Wednesday, December 2, 2009

teri ibadat ke liye...

na daulat, na mohabbat ke liye
main zinda hu teri ibadat ke liye...
***
har koi jee raha hai yahan sirf apni aarzoo ke liye
main zinda hu tera khawab poora karne ke liye...
***
Hasinao se mohabbat ki thi maine
unke noor mein tera noor dekhne ke liye...
***
waqt ke saath-saath chalta rehta hu
har gum par bhi muskurata hu
sirf teri khushi ke liye...
***
main zinda hu teri ibadat ke liye...

#Romil

ना दौलत ना मोहब्बत के लिए 
मैं जिंदा हूं तेरी इबादत के लिए... 

हर कोई जी रहा है यहां सिर्फ अपनी आरजू के लिए 
मैं जिंदा हूं तेरा ख्वाब पूरा करने के लिए... 

हसीनाओं से मोहब्बत की थी मैंने 
उनके नूर में तेरा नूर देखने के लिए... 

वक्त के साथ-साथ चलता रहता हूं 
हर गम पर भी मुस्कुराता हूं 
सिर्फ तेरी खुशी के लिए... 

मैं जिंदा हूं तेरी इबादत के लिए...

#रोमिल

Tuesday, December 1, 2009

sab ek se hain...

sab ek se hain NAAZ...
kya GUNN
kya SHEE
ek sa dard...
ek sa dhoka...
ek sa mujhe tanha chod dena...
ek sa meri bebasi par muskurana...
***
NAAZ tere jaise hi waafadaar hai teri kabr...
choote-choote paudhey lagau to phool khila daite hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, November 30, 2009

Hum ussi din samaj gaye the....


Hum ussi din samaj gaye the "NAAZ"
Jis din "GUNN" ne humse ucchi aawaz main baat ki thi...
Meri saari umeed khaakh ki thi...
Jiske shabdon main rehti thi hamesha mithas
Uske shabdon main karwahat thi...
Meri mohabbat-e-basti barbaad thi..
~*~
Hum ussi din samaj gaye the "NAAZ"
Jis din "SHEE" ne kisi gair se mulaqat ki thi...
tez haawaon main meri jazbaat ki dhajiya ujaad di thi...
~*~
Ro diye hum dekh kar tera bhi mizaz "NAAZ"
tune bhi rabb ki suni
mere ehsaaso ki na tujhe koiye fikar thi...
na mere khawabon ki koiye aehimiyat thi...
[written by romil arora - copyright reserved]

jis tarah...

Woh humko dekh kar muskuraye is tarah
Jaise koi purani kitaab mein dilchasp shayari padi ho jis tarah...
***
fir humko dekha ehsaas ki nazron se
thoda sa muskuraye
thoda sa lab hilaye
aur haans kar chal diye
jaise anjaan se milta ho koi anjaan jis tarah...
***
hum sochate rahe
aakhir apni jaan-pehchan kaise hai
fir yaad aaya
hum to unki purani kitab hai
jo kisi almaari (almirah) mein padi rehti ho jis tarah...
purani kitab mein likhi ho shayari jis tarah... 

#Romil

वो हमको देखकर मुस्कुराये इस तरह 
जैसे कोई पुरानी किताब में दिलचस्प शायरी पढ़ी हो जिस तरह... 

फिर हमको देखा एहसास की नजरों से 
थोड़ा सा मुस्कुराए 
थोड़ा सा लब हिलाए 
और हंस कर चल दिए 
जैसे अनजान से मिलता हो कोई अनजान जिस तरह...

हम सोचते रहे 
आखिर अपनी जान-पहचान कैसे हैं 
फिर याद आया 
हम तो उनकी पुरानी किताब है 
जो किसी अलमारी में पड़ी रहती हो जिस तरह... 
पुरानी किताब में लिखी हो शायरी जिस तरह...

#रोमिल

Saturday, November 28, 2009

mohabbaton ka beeta hua...

mohabbaton ka beeta hua pal aacha tha
pyasi dharti par boondon ka girna aacha tha...
***
meri zindagi main pal bhar ke liye hi tha saath uska
fhir bhi uska ka aana aacha tha...
***
main janta tha woh mera saath kabhi nahi degi
fir bhi saari-saari raat uske liye jagna aacha tha...
***
Uske jaise farishtey ka fir dharti par aana, mumkin na tha
fir bhi usko paane ki dhun mein pagalon sa roz firna aacha tha...

#Romil

मुहब्बतों का बीता हुआ पल अच्छा था
प्यासी धरती पर बूंदों का गिरना अच्छा था...
***
मेरी ज़िन्दगी में पल भर के लिए ही था साथ उसका
फिर भी उसका आना अच्छा था...
***
मैं जानता था वो मेरा साथ कभी नहीं देगी
फिर भी सारी-सारी रात उसके लिए जागना अच्छा था...
***
उस जैसे फ़रिश्ते का फिर धरती पर आना, मुमकिन न था
फिर भी "रोमिल" उसको पाने की धुन में पागलों सा रोज़ फिरना अच्छा था...

#रोमिल

Friday, November 27, 2009

yaadon ke ghar...

jab bhi yaadon ke ghar se guzarata hu
zuban par aa jata hain naam tera...
***
har pal teri hi umeed main khoya rehta hu
kisse puchu, kaun batayega kya hain haal-e-dil tera...
***
woh zamana, woh mohabbat bahut yaad aati hain
"SHEE" meri baaton main raat bhar jagana tera...
***
zamane ki khaak channe ke baad mili thi manzil mujhko
"GUNN" mere khatoon ko padh kar muskurana tera...
***
apni qismat par naaz karta tha
naseeb ko chuum liya karta tha
"NAAZ" mujhe jab apna kehna tera...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, November 26, 2009

haal-e-dil

Chalte-Chalte raston mein "NAAZ" ke khayalo mein kho jana
aur khud se hi apna haal-e-dil kehna...
***
Yaad hai mujhe "GUNN" ka roz khat likhna
aur khat mein haal-e-dil kehna...
***
Mujhse "SHEE" ka raat bhar phone par baatein karna
aur baaton mein haal-e-dil kehna...
***
Kho diya hai tune "ROMIL" mohabbat-e-rab "NaaZ"
Ab kisse haal-e-dil sunna
Ab kaisa haal-e-dil kehna...
[written by romil arora - copyright reserved]