Tuesday, February 2, 2010

~ada~

Kyon pareshan hote ho Romil
Jo saahil par aakar usne saath chod diya tumhara
Tumhi to kehte the uski har ada mashallah hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

MOHABBAT-E-SAAGAR

LOG KEHTE HAIN WOH MOHABBAT-E-SAAGAR HAIN ROMIL
MAGAR USNE APNE DARR SE HUMKO PYASA HI LAUTA DIYA...
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

dil ki basti...

Badi mehnat se basai hai maine dil ki basti Romil
Itna asaan nahi hota barbaad hokar abad hona...

#Romil

बड़ी मेहनत से बसाई है मैंने दिल की बस्ती रोमिल
इतना आसान नहीं होता बर्बाद होकर आबाद होना...

#रोमिल

Monday, February 1, 2010

waafa

woh meri waafa dekh kar hans kar bola Romil
ek aur aa gaya qurbaan hone...
***
unki galiyoon main yeh soch kar hum chale jaate hain Romil
gulab nahi to pathar marane ke bahane hi woh khidki main aayenge aur unke chand se chehara ka deedar humko ho jayega...
[written by romil arora - copyright reserved]

HAMARI MOHABBAT MEIN...

HAMARI MOHABBAT MEIN WOH PATHAR SE HEERA BAN GAYE ROMIL
ITNI KEEMATI BEEKE KI HUM USKO KHAREED NA SAKE...

#ROMIL

हमारी मुहब्बत में वो पत्थर से हीरा बन गए रोमिल 
इतनी कीमती बिके की हम उसको खरीद ना सके...

#रोमिल

Woh

Woh mile to kaise mile humko Romil
cheezh to woh rabb ko bhi itni pyari hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

kitno ko aur barbaad karogi...

aur kitno ko meri jaan barbaad karogi
yeh mohabbat ka khel kitno ke saath khelogi...
taras nahi aata tumko in masoom se dilo par
kitno ko aur naapak karogi...
*
kya yeh dil ka dard tumko kabhi nahi hota
kisi ki yaad main tumhara aansoo nahi behata
kab tak yunhi husn se qatal-e-aam karogi
kitno ko aur barbaad karogi...
[written by romil arora - copyright reserved]