Tuesday, September 22, 2009

anjaam-e-mohabbat

humko maloom tha apna anjaam-e-mohabbat
isliye humne pehle hi uska saath chod diya!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tanhai

bachpan se main tanhai mein raha hu Romil
mere janaze par bheed nahi honi chahiye.

#Romil

बचपन से मैं तन्हाई में रहा हूं रोमिल 
मेरे जनाजे पर भीड़ नहीं होनी चाहिए. 

#रोमिल

Monday, September 21, 2009

khamoshi se bewafai ka gumaan hota hai...

zehar hi sahi kuch to bolkar juda hua karo romil
khamoshi se bewafai ka gumaan hota hai!

#Romil

ज़हर ही सही कुछ तो बोलकर जुदा हुआ करो रोमिल 
खामोशी से बेवफ़ाई का गुमान होता है!

#रोमिल

~khuda haafiz~

juda hone ka saleeqa bhi nahi seekha usne romil
jaate-jaate khuda haafiz to keh jaata!
[written by romil arora - copyright reserved]

jiski khushiyon ke liye hum fariyad karte rehte hai

jiski khushiyon ke liye hum fariyad karte rehte hain romil
woh shaks mujhe baar-baar rulata hain!
[written by romil arora - copyright reserved]

waafa

wafa ka koi matlab humko samjha de romil
naam to bahut suna hai wafa ka!

#Romil

वफ़ा का कोई मतलब हमको समझा दे रोमिल
नाम तो बहुत सुना है वफ़ा का...

#रोमिल

pathar

jis pathar ko hum apna khuda kehte the
ussi pathar se humko zakhmi kiya gaya hain romil
[written by romil arora - copyright reserved]