Wednesday, March 28, 2018

Mere hone ya na hone se kya fark padta hai

Mere hone ya na hone se koi fark nahi padta hai...
Gale mein mangalsutra latka rahe tumhare
Maang bharne ke shauk poore hote rahe tumhare...

Mere hone ya na hone se kya fark padta hai...

#Romil Arora

Main abhi tak tere naam mein hi uljha hua hun

Main abhi tak tere naam mein hi uljha hua hun...
Mein woh Parinda hun jo Shikari ke jaal mein fhasa hua hun...

aur

Woh puchati hai meri bewafai ka badla kaise loge?
Main bhi tarkash mein ek teer bacha ke rakha hun...


-RaJ 

Mere hunar ka fann to dekho...

Mere hunar ka fann to dekho...
Ek hi Shaks se baar-baar mohabbat karna...

#Romil

मेरे हुनर का फन तो देखो...
एक ही शख्स से बार-बार मुहब्बत करना...

#रोमिल

Bahut mashoor hue hai Sach mere

Bahut mashoor hue hai Sach mere...
Unmein se ek tu hai...

"GuNn"

#Romil

बहुत मशहूर हुए हैं सच मेरे... 
उनमें से एक तू है...

"गुन"

#रोमिल

Tuesday, March 27, 2018

Mujhko teri talash kyon hai

31st March - GuNn ki Barsi...

Mujhko teri talash kyon hai?
Riston mein apne itni khatas kyon hai?

aur

Main to kabka marr chuka hun GuNn ke saath...
Fir yeh be-kafan si laash kyon hai?

#Romil Arora

Kabhi na kabhi to yeh Kamal bhi murjhayenge

Yeh woh log hai jo Samundar nigal jayenge...
Fir yeh Sahil kidhar jayenge...

aur

Kasbon ko bana diya hai Sehar
Ab Sehar wale kidhar jayenge...

aur

Aaj jo itna mehak rahe hai...
Mehakne do...
Kabhi na kabhi to yeh Kamal bhi murjhayenge...

- Romil RaJ 

Tarakki ke naam pe gumrah ho gaye hai...

Tarakki ke naam pe gumrah ho gaye hai...
Yeh woh bacche hai jo hare-gulabi noteon ki chamak mein kahi kho gaye hai...

aur

Aaina ko bhi jhoot bolna pada...
Jabse hum Emaan ke Suraj jo ho gaye hai...

#Romil Arora