Tuesday, February 16, 2010

MAIN JISSE RISHTA TOODATA HU ...

MAIN JISSE RISHTA TOODATA HU TO TOODH DETA HU
MAIN JISKA SAATH CHODATA HU TO CHHOD DETA HU
HAIN MERI NAFRAT MEIN BHI ITNI IMANDARI ROMIL
MAIN JISSE NAFRAT KARTA HU, POORI SHIDDAT KE SAATH KARTA HU!
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, February 15, 2010

Rab-e-Mitr

Rab mere khawabon ki duniya
teri haqiqat ki duniya se kahi aachi hai...
*
Rab meri Rab-e-Mitr
tere mitti ke khilauno se kahi aachi hai...
*
Rab kya seekhayegi teri kitab mujhe zindagi jeena
Mere Rab-e-Mitr ki hidayat teri kitab se kahi aachi hai... 

#Romil

रब मेरे ख्वाबों की दुनिया 
तेरी हकीकत की दुनिया से कई अच्छी है... 

रब मेरी रब-ए-मित्र
तेरे मिट्टी के खिलौने से कई अच्छी है... 

रब क्या सिखाएगा तेरी किताब मुझे जिंदगी जीना 
मेरे रब-ए-मित्र की हिदायत तेरी किताब से कई अच्छी है...

#रोमिल

nafrat ke aabshaar ban gaye...

Jab-Jab dekha chand ko
Aankhon se girkar aansoo daaman main sitare ban gaye...
***
Aaisa toota hain dil mera
Saagar bheekhar kar katara-katara ban gaye...
***
Jab-Jab kahi humne unki khushi ki baat
Lafz mere khud-ba-khud dua ban gaye...
***
Hum to mohabbat ke aabshaar the Romil
Unse kya mile nafrat ke aabshaar ban gaye...

#Romil

जब-जब देखा चांद को 
आंखों से गिरकर आंसू दामन में सितारे बन गए...

ऐसा टूटा है दिल मेरा 
सागर बिखरकर कतरा-कतरा बन गए...

जब-जब कहीं हमने उनकी खुशी की बात 
लब मेरे खुद-बा-खुद दुआ बन गए...

हम तो मोहब्बत के आबशार थे रोमिल 
उनसे क्या मिले नफरत के आबशार बन गए...

#रोमिल

reham-o-dil nazre

Uski reham-o-dil nazre dekh kar main mud gaya tooti hui jhopadi ki taraf Romil
Jab mere saamne mehfil-e-shehar tha!

#Romil

उसकी रहम-ओ-दिल नज़रे देखकर मैं मुड़ गया टूटी हुई झोपड़ी की तरफ़ रोमिल,
जब मेरे सामने महफ़िल-ए-शहर था!

#रोमिल

~tera naam~

Na kabhi zikr kare tera
Na kabhi tera naam le
Romil, hum bewafai ka usse aaisa intaqaam le...
_________________
Na mile hum kabhi tujhse
Na tu kabhi mile humse
Aaise bhi na juda ho ki dua main na tera naam le...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, February 13, 2010

ADA

USKI EK ADA TO UMAR BHAR YAAD RAHEGI ROMIL
ALVIDA BOLTE SAMAY USKI JUBAN BHI NAHI LADKHADAI THI...

#ROMIL

उसकी एक अदा तो उम्र भर याद रहेगी रोमिल
अलविदा बोलते समय उसकी ज़ुबान भी नहीं लडख़ड़ाई थी...

#रोमिल

~WAQT~

USKI MAUT KI KHABAR SUN KAR BHI AANSOO NAHI AAYE ROMIL
EK WAQT THA USKE DARD PAR BHI RO-RO KAR BEHAL HO JAATE THE...
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]