Friday, November 13, 2009

Raat bhar so na saka main, tere aane ke intezaar mein raha main...

raat bhar so na saka main
tere aane ke intezaar mein raha main...
~*~
jab dikha nahi mujhe chand
ghane badalo ko dekh ro paada main...
~*~
yun hi tadapta raha
bebas rota raha
rab se shikayat karta raha
kyon usse juda hua main...
~*~
yun to zinda hu
saansein le raha hu 
muskura bhi raha hu
teri judai se mann hi mann jaale ja raha hu main...
~*~
ek baar kareeb aakar to dekh
tere bagair
main nahi hu main...

#Romil

रात भर सो ना सका मैं 
तेरे आने के इंतजार में रहा मैं...

जब दिखा नहीं मुझे चांद 
घने बादलों को देख रो पड़ा मैं...

यूं ही तड़पता रहा 
बेबस रोता रहा 
रब से शिकायत करता रहा 
क्यों उससे जुदा हुआ मैं...

यूं तो जिंदा हूं 
साँसे ले रहा हूं 
मुस्कुरा भी रहा हूं 
तेरी जुदाई से मन ही मन जले जा रहा हूं मैं... 

एक बार करीब आकर तो देख 
तेरे बगैर 
मैं नहीं हूं मैं... 

#रोमिल

tujhse milna...

dil to chahata hai har pal tujhse milna
tere pass waqt na ho
hum to sochate hai har pal tujhse milna...
~*~
tujhe na yaad ho mere haathon ko pakad kar
raah mein chalna
mera haath to chahta hai ab bhi tujhse milna...
~*~
kadam thak chuke hai chalte-chalte
ab tanha chala nahi ja raha hai mujhse
fir bhi kadam chahte hai tujhse milna...
~*~
tumhein na sunai de yeh dil-e-aawaz meri
magar yeh saansein kehti hai 
mujhe tujhse milna...
mujhe tujhse milna...

#Romil

दिल तो चाहता है हर पल तुझसे मिलना 
तेरे पास वक़्त ना हो 
हम तो सोचते हैं हर पल तुझसे मिलना... 

तुझे ना याद हो मेरे हाथों को पकड़कर राह में चलना 
मेरा हाथ तो चाहता है अब भी तुझसे मिलना... 

कदम थक चुके हैं चलते-चलते 
अब तन्हा चला नहीं जा रहा है मुझसे 
फिर भी कदम चाहते हैं तुझसे मिलना... 

तुम्हें ना सुनाई दे यह दिल-ए-आवाज मेरी 
मगर यह सांसें कहती है 
मुझे तुमसे मिलना 
मुझे तुझसे मिलना...

#रोमिल

Thursday, November 12, 2009

kab ka marr chuka hu...

meri saanson ko chalta dekh yeh na samaj main zinda hu
kareeb aakar dekh main kab ka marr chuka hu...

#Romil

मेरी सांसों को चलता देख यह ना समझ मैं जिंदा हूं 
करीब आकर देख मैं कब का मर चुका हूं... 

#रोमिल

aarzoo thi meri tujhe apne haanton se dulhan banau...


aarzoo thi ki tujhe apne haanton se dulhan banau
supurd karke kisi farishtee ke
main teri yaadon main zindagi bitau...
~*~
bicha kar gulabo main dosti-e-wajood
main toote hue dil ke kaantein apne saath le jau...
~*~
roshani se saaji rahe teri mehfil
main andheron main kahi kho jau...
~*~
tujhse judai ka gum main apni aankhon main chupau
aansoo ko dil main rakhu, hoonton se muskurao...
~*~
naaz...aarzoo thi meri tujhe apne haanton se dulhan banau...
[written by romil arora - copyright reserved] 

Wednesday, November 11, 2009

rab se keh do...

rab se keh do mere gunahon ko maaf kar de
mujhe jannat mein jagah de de...
mera dost hai wahan
uska saath mujhe de de...

#Romil

रब से कह दो मेरे गुनाहों को माफ कर दें
मुझे जन्नत में जगह दे दे...
मेरा दोस्त है वहाँ
उसका साथ मुझे दे दें...

#रोमिल

tere liye...

tujhse mulaqat fir hogi
yeh umeed hi kaafi hai mere jeene ke liye...
~*~
teri tasveer na ho mere pass
tera naam ki kaafi hai, teri bandagi ke liye...
~*~
tujhe na ho meri baaton se lagan-laagi
main tujhse karta hu baatein apni khushi ke liye...
~*~
na ho jannat mein jagah mere liye
main saadiyon tak karta rahunga tera intezaar apne liye...

#Romil

तुझसे मुलाकात फिर होगी 
यह उम्मीद काफी है मेरे जीने के लिए... 

तेरी तस्वीर ना हो मेरे पास 
तेरा नाम ही काफी है, तेरी बंदगी के लिए... 

तुझे ना हो मेरी बातों से लगन-लगी 
मैं तुझसे करता हूं बातें अपनी खुशी के लिए... 

ना हो जन्नत में जगह मेरे लिए 
मैं सदियों तक करता रहूंगा तेरा इंतजार अपने लिए...

#रोमिल

Tuesday, November 10, 2009

kabhi na bhool payega...


dil kehta hain yeh dosti ka silsila yuhi chalta jayega
mujhse aaye dost tu juda hokar kahan jayega...
*
main apni yaadon se chiraag jalata jayunga
dekhata hu rabb waqt ki aandhiya kab tak chalayega...
*
mujhe yakeen hain tu ek din laut kar jarur aayega
meri suni zindagi main fhir khushiyoon ka phool khelayega
*
har pal yeh saansein yuhi tujhko pukarati jayegi
kab tak meri aawaz ko tu ansuni karta jayega...
*
yeh aankhein chahe band ho jaye
yeh jubaan na fhir kabhi bol paye
yeh saansein chahe tham jaye
magar yeh mann kabhi tujhko na bhool payega
aaye meri naaz teri wafaon ko kabhi na bhool payega...
[written by romil arora - copyright reserved]