Showing posts with label Fav. Lyrics.... Show all posts
Showing posts with label Fav. Lyrics.... Show all posts

Sunday, August 4, 2019

Ja Dekhi Teri Yaariyaan....

Yaariyaaaaaaaaaaaan...

Yaariyan, yaariyan...
Yaariyan, yaariyan...

Phele ishq mein tune mujhko dhokha diya hai...

Duja logo ko hanse ka bhi mauka diya hai...

Jhooti teri thi qasme
Jhoote tere the vade

Jhooti teri wafadariyan
Ja dekhi tere yaariyan...

Yaariyan

Kanch ke jaisa tera tha rishta
Ek aahat se toot gaya hai

Toot gya hai

Tu jo badli, Badla zamana
Mera khuda bhi rooth gya hai

Mere sari duaein, Mere sari wafaiyan
Mangti hai ye tujhse tu bhi sun le sadayein..

Tere Sari woh dildariyan
Ja dekhi teri yaariyan

Yaariyaan…

Hum ne wafa ki, Tum ne jafa ki
Ishq ki rasme, Tumne na nibhai...

Meri ye ulfat
Meri mohabbat
Nafrat mein hi tum ne jalaye

Ankh meri jo narm hai
Tune toora bharam hai

Khawab hone the poore
Ye to mera weham hai

Meri sari ye gum khariyan
Ja dekhi teri yaariyan

Yaariyaan

Ja dekhi teri yaariyaan

Yaariyaan...

Saturday, December 31, 2011

Chala Bhi Aa Aaja Rasiya O Jaane Wale Aa Ja Teri Yaad Sataye - Man Ki Aankhen

chala bhi aa ho aja rasiyaa
o jaane wale aa ja teri yaad sataye
khawabon ka gharaunda kahin toot na jaaye
jaane wale aa jaa teri yaad sataye
khawabon ka gharaunda kahin toot na jaaye
chala bhi aa ho aajaa rasiyaa
jaane waale aa jaa teri yaad sataaye
khwabon ka gharaunda kahin toot na jaaye
murjha chale hain armaan sare
dhundhala gaye hain sabhi ujale nazare
kaisi jiyungi ghamon ke sahare
tarsi nigahen meri tujhko sadaye dein
dhadkan pukaaren
chala bhi ho aa aja rasiya
dil to gaya mera kahin na jaye
jaane waale aaja teri yaad sataye
chala bhi aa

ho ho ho
meri lagan ko kahan toone jana
tere liye to mera dil hai deewana
har saans meri tera hi tarana
ye zindagani kya hai teri kahani hai
tera fasana
tera mera ho wo hai rishta
ke tootein jo balayein bhi to toot na paye
tootein jo balayein bhi to toot na paye
tootein jo balayein bhi to toot na paye
tootein jo balayein bhi to toot na paye

Thursday, December 29, 2011

teri aankhon ke siwa duniya mein rakha kya hai

teri aankhon ke siwa duniya mein rakha kya hai
yeh uthe subah chale, ye jhuke shaam dhale
mera jeena, mera marna, inhi palakon ke tale

yeh ho kahin inka saya mere dil se jata nahi
inke siwa ab to kuch bhi nazar mujhko aata nahi

yeh uthe subah chale, ye jhuke shaam dhale
mera jeena, mera marna, inhi palakon ke tale

teri aankhon ke siwa duniya mein rakha kya hai

thokar jahan maine khai inhone pukara mujhe
ye humsafar hain to kafi hain inka sahara mujhe

thokar jahan maine khayi inhone pukara mujhe

yeh uthe subah chale, ye jhuke shaam dhale
mera jeena, mera marna, inhi palakon ke tale

teri aankhon ke siwa duniya mein rakha kya hai

Tuesday, December 27, 2011

Liye sapne nigahon mein - Mashaal (1984)

Liye sapne nigahon mein - 2 
chala hoon teri rahon mein
Zindagi aa raha hoon main.

Kai yaadon ke chehre hain, 
Kai kisse purane hain,
Teri sau dastane hain, 
Tere kitne fasane hain - 2
Magar ek woh kahani hai, 
Jo ab mujhko sunani hai - 2
Zindagi aa raha hoon main - 2

Mere haathon ki garmi se, 
Pighal jayengi zanjeerein,
Mere kadmon ki aahat se, 
Badal jayengi taqdeerein - 2
Umeedon ke diye lekar, 
Yeh sab tere liye lekar - 2
Zindagi aa raha hoon main - 2

Kabhi tujhko gila mujhse, 
Kabhi mujhko shikayat hai,
Magar phir bhi tujhe meri, 
Mujhe teri zaroorat hai - 2
Main ye iqraar karta hoon, 
Main tujhse pyar karta hoon - 2
Zindagi aa raha hoon main - 2

Friday, November 18, 2011

Tere Waste Mera Ishq Sufiyana - The Dirty Picture (2011)

Rab ki qawali hai ishq koi
Dil ki diwali hai ishq koi
Mehki si pyaali hai ishq koi
Subah ki laali hai ishq
Girta sa jharna hai ishq koi
Uthta sa kalma hai ishq koi
Saanson mein lipta hai ishq koi
Aankhon mein dikhta hai ishq

Mere dil ko tu jaan se juda kar de
Yun bas tu, mujhko fanaa kar de
Mera haal tu, meri chaal tu
Bas kar de aashiqana
Tere vaaste mera ishq sufiyana
Mera ishq sufiyana, mera ishq sufiyana
Tere vaaste mera ishq sufiyana
Mera ishq sufiyana, mera ishq sufiyana

( Rab ki qawali hai ishq koi
Dil ki diwali hai ishq koi
Mehki si pyaali hai ishq koi
Subah ki laali hai ishq )

Sochun tujhe toh hai subah
Sochun tujhe toh shaam hai

Haan manzilon pe ab toh meri, ek hi tera naam hai
Teri aag meri jalti, koyle se meera banki
Khwaabon se aagey chal ke hai tujhe bataana

Tere vaaste mera ishq sufiyana
Mera ishq sufiyana, mera ishq sufiyana
Tere vaaste mera ishq sufiyana
Mera ishq sufiyana, mera ishq sufiyana

Saath-saath chalte-chalte haath chhoot jaayenge
Aisi raahon mein milo naa
Baatein-baatein karte-karte raat katt jaayegi
Aisi raaton mein milo naa

Kya hum hain, kya rab hai
Jahan tu hai, wahin sab hai
Tere lab mile mere lab khile
Ab door kya hai jaana

Tere vaaste mera ishq sufiyana
Mera ishq sufiyana, mera ishq sufiyana
Tere vaaste mera ishq sufiyana
Mera ishq sufiyana, mera ishq sufiyana

( Rab ki qawali hai ishq koi
Dil ki diwali hai ishq koi
Mehki si pyaali hai ishq koi
Subah ki laali hai ishq )

Mere dil ko tu jaan se juda kar de
Yun bas tu, mujhko fanaa kar de
Mera haal tu, meri chaal tu
Bas kar de aashiqana
Tere vaaste mera ishq sufiyana
Mera ishq sufiyana, mera ishq sufiyana
Tere vaaste mera ishq sufiyana
Mera ishq sufiyana, mera ishq sufiyana

Saturday, September 17, 2011

Mumkin Hai - Bol (2011)

Mumkin hai, mumkin hai bahaar mumkin hai
Zindagi mein likha
Mumkin hai, mumkin hai bahaar mumkin hai
Zindagi mein likha
Khwahishon ka karaar, mumkin hai
Ik nayi parwah, mumkin hai ho
Mumkin hai, mumkin hai bahaar mumkin hai
Zindagi mein likha

Justuju rang layi hai kucch iss tarah
Dil ki har aarzoo muskuraane lagi
Aasman meherbaan ho gaya
Aur zameen gungunaane lagi hai
Mumkin hai, mumkin hai bahaar mumkin hai
Zindagi mein likha

Khushnuma dil zubaan chhoodiyan pehan kar
Har kalai chanak ne khanak ne lagi
Kaano ki baaliyan bol uthi hain
Geet honthon pe yun, aane lagey hain
Mumkin hai, mumkin hai bahaar mumkin hai
Zindagi mein likha
Khwahishon ka karaar, mumkin hai
Ik nayi parwah, mumkin hai ho

Thursday, August 11, 2011

Celebrate Raksha Bandhan - A Bond of Love

Celebrate Raksha Bandhan - A Bond of Love

1. Behna Ne Bhai Ki Kalai Se Pyar Bandha Hai Pyar Ke Do Taar Se, Sansar Bandha Hai.

2. Bhaiya Mere Rakhi Ke Bandhan Ko Nibhana, Bhaiya Mere Chhoti Behan Ko Na Bhulana

3. Phoolon Ka Taaron Ka Sabka Kehna Hai Ek Hazaron Mein Meri Behna Hai

4. Mere Bhaiya Mere Chanda Mere Anmol Ratan Tere Badale Mein Zamane Ki Koi Cheez Na Lu 

5. Dekh Sakta Hoon Mein Kuch Bhi Hote Hue, Nahi Main Nahi Dekh Sakta Tujhe Rote Hue

6. Rang Birangi Rakhi Lekar Aayi Behna

7. Yeh Rakhi Bandhan Hai Aisa jaise chanda aur kiran ka jaisa badari aur pavan ka jaise dharati aur gagan kaa

8. Rakhi Ke Din Vaada Karo, Vaada Nibhaoge, Apni Pyari Behna Ki Laaj Bachaoge

9. Ham Bahanon Ke Liye Mere Bhaiya Aata Hai Ek Din Saal Mein

10. Meri Pyari Behaniya Banegi Dulhaniya

11. Chanda Re Mere Bhaiya Se Kehna Behna Yaad Kare

12. O Meri Ladli Pyari Behna Rani Behna

Thursday, July 28, 2011

Piya Tora Kaisa Abhiman - Raincoat (2004)

Kisi mausam ka jhonka tha jo is deewar par latki hui tasweer tirchi kar gaya hai
gaye sawan mein ye deewarein yun seeli nahin thi
na jane kyon is dafa inme seelan aa gayi hai,
dararein par gayi hain
aur seelan is tarah bahti hai jaise,
khushq rukhraron pe geele aanso chalte hain.


ye baarish gungunati thi isi chat ki munderon par
ye baarish gungunati thi isi chat ki munderon par
ye ghar ki khidkiyon ke kaanch par ungli se likh jaati thi sandese
girti rahti hai baithi hui ab band roshandano ke peeche.


dupehrein aisi lagti hain,
bina muhron ke khaali khaane rakhein hain
na koi khelne waala hai baazi
aur na koi chaal chalta hai

na din hota hai ab na raat hoti hai sabhi kutch ruk gaya hai
wo kya mausam ka jhonka tha
jo is deewar par latki hui tasweer tirchi kar gaya hai

Saturday, July 16, 2011

Sawan Ko Aane Do



1. Sawan Ko Aane Do - Sawan Ko Aane Do
2. Sawan Ka Mahina Pawan Kare Shor - Milan
3. Kuch Kehta Hai Yeh Sawan - Mera Gaon Mera Desh
4. Hai Hai Yeh Majboori - Roti, Kapda aur Makan 
5. Sawan Barse Tarse Dil - Dahek
6. Rimzhim Gire Sawan - Manzil
7. Abke Sajan Saawan Mein Aag Lagegi Badan Mein - 
Chupke Chupke
8. Aaj Rapat Jaye To Hume Na Uthaiyo - Namak Halal
9. Sawan Mein Lag Gayi Aag - Woodstock Villa
10. Lagi Aaj Sawan Ki - Chandani

Saturday, July 9, 2011

Sandese Aate Hai


LETTERS PLAY IMPORTANT ROLES IN OUR LIFE  

1. Khat Likh De Sawariya Ke Naam Babu - (Aaye Din Bahar Ke-1966)
2. Phool Tumhe Bheja Hai Khat Mein (Saraswati Chandra-1968)
3. Likhe Jo Khat Tujhe (Kanyadaan-1969)
4. Daakiya Daak Laya Khushi Ka Paigam Laya - (Palkon Ki Chaon Mein-1977)
5. Humne Sanam Ko Khat Likha - (Shakti-1982)
6. Chitthi Aayi Hai Aayi Hai Chitthi Aayi Hai Vatan Se Chitthi Aayi Hai - (Naam-1986)
7. Khat Maine Tere Naam Likha (Bekhudi-1992)
8. Sandese Aate Hai - (Border-1997)
9. Chitthi Na Koi Sandesh - (Dushman-1998)
=====
1. Pyar Ka Pehla Khat Likhne Mein Waqt To Lagta Hai - Jagjit Singh
2. Teri Khushboo Mein Base Khat Mein Jalata Kaise - Jagjit Singh 
3. Yun Mere Khat Ka Jawab Aaya - Pankaj Udas

Thursday, July 7, 2011

The Reena Roy - Dance and Motorbike Queen Forever Collection


REENA ROY

One of the top Hindi Film actress won lots of hearts with her beautiful smile, she is Roopa Rai, now known as Reena Roy, was born on 7 January 1957, in Bombay.

1. Sheesha Ho Ya Dil Ho (Aasha)
2. Jalta Hai Jiya Mera Bheegi Bheegi Raaton Mein (Zakhmee)
3. Jaa Re Jaa Ho Har Jaayi (Kalicharan)
4. Tere Sang Pyaar Main (Nagin)
5. Pardes Jake Pardesiya (Arpan)
6. Disco Station Disco (Haathkadi)
7. Kitne Bhi Tu Karle Sanam (Sanam Teri Kasam)
8. Aa Dekhen Zara (Rocky)
9. Zindagi Imtehan Leti Hai (Naseeb)
10. Saare Rishtey Naate (Jaani Dushman)

Monday, June 13, 2011

What's My Name...What's My Name...What's My Name...

Many Controversial Name Songs

1. Monica, Oh My Darling - Caravan (1971)
2. Meri Soni Meri Tamanna - Yaadon Ki Baarat (1973)
3. Julie I Love U - Julie (1975)
4. Tu Hai Meri Kiran - Darr (1993)
5. Aye Shivani - Khoobsurat (1999)
6. Bebo Main Bebo - Kambakkht Ishq (2009)
7. Sheila Ki Jawani - Tees Maar Khan (2010)
8. Munni Badnaam Hui - Dabangg (2010)
9. Razia Gundon Mein Phas Gayi - Thank You (2011)
10. Ragini...Nazrein Hai Tujhpe Har Koi - Ragini MMS (2011)
11. Switty Tera Pyaar Chaida - Delhi Belly (2011)
12. Shalu Ke Thumke - Double Dhamaal (2011)

Monday, May 2, 2011

Humne Tujhko Pyar Kiya Hain Jitana, Kaun Karega Itana

Humne tujhko pyar kiya
Humne tujhko pyar kiya hai jitna
kaun karega itna
kaun karega itna
Humne tujhko pyar kiya hai jitna
kaun karega itna
kaun karega itna

Tune humpar laakh zafaa ki
humne ada hi samjhi
tujhse koyi bhool huyi to
apni khata hi samjhi
saamne tere yuun hans hans ke
saamne tere yuun hans hans ke
lutate rahe hum jitna
kaun lutega itna
kaun lutega itna
Humne tujhko pyar kiya hai jitna
kaun karega itna
kaun karega itna

pyaar pe mere naaz tumhe tha,
yaad karo wo nazaaraa
haath pe apne likh lete the,
jab tum naam hamara
teri ada ke bholepan pe
teri ada ke bholepan pe
mitate rahe hum jitna
kaun mitega itna
kaun mitega itna
humne tujhko pyar kiya hai jitna,
kaun karega itna
kaun karega itna

Sunday, May 1, 2011

Hum Tujhse Mohabbat Karke Sanam - Awaara (1951)

Hum tujhse mohabbat karke sanam - 2 
Rote bhi rahe, hanste bhi rahe - 2 

Khush hoke sahe ulfat ke sitam - 2 
Rote bhi rahe, hanste bhi rahe - 2 

Hai dil ki lagi kya tujhko khabar 
Ek dard utha tharaayi nazar - 2 

tharaayi nazar 

Khaamosh the hum 
Khaamosh the hum is gham ki kasam 
Rote bhi rahe, hanste bhi rahe - 2 

Yeh dil jo jala ek aag lagi 
Aansu jo bahe barsaat hui - 2 
barsaat hui 

Baadal ki tarah 
Baadal ki tarah aawaara the hum 
Rote bhi rahe, hanste bhi rahe - 2 

Hum tujhse mohabbat karke sanam - 2 
Rote bhi rahe, hanste bhi rahe - 2

Thursday, April 28, 2011

Aapne yaad dilaaya to mujhe yaad aaya - Aarti 1962

Aapne yaad dilaaya to mujhe yaad aaya
Aapne yaad dilaaya to mujhe yaad aaya
Ke mere dil pe padha tha koyi gham ka saaya
Aapne yaad dilaaya

Main bhi kya cheez hoon khaaya tha, kabhi teer koyi
dard ab jaa ke utha, chot lage der huyi
Tumko hamdard jo paaya, to mujhe yaad aaya
Ke mere dil pe padha tha koyi gham ka saaya
Aapne yaad dilaaya

Main zameen par hoon na samjha, na parakhna chaha
aasmaan par yeh kadam, jhoomke rakhna chaha
aaj jo sar ko jhukaaya, to mujhe yaad aaya
Ke mere dil pe padha tha koyi gham ka saaya
Aapne yaad dilaaya

Maine bhi soch liya, saath nibhaane ke liye
door tak aaoungi main, tumko manaane ke liye
dil ne ehsaas dilaaya, to mujhe yaad aaya

Aapne yaad dilaaya, to mujhe yaad aaya
Aapne yaad dilaaya to mujhe yaad aaya

Monday, April 25, 2011

Feelings of Heart : Bollywood Harmonium

Feelings of Heart : Bollywood Harmonium

Song : Leke pehla pehla pyar bharke aankhon mein khumar
Movie : CID (1956)

Song : Bahut Shukriya Badi Meharbani 
Movie : Ek Musafir Ek Hasina (1962)

Song : Roote Rab Ko Manana Aasaan Hai 
Movie : Majboor (1974)

Song : Deewane Hai Deewanon Ko 
Movie : Zanjeer (1973)

The Bollywood Piano 2

The Bollywood Piano 2

Song : Dheere Dheere Machal Aye Dil-E-Beqarar 
Movie : Anupama (1966)

Song : Jab Jab Bahar Aaye Mujhe Tum Yaad Aaye 
Movie : Taqdeer (1967)


Song : Mujhe Tum Mil Gaye Humdum 
Movie : Love in Tokyo (1966)

Song : Jeevan Ke Din Chote Sahi
Movie : Bade DilWala (1983)

Piya aiso jiya mein samaaye gayo re

Piya Aiso Jiya Mein Samaaye Gayo Re
Keh Main Tan Mann Ki Sudh-Budh Ganwa Baithi
-----
Piya Aiso Jiya Mein Samaaye Gayo Re
Keh Main Tan Mann Ki Sudh-Budh Ganwa Baithi
Piya Aiso Jiya Mein Samaaye Gayo Re
Keh Main Tan Mann Ki Sudh-Budh Ganwa Baithi
Har Aahat Pe Samjhi Woh Aa Gayo Re (2)
Jhat Ghunghat Mein Mukhda Chhupa Baithi
Piya Aiso Jiya Mein Samaaye Gayo Re....

More Angna Mein Jab Purwaiya Chali, More Dwaare Ki Khul Gayi Kiwadiya (2)
O Daiyya, Dwaare Ki Khul Gayi Kiwadiya
Maine Jaana Keh Aa Gaye Sanwariya More (2)
Jhat Phoolan Ki Sajiya Pe Jaa Baithi
Piya Aiso Jiya Mein Samaaye Gayo Re....
Maine Sindoor Se Maang Apni Bhari, Roop Saiyan Ke Kaaran Sajaaya (2)
O Maine Saiyan Ke Kaaran Sajaaya
Iss Darr Se Kisi Ki Nazar Na Lage (2)
Jhat Nainan Mein Kajra Laga Baithi
Piya Aiso Jiya Mein Samaaye Gayo Re
Keh Main Tan Mann Ki Sudh-Budh Ganwa Baithi
Har Aahat Pe Samjhi Woh Aa Gayo Re (2)
Jhat Ghunghat Mein Mukhda Chhupa Baithi
Piya Aiso Jiya Mein Samaaye Gayo Re!

Sunday, April 24, 2011

TANUJA MUKHERJEE - Baharen Phir Bhi Aayengi

TANUJA MUKHERJEE

FEMALE SONGS

Roz Sham Aati Thi Magar - Imtihan 1974
Raat Akeli Hai Bujh Gaye Diye - Jewel Thief 1967
Aap Mujhe Achchhe Lagne Lage - Jeene Ki Raah 1969
Koi Kehde Kehde Kehde - Baharen Phir Bhi Aayengi 1966

DUETS SONG

Song: Yeh Dil Tum Bin Kahin Lagta Nahin
Movie: Izzat (1968)
Singers: Mohammed Rafi and Lata Mangeshkar
Music Director: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Sahir Ludhianvi

Saturday, April 23, 2011

Most Poetic Romantic Bollywood Songs

Most Poetic Romantic Bollywood Songs

1. Chandan Sa Badan - Saraswati Chandra (1968)

2. Chaudvin Ka Chand Ho - Chaudhvin Ka Chand (1960)