Sunday, April 29, 2018

Uljhi hui Sacchai...

Uljhi hui Sacchai...

Ishq mein apna haal us Kutte ki tarah ho gaya hai...

"Jise kuch pal ghumane ke liye chhod diya jata hai fir awaaz lagakar wapas bula liya jaata hai..."

12 saalon se Paltu hai kahan jayega, wapas laut hi aayega... Idhar-udhar sunghega fir wapas dauda chala aayega...

hahahaha...

Ya fir...

Kaagaz ke purjo ki bani Patang jaisi...
Jise jitni marzi ho upper aasman mein le jao... Jab mann bhar jaye utaar kar qareeb le aao...

Ladao... Kat jaye to jaane do... Fhatati hai to fhatane do... Dusari Nai Patang le lenge... Bas shauk poora hona chahiye...

- RaJ

Saturday, April 28, 2018

Rabba sab nu kush rakhi...

Use sabki khushi ki parvah hai...
Mujhe chhodkar...
Mujhe sirf uski parvah hai...
Dunia ko darkinar rakh kar...

Woh mera haal janti hai...
Par elaaj kuch karti nahi...
Sirf doctor bani firti hai degree lekar..

Kal ek tasveer dekhi uski profile photo mein...
Kisi makaan ke nakshe ki thi... Clipboard mein bandhe kagaaz pe bani thi...
Main baith gaya uski handwriting milane ko uske likhe hue khaton ko lekar...

Ajeeb sirfira insan hun... hahaha...

#Romil

उसे सबकी खुशी की परवाह है मुझे छोड़कर 
मुझे सिर्फ उसकी परवाह है दुनिया को दरकिनार रखकर... 

वह मेरा हाल जानती है पर इलाज कुछ करती नहीं 
सिर्फ डॉक्टर बनी फिरती है डिग्री लेकर... 

कल एक तस्वीर देखी उसकी प्रोफाइल फोटो में 
किसी मकान के नक्शे की थी... क्लिपबोर्ड में बंधे कागज पे बनी थी... 
मैं बैठ गया उसकी हैंडराइटिंग मिलने को उसके लिखे हुए खतों को लेकर... 

अजीब सिरफिरा इंसान हूं... 

#रोमिल

Humein kamjor aakhana tmhari bhool hogi...

NaaZ kehti hai...

Humein kamjor aakhana tmhari bhool hogi...
Hum Sagar ko apne kadmo tale rakhte hai...

Yeh beh humein mat dikhana...
Hum apne haaton mein jalte hue Suraj rakhte hai...

aur

Naav hamari chhoti sahi...
Tooti-Fhooti sahi...
Hum toofano se ladne ka hunar jante hai...

Gaur fharma...
Yeh jo tumhein aadat hai roj-roj naya Chakravyuh rachane ki...
Hum woh abhimanyun hai...
Jo Chakravyuh mein parvesh karna bhi jante hai, Chakravyuh bhedana bhi jante hai...

- Romil RaJ

Ulajhane se kya haasil hoga...

Mera pyar kabhi husn ka mohtaz tha hi nahi...
Fir use yeh purani tasveerein lagane se kya Haasil hoga...
+++++

Use mere SMS se bhi hoti hai takleef...
Itna bhi mera uspar Haq nahi...
Zindagi ka bacha hua Safar kaise tey hoga...
#####

Aakhir woh chahati kya hai...
Aakhir woh mujhse chahati kya hai...
Kuch bolti bhi nahi...
Kuch batati bhi nahi....
Waqt barbaad karne se kya hoga...
-----

Ateet mein dabe pade hai uske kai RaJ...
Kai saaza... Kai zakhm khaye hai usne...
Woh mujhe apna samajkar apni zndagi ki kitab kholati nahi...
12 saalon mein bhi main use khud pe yakeen dila paya nahi...
Isse badi meri koi haar nahi...

Is tarah mujhe roz raaton mein uljhane se kya haasil hoga...

- RaJ

Friday, April 27, 2018

Lakhnavi Chikankari...

Lakhnavi Chikankari se Nakkasha yeh Suit Gulabi...
Labon pe yeh Laali Gulabi...
Badan bhi Gulabi...
Kamre ke parde ka rang bhi Gulabi...
Mausam bhi Gulabi...

bas...

DIL MILA HAI USE kaala...

hehehe...

(Kahi Lakhnavi Shadyantrakariyon sang baithak karne to nahi aai thi...Meeting...

Ya

fir kisi Shadyantrakari ne Bakshees bhet ki hai... Enaam diya hai bikne ka...keemat lagai hai Emaan ki...)

- RaJ

Tasveer badalne se behtar hai aadatein sudhar li jaye...

Tasveer badalne se behtar hai aadatein sudhar li jaye...
Aadatein umar bhar yaad dilayegi...
Honton pe muskaan... Aankhon mein nami chhod jayengi...
Doori ka ehsaas karayengi...
Zindagi ko Jannat banayengi...
*****

Aaj honton ne fir shararat ki hai...
Mobile screen ko lagakar Labon se teri tasveer ko chuma hai... Dair tak Baatein ki hai...
Apne-Apne Andaaz hai Mohabbatein bayaan karne ke...
*****

Dil se majboor hun...
Pyar ke nashe mein madhosh hun...
Par yeh na samajhana sab kuch bhool gaya hun...
Ik bistar pe letenge Umar Bhar tumhari taraf peeth karke...
Sadenge Nikki-Nikki Gal pe...
Naraaz hun...

Apne-Apne Andaaz hai Khafa hone ke...
*****

Ik hum hai
Mahino ho gaye theek se Shaving nahi ki... Aaina nahi dekha...
aur
Ik woh hai...
Andazon ke saath tasveerein khichwa rahe hai, woh bhi naye-naye Suits ke saath...

Koi fark hi nahi padta kisi ko hamari narazgi se...
Allah Mehar Kare...

- RaJ

Some Words... Some Feelings...

Zindagi lutakar tera naam paya hai...
Romil, maine bhi wafa mein kya enaam paya hai...
#####

Dunia ke sawalon mein aisa uljha ki fir sulajh na paya Romil...
Tere-mere ristee ka koi bhi jawab nikal na paya...
#####

Tamasha khud zindagi to tumne bana bana rakha hai...
Ishq ka Ajeeb khel, khel rakha hai...
Ajab hai tumhari chahatein,
Jisko dost...
Usi ko apna dushman bana rakha hai...
#####

Badi ajeeb hai apne Safar ki kahani...
Jis raste par bhi chalo...
Tum usi raste par hi aakar mil jaate ho...
#####

Mitti se rishta bhulaye nahi jaate...
Kuch rivaz aise hai jo tode nahi jaate...
Insaan chahe jitna bhi aage chala jaye...
Kuch pairon ke nisaan reh jaate hai, jo mitaye nahi jaate...

- Romil RaJ