Wednesday, May 9, 2018

Zindagi bhar bas yahi ishq-e-halaat rahe...

Zindagi bhar bas yahi ishq-e-halaat rahe...
Woh saath the mere par saath na rahe...

Mujhse na pucho wajah kya hai uski bewafai ki...
Woh nadaan se dikhte rahe par hosiyar rahe...

Aaj kal woh hi log sikandar bane hue hai...
Jinke shabdon mein mishri, haaton mein talvaar rahe...

Iske sar pe saaya-e-hukumat-e-siyasat hai...
Hazaron qatl kar diye... Par haath saaf rahe...

aur

Main bura tha...
Bura hun...
Bura hi rahunga...
Tum bhi kahan miya ab izzatdaar rahe...

- Romil RaJ

Mehange Khawab...

Ik bhi rupiya fijul kharchi ki izajat nahi deti hai mujhe meri rooh...
Maine khawab jo itne mehange paal rakhe hai...

#Romil

एक भी रुपिया फ़िजूल खर्ची की इजाज़त नही देती है मुझे मेरी रूह...
मैंने ख़्वाब जो इतने महँगे पाल रक्खे है...

#रोमिल

Tuesday, May 8, 2018

Manjhi ko akele hi toofano se kasti ubharni padti hai...

Maa kehti thi...

Bhalu... Chhote se deep ki lau...
Milo ke andhere ko haraa deti hai...

Jhoot ki raat kitni bhi kaali kyon na ho...
Sach ke Suraj ke samne tik nahi sakti hai...

Log tumhe darayenge... Darr dikhayenge...
Dhamkayenge....
Tumhare raste mein kaantein bichayenge...
Sach ki raah ke liye bhut gehri keemat chukani padti hai...

aur

Hamesha jeet tumhari ho yeh jaruri nahi...
Kabhi-Kabhi gir kar chhot bhi khani padti hai...

aur

Tere saath koi nahi... is baat ka dil mein malal na rakhna...
Manjhi ko akele hi toofano se kasti ubharni padti hai...

#Romil

माँ कहती थी...

भालू.... छोटे से दीप की लौ...
मीलों के अँधेरे को हरा देती है...

झूठ की रात कितनी भी काली क्यों ना हो... 
सच के सूरज के सामने टिक नहीं सकती है... 

लोग तुम्हें डराएंगे... 
डर दिखाएंगे... धमकाएंगे... 
तुम्हारे रास्ते में कांटे बिछाएंगे... 
सच की राह के लिए बहुत गहरी कीमत चुकानी पड़ती है... 

और 

हमेशा जीत तुम्हारी हो यह जरूरी नहीं... 
कभी-कभी गिरकर चोट भी खानी पड़ती है... 

और 

तेरे साथ कोई नहीं... इस बात का दिल में मलाल ना रखना... 
मांझी को अकेले ही तूफानों से कश्ती उभारनी पड़ती है...

#रोमिल

Monday, May 7, 2018

PaneerPasanda Log...

PaneerPasanda Log...

Badi hi Siyani Bahu hai hamari...

Dudh phat jaye to khush ho jaati hai...
Taliya bajati hai...
Jhat se Paneer bana leti hai...

Kadahi Paneer, Shahi Paneer, Paneer Kofta, Paneer Palak, Paneer Paratha, Paneer Korma, Paneer Tikka, Paneer Do Pyaza, Matar Paneer, Aloo Paneer, Paneer Kabab, Paneer Momos, Paneer Samosa...
Paneer ki family pe kitab likh rahi hai...

Ghar mein hum sab log ise DoctorPaneer bulate hai...
Isne Paneer pe jo PhD kar rakhi hai...

Kisi bhi party mein ho... Function mein ho...
Chahe jitni bhi bheed ho...
Paneer ka counter chahe jitna bhi door laga ho...
Yeh lad-jhagad ke plate mein paneer le hi aati hai...
Fir chahe Saree kyon na Paneer ki Sabji se naha jati hai...

Badi hi Siyani Bahu hai hamari...

#Romil

VedShakti...

Yeh woh log hai Jinko kaha jaye Toothpaste mein VedShakti hai to maan lenge... Accept kar lenge...

Parantu...

Agar kaha jaye... Ved-Shastra-Puraan padh lo... Ismein bahut Shakti hai... Power hai... Par yeh log nahi manege...

Sabki apni-apni soch hai...

#BestAnswers
#Romil

Jannat bhi utar aayegi tere makaan mein...

Maa kehti thi...

Jannat bhi utar aayegi tere makaan mein...
Tu dil se Rab ki ibadat karke to dekh...

Ghar ki ent-ent bhi bolegi Khuda-Khuda...
Tu Bani ko mann se padkar to dekh...

Rooh jo tadpe Kul Malik ko khabar ho jaye...
Tu Rooh ko uske Simran mein laga ke to dekh...

aur

Yeh Jism bhi Mehak uthega Khushboo se...
Tu Maula ka Naam juban se laga ke to dekh...

#Romil

मां कहती थी... 

जन्नत भी उतर आयेगी तेरे मकान में 
तू दिल से रब की इबादत करके तो देख... 

घर की ईंट-ईंट भी बोलेगी खुदा-खुदा 
तू बानी को मन से पढ़कर तो देख... 

रूह जो तड़पे कुलमालिक को खबर हो जाए 
तू रूह को उसके सिमरन में लगाकर तो देख... 

और 

यह जिस्म भी महक उठेगा खुशबू से... 
तू मौला का नाम जुबां से लगाके तो देख...

#रोमिल

Sunday, May 6, 2018

Jinnah ka Jin nikal aaya hai...

Jinnah ka Jin nikal aaya hai...
Kuch din to shor karega... 
Kuch tabah bhi karega kya?

Chalne lage hai Shabdon ke teer pe teer...
Chunav ka daur aa gaya hai kya?

Kehte hai mausam wale Toofan-Aandhi ke hai asaar...
Khuda naraaz ho gaya hai kya?

Charon taraf se aa rhi hai Bacchiyon ki Cheekhon ki aawazein...
Sarkar kuch lagaam bhi lagaegi ya Khabarein hi dikhati rahegi kya?

aur

Beas mein uski sasural hai...
Susural walon ki khatirdaar dekh aaye kya?
Patidev jis pyarbhare naam se bulate the...
Usi naam se umrbhar hum bhi use pukarenge kya?

SMS se pareshan thi hamare...
Humne tumse tera number maanga tha kya?

Patidev se pyar hai to uski goad mein baitho...
Idhar-Udhar RaJ jaison ke saath uchalti rahogi kya?

Ishq tha to 12 saal barbaad kar liye...
Warna haseen to tamam hamare mohalle mein bhi hai...
Sarafat to hamari kamjoori samaj rakhi hai kya?

- Romil RaJ