim barsaat pasand hai
isliye woh pagli dhoop mein haste-haste roo padti thi..."
===
"nahi hai mujhe hosh kisi bhi baat ka
main teri aankhon mein iss tarah khoya rehta hu"

#Romil

यह सच है उसकी आंखों में, मैं छुपा रहता हूं 
मगर यह और बात है मैं उससे नज़रें मिलाने से डरता हूं... 

मुझे रिमझिम बरसात पसंद है 
इसलिए वो पगली धूप में हंसते-हंसते रो पड़ती है... 

नहीं है मुझे होश किसी भी बात का 
मैं तेरी आंखों में इस तरह खोया रहता हूं...

#रोमिल

tu chahe jitni bhi...

tu chahe jitni bhi aandhiya chala de
main mohabbat ka diya jala kar rahunga....
==**==
tu chahe jitna bhi toofan khade kar de
main mohabbat ki naav paar karke rahunga....
==**==
tu chahe jitni bhi bijliyaa gira de
main mohabbat ka aashiana bana kar rahunga....
==**==
tu chahe jitni bhi nafrat uske dil main paida kar le
main uske mann main mohabbat jaaga kar rahunga...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, May 16, 2009

nadaan-e-dil...

nadaan-e-dil tu kyon uska khayal baar-baar lata hai...
jo juda hua woh kab apna tha yeh to mujhe bata...

#Romil

नादान-ए-दिल तू क्यों उसका ख्याल बार-बार लाता है... 
जो जुड़ा हुआ वो कब अपना था यह तो मुझे बता...

#रोमिल

dastak..

raat bhar darwaze par dastak deta raha koi
main samjha mehboob hai, magar koi aur nahi woh to pagal hawa thi...

#Romil

रात भर दरवाजे पर दस्तक देता रहा कोई 
मैं समझा महबूब है, मगर कोई और नहीं वो तो पागल हवा थी...

#रोमिल