Thursday, April 5, 2018

Log pass aate gaye magar door hote gaye...

Kasbon ke kasbe ujadte gaye...
Sehar ke Sehar baste gaye...
Log pass aate gaye magar door hote gaye...

aur

Jab se seekhi hai hunar-e-aaina-mizazi...
Mere apne mujhse khafa hote gaye...

- Romil RaJ

Tu mehsus karne ki cheez hai chune ki nahi...

Tu Farista hai insan nahi.. 
Tu mehsus karne ki cheez hai chune ki nahi...

- Sultan

Wednesday, April 4, 2018

Safar tera meri gali mein aakar hi khatam hoga....

Jab pairon mein thakaan ka samunder lipta hoga...
Safar tera meri gali mein aakar hi khatam hoga...

aur

Jahan mohabbat ka dariya behta tha...
Aaj wahan nafrat ki deewar khadi hai...

Hum dono ke beech dooriya badi hai..

- Romil RaJ

Mujhe us Shaks mein khamiya hi khamiya nazar aati hai...

Mujhe us Shaks mein khamiya hi khamiya nazar aati hai...
Kya kahu, Ik arse ke baad koi Shaks mujhe khudsa nazar aata hai...

#Romil Arora

Tuesday, April 3, 2018

Patharon mein bhi Zindagi bana deta hai...

Patharon mein bhi Zindagi bana deta hai...
Khuda bhi hone ke kya-kya Saboot deta hai...

aur

Andhiyan sab kuch lapet ke chali jayengi...
Par mujhse meri himmat nahi le payengi...
Khuda apne Bandon ko musibatein bhi unke hisab se deta hai...

Maa meri kehti thi...

04th April...

#Romil

पत्थरों में भी जिंदगी बना देता है 
खुदा भी होने के क्या-क्या सबूत देता है... 

और 

आंधियां सब कुछ लपेट के चली जाएंगी
पर मुझसे मेरी हिम्मत नहीं ले पाएंगी
खुदा अपने बंदों को मुसीबतें भी उनके हिसाब से देता है... 

मां मेरी कहती थी... 

04वीं अप्रैल 

#रोमिल

Tumhara lehja bata raha hai Siyasat karte ho

Yeh sab aasman se utare hue Faristee hai...
Inhe Sorry.... Sorry...  Sorry....  Kaho...
Yeh safedposh log hai...
Inhe Bhastachari mat kaho...

aur

Kadwahat bhare Shabd Mithas se bhar gaye...
Tumhara lehja bata raha hai Siyasat karte ho...

- Romil RaJ

Woh Shaks Kitabon mein hi uljha reh gaya...

Woh Shaks Kitabon mein hi uljha reh gaya...
Saamne uske zindagi ka pal nikal gaya...

aur

Kabhi Kitabein karti thi uski baatein mujhse...
Kitabon mein chupa phool, daba ka daba reh gaya...

#Romil Arora