Thursday, September 17, 2009

har musafir ka...

har musafir ka aashiana nahi hota
pathar kisi ka khuda nahi hota...
~*~
ujadh jaati hain bastiya chand paloon main
toofan kisi ka humdard nahi hota...
~*~
beet jaati hain jawani doston main
bhudhape ka koiye saathi nahi hota...
~*~
zakhm dekhane hain jo mere dil main jhakho
chehare se apna haal-e-bayaan nahi hota...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, September 16, 2009

yeh zindagi nahi...

yeh zindagi nahi saaza hain
na jaane kya hui khata hain...
~*~
aadarsh-sansar ki uddha rahi dhajiya hain
chandi-sone ke sikke main band gaya insaan hain...
~*~
sach andhere main chala gaya hain
jhoot aur kapat badh raha ujala hain...
~*~
jurm-atyachar ka fhela samraj hain
na jaane khuda kahan chup gaya hain...

#Romil

यह जिंदगी नहीं सजा है 
ना जाने क्या हुई खता है... 

आदर्श-संस्कार की उड़ रही धज्जियां है 
चांदी-सोने के सिक्के में बंद इंसान है... 

सच अंधेरे में चला गया है 
झूठ और कपट बढ़ रहा उजाला है... 

जुर्म-अत्याचार का फैला साम्राज्य है 
ना जाने खुदा कहां छुप गया है...

#रोमिल

wajah-e-tanhai

yaadon mein chirag-e-dil jalta raha sari raat
hum wajah-e-tanhai kisi ko bata na sake...
~*~
faisala-e-ishq humko manzoor tha unka
hum toote hue khawab kisi ko dikha na sake....
~*~
daman-e-yaar ki aarzoo thi apni
hum jala hua haat chhupa na sake...
~*~
aarzoo thi ki unki nazron ke noor bane
hum apne aansoo bahane se bacha na sake...
~*~
yaadon mein chirag-e-dil jalta raha sari raat
hum wajah-e-tanhai kisi ko bata na sake...

#Romil

यादों में चिराग-ए-दिल जलता रहा सारी रात 
हम वजह-ए-तन्हाई किसी को बता ना सके... 

फैसला-ए-इश्क तुमको मंजूर था उनका 
हम टूटे हुए ख्वाब किसी को दिखा ना सके... 

दामन-ए-यार की आरजू थी अपनी 
हम जला हुआ हाथ छुपा ना सके...

आरजू थी कि उनकी नजरों के नूर बने 
हम अपने आंसू बहाने से बचा ना सकें...

यादों में चिराग-ए-दिल जलता रहा सारी रात 
हम वजह-ए-तन्हाई किसी को बता ना सके...

#रोमिल

Monday, September 14, 2009

naqaab...

naqaab hata do re zara
yeh sharm-o-haya hata do re zara
nazron se dil jalne do re zara
chirag-o-aftaab jalne do re zara
tera dar chodkar jaun kahan
abhi do ghadi dil ko behlane do re zara.

#Romil

नकाब हटा दो रे जरा 
यह शर्म-ओ-हया हटा दो रे जरा 
नजरों से दिल जलने दो रे जरा 
चिराग़-ओ-आफताब जलने दो रे जरा 
तेरा दर छोड़कर जाऊं कहां 
अभी दो घड़ी दिल को बहलाने दो रे जरा... 

#रोमिल

~anjaane main~

khushboo se mehak gaye dil-e-aashianaye main
ek purana khat pada anjaane main...
~*~
jin zakhamo ko waqt bhar chala tha
woh cheedh gaye anjaane main...
~*~
aankhon main naami thi, haansi thi hoonton par
kitne khawab machal rahe the anjaane main...
~*~
ta-umar dhoondhate rahe ishq duniya main
veeraniya mili khaton main hume anjaane main...
~*~
khushboo se mehak gaye dil-e-aashianaye main
ek purana khat pada anjaane main...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, September 12, 2009

main jaanu na...

tera dil maine thoda
tujhe tanha maine chod
kyon taraf raha hain mera dil
main jaanu na
main jaanu na
oh sanam main jaanu na
main jaanu na...
________
tu hain mere dil ki khushi
tu hain mere hoonton ki haansi
kyon gire hain aankhon se aansoo mere
main jaanu na
main jaanu na
oh sanam main jaanu na
main jaanu na...

[written by romil arora - copyright reserved]

tab bhi lagte ho kitne pass tum!

jab nahi hote pass
tab bhi lagte ho kitne pass tum!
~
mujhme chhupe ko dhadkan ki tarah
aaina dekhu to dekhe chhupe chehare ki tarah
aankhon mein band khawabon ki tarah
jab nahi hote pass
tab bhi lagte ho kitne pass tum!
~
barish ki har boond mein tum
phoolon ki har khushboo mein tum
suraj ki har kiran mein tum
jab nahi hote pass
tab bhi lagte ho kitne pass tum!

#Romil

जब नहीं होते पास 
तब भी लगते हो कितने पास तुम! 

मुझमें छुपे हो धड़कन की तरह 
आईना देखूँ तो दिखे छुपे चेहरे की तरह 
आंखों में बंद ख्वाबों की तरह 
जब नहीं होते पास 
तब भी लगते हो कितने पास तुम! 

बारिश की हर बूंद में तुम 
फूलों की हर खुशबू में तुम 
सूरज की हर किरण में तुम
जब नहीं होते पास 
तब भी लगते हो कितने पास तुम!

#रोमिल