Thursday, April 8, 2010

kuch...

duniya se ruksat hone ke baad bhi uski aarzoo hain
dil main mohabbat ki kaise justajuu hain...
***
Itna to bata do USKA AAKHIRI PAIGAM KYA THA
jubaan ko ab bhi uski baatein karne ki guftaguu hain...
_______________________
NA DO JAWAAB, NA SAHI...

DEKHATE HAIN INTEZAAR KAB TAK... KAB TAK...
***
NA BATAO SACHCHAI, NA SAHI...
DEKHATE HAIN TUMHARI RUSWAI KAB TAK... KAB TAK...
***
PATHAR, RABB NAHI, NA SAHI...
DEKHATE HAIN PHEGALEGA DIL TUMHARA KAB TAK... KAB TAK...
________________________
Uske saath ab koiye rishta nahi hain

Fhir bhi dil ko chain-o-sukoon nahi hain...
*
Meri tanhai ki wajah main khud hu
Uspar koiye ilzaam nahi hain...
*
Bas itna mujhe bata do WOH IS DUNIYA SE RUKSAT KAISE HUE
mera koiye TUMSE dusara sawaal nahi hain...
*
Itna bhi kya kisi ka intezaar karna Romil
Marne ke baad wapas koiye aata nahi hain...
__________________________
Jo khud badal jaye

unko har shaks badale hue nazar aate hain...
dusaroon ki khata ginane wale
tere pehlu main bhi bahut ilzaam aate hain...
___________________________
Unki yeh ada humko aur bhi mitti lagati hain Romil

Zakhm bhi daite hain
Aur Rone bhi nahi daite hain...
___________________________
Woh chahat bhi kis kaam ki Romil

Chakoor dekhe durr se Chand ko...
___________________________
samay kharab karne ka sukriya...

dil ko dukhane ka sukriya...
hum aaye the is khayal se ki aapse kuch sawaal puch sake...
jawaab na daine ka sukriya...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Wednesday, April 7, 2010

jis naam se tu mujhe bachpan...

jis naam se tu mujhe bachpan mein bulaya karti thi
us naam se fir mujhe bula...
aa meri aankhon mein baandh kar patti
tu kahin chup jaa...
pehan kar haathon mein kangan
mere kaanon ke pass tu khankhana...
ae meri tamanna ke sitare
meri andheri zindagi mein prakash fela...

#Romil

जिस नाम से तू मुझे बचपन में बुलाया करती थी... 
उस नाम से फिर मुझे बुला... 
आ मेरी आंखों में बांधकर पट्टी तू कहीं छुप जा... 
पहनकर हाथों में कंगन मेरे कानों के पास खनखना... 
ऐ मेरी तमन्ना के सितारे 
मेरी अंधेरी जिंदगी में प्रकाश फैला...

#रोमिल

chhup-chhup kar deewaron sang rona padta hai

chup-chup kar deewaron sang rona padta hai
har khawab ko mita kar sona padta hai
koi nahi hota gum mein apne saath
bas rab se gila karna padta hai...
***
chehare ko jhooti hansi ke saath sajana padta hai
raaston ko apna ghar banana padta hai
kis liye tumhein maaf kar du Romil
wafa ka ilzaam to umar bhar sehna padta hai...

#Romil

छुप-छुपकर दीवारों संग सोना पड़ता है 
हर ख़्वाब को मिटाकर सोना पड़ता है 
कोई नहीं होता गम में अपने साथ 
बस रब से गिला करना पड़ता है... 

चेहरे को झूठी हंसी के साथ सजाना पड़ता है 
रास्तों को अपना घर बनाना पड़ता है 
किस लिए तुम्हें माफ कर दूँ रोमिल 
वफ़ा का इल्ज़ाम तो उम्र भर सहना पड़ता है...

#रोमिल

Tuesday, April 6, 2010

Har shaam guzar jaati hain intezaar mein...

Har shaam guzar jati hai intezaar mein
Itna nasha hai tere pyar mein...
***
Aankhein band karu to tera chehra nazar aata hai
Itni siddat hai mere pyar mein...
***
Door se dekhte ho, haal bhi nahi puchate mera
Itne bhi dushman nahi hue hai, hum pyar mein... 
***
Duniya-e-jahaan ko apni barbadi ka afsana sunane wale
Sacche aashiq hi mit jaate hai pyar mein...

#Romil

हर शाम गुजर जाती है इंतजार में 
इतना नशा है तेरे प्यार में... 

आंखें बंद करो तो तेरा चेहरा नजर आता है 
इतनी शिद्दत है मेरे प्यार में... 

दूर से देखते हो, हाल भी नहीं पूछते मेरा 
इतने भी दुश्मन नहीं हुए हम प्यार में... 

दुनिया-ए-जहां को अपनी बर्बादी का अफसाना सुनने वाले 
सच्चे आशिक ही मिट जाते हैं प्यार में...

#रोमिल

Saans laine ki rasam ada karte ho....

Saans laine ki rasam ada karte ho
bas zindagi-guzar basar karte ho...
***
Intezar ki bediyon ne is tarah baand rakha hai tumko
tum rooh aur jism se juda-juda firte ho...
***
Uski bewafai ne tood kar rakh diya hai tumhe
tum zamane se khafa-khafa rehte ho...
***
Khatam karo yeh mohabbat ka tamasha Romil
kyon apni laash ka bhoj dhoye-dhoye firte ho...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, April 5, 2010

woh bhi magruur hai to hum bhi kuch kam nahi...

woh bhi magruur hai
to hum bhi kuch kam nahi Romil
dekhte hai Suraj kiska asmaan mein nikalta hai...
***
apni dhun mein raha hu hamesha
rab ki panah mein raha hu hamesha
yeh to mohabbat ne sar jhukana seekha diya Romil
warna magruur raha hu hamesha...

#Romil

वो भी मगरूर है 
तो हम भी कुछ कम नहीं रोमिल 
देखते हैं सूरज किसका आसमान में निकलता है... 

अपनी धुन में रहा हूँ हमेशा 
रब की पनाह में रहा हूं हमेशा 
यह तो मोहब्बत ने सर झुकना सीखा दिया रोमिल 
वरना मगरूर रहा हूं हमेशा...

#रोमिल

Sunday, April 4, 2010

Hamare liye naqaab...

Hamare liye naqaab kar lete hai woh
zamane bhar se be-naqaab milte hai woh...
***
Naam badalne walon se shikayat kaisi
pal bhar mein to kapdon ki tarah emaan badal lete hai woh...
***
Apna mat kehna usko warna tu pachtayega
apna bana kar loot lete hai woh...
***
Na karo itni mohabbat tujhe Rab ka wasta deta hu
sar jhukane wale ka sar qalam kar dete hai woh...
***
Jinko tum apni nazron mein basa kar rakhate ho Romil
Apne paav ki juuti, garibon ki izzat ko samajhate hai woh... 
[written by romil arora - copyright reserved]