Saturday, July 19, 2008

Laut Aao, Bas Laut Aao Tum!


Suno Sanaam!
Laut aao hamare pass, warna yeh dil hamesha tarafata rahega,
Yeh aankhen hamesha aansoo bahati rahengi,
Yeh jism hamesha sulagta rahega,
Yeh khushiyaan hamesha humse durr rahengi,
Yeh phool, yeh wadiya hamesha be-rangeen rahengi,
Yeh haawain hamesha be-mast chalengi,
Yeh aasmaan hamesha khali-khali rahega,
Yeh panchi be-juban rahenge,
Bas Laut Aao,
Warna Na Hum Rahenge, Na Hamare Sapne Rahenge,
Na Hamari Mohabbat Rahegi,
Laut Aao, Bas Laut Aao Tum!
[written by romil arora - copyright reserved]

Zindagi-e-Gum De Gaya....

Baada!! Be-dard Hai Dost Mera,
Khud Is Duniya Se Chala Gaya,
Humko Tanha Chod Gaya,
Aata Bhi Nahi Hamara Haal Dekhane,
Dekho Khushi Ke Naam Par Zindagi-e-Gum De Gaya!

#Romil

बड़ा!! बेदर्द है दोस्त मेरा
खुद इस दुनिया से चला गया 
हमको तन्हा छोड़ गया 
आता भी नहीं हमारा हाल देखने 
देखो खुशी के नाम पर जिंदगी-ए-ग़म दे गया! 

#रोमिल

muskuraya humse bhi na ja sake....


Aaisa dost chahiye,
Jiske sapno ko dil main basaya ja sake,
Jiske aansoo ko palkon main sajaya ja sake,
Jiske muskaan ko mann main chupaya ja sake,
rahe uska-mera rishta kuch is tarah,
agar udaas woh ho to muskuraya humse bhi na ja sake!
[written by romil arora - copyright reserved]

dosti


Din main chand ki baat nahi hoti,
Din main sitaron ke saath mulaqat nahi hoti,
sabki dosti suraj ki roshani ki tarah hai, jo aati hai chali jaati hai,
Tumhari dosti chand, sitaron jaise hai, jo tanhaiye main bhi saath daite hai,
Suraj ke roshani se uski barabari nahi hoti!
[written by romil arora - copyright reserved]

dosti ki kahani likhi hogi.....


Naaz, tum ho na ho is jahaan main,
Magar hamare mann main hamesha aapki yaadein rahenge,
Jab bhi dekhenge hum aasman ki taraf,
Hamari dosti ki kahani likhi hogi!
[written by romil arora - copyright reserved]

hamesha zinda rakhenge....

Har farz dosti ka ada hum karenge,
Teri yaadon ka gharonda hamesha apne dil main sanjo kar rakhenge,
Tujhse milane ki dua hum din-raat karenge,
Jab tak salamat hai hum rabb ki kasam,
Naaz apni dosti ko hamesha zinda rakhenge!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, July 18, 2008

zindagi hua karta tha...

Use rab ne chura liya mujhse,
Jo meri zindagi hua karta tha,

Woh ek shakh tha, jiske baad yeh duniya jhooti hai,
Mere dil ko poora yakeen tha, woh dosti ka farishta tha,


Use shaukh tha, mujhe khush dekhne ka,
Jo kabhi apne dukh se dukhi hota nahi tha,


Jo sari duniya se dor rehta tha,
Meri aankhon mein jo pal bhar mein simat jata tha,


Use rab ne chura liya mujhse,
Jo meri zindagi hua karta tha.

#Romil

उसे रब ने चुरा लिया मुझसे 
जो मेरी जिंदगी हुआ करता था... 

वो एक शख्स था, जिसके बाद यह दुनिया झूठी है 
मेरे दिल को पूरा यकीन था वो दोस्ती का फरिश्ता था... 

उसे शौक था, मुझे खुश देखने का 
जो कभी अपने दुख से दुखी होता था... 

जो सारी दुनिया से दूर रहता था 
मेरी आंखों में जो पल भर में सिमट जाता था... 

उसे रब ने चुरा लिया मुझसे 
जो मेरी जिंदगी हुआ करता था...

#रोमिल