Showing posts with label khawish. Show all posts
Showing posts with label khawish. Show all posts

Monday, March 30, 2020

khawaish hai...

khawaish hai...

Kabr mein is sukun ke saath utara jau ki... Tumhein aaj bhi mujhse mohabbat hai...

#SuLTaN

Sunday, May 1, 2011

खवाइश

चाँद को पाने की खवाइश तो सब रखते है रोमिल,
 मगर हम चाँद की गोद में सोना चाहते है!

Monday, November 9, 2009

leke chal tu mujhe aae dost


leke chal tu mujhe aae dost
badalon ka ek shehar banaiye hum
jagmagate taaron se sajaiye hum
indradhanush ke rang bhare usme
chandani ki deewarein baniaye hum...
leke chal tu mujhe aae dost
*
rajkumari ki tarah rakhunga tujhko 
pariyoon ka libhaas tujhko pehnau main
saafed ghoodon ke rath par laine tujhko aayunga
aasmaan ki shair tujhko main karwayunga
leke chal tu mujhe aae dost
badalon ka ek shehar banaiye hum
*
taire hoonton par khela kar muskaan
saari duniya ko bhool jayenge hum
tu darr na NAAZ kisi se
bas mera haath pakad
leke chal tu mujhe aae dost
badalon ka ek shehar banaiye hum
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, July 7, 2008

bas itna hi kaafi hai......

Teri yaadein, teri baatein,
Zindagi bhar yeh aasra hi kaafi hai,
Jab bhi milna to bas muskura dena,
Mere jeene ke liye bas itna hi kaafi hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, May 21, 2008

"Yeh Khawaish Hai Meri"

"Yeh Khawaish Hai Meri"

Har Insaan Dil Se Ishq Farmaye,
Bewafai Na Koi Kar Paaye,
Yeh Khawaish Hai Meri...

Khushi Ka Har Taraf Basera Ho,
Gham Se Aankhein Na Koi Bhar Paaye,
Yeh Khawaish Hai Meri...

Har Raat Ke Baad Savera Ho,
Mayushi Se Koi Daaman Na Bhar Paaye,
Yeh Khawaish Hai Meri...

Jeevan Ki Har Subah, Sureeli Ho,
Ibadat Khuda Se Saachi Ho,
Har Koi Uski Panaah Se Durr Na Reh Paaye,
Yeh Khawaish Hai Meri....
[written by romil arora - copyright reserved]