Maine to rakha hai Jannat apne shehar ka naam,
tum bhi kuch rakh lo apne shehar ka naam!
subah jahan masjid ke aajan se hoti hai,
shaam wahan mandir ke ghanto sang soti hai,
dopahar ko jahan panchi apne sur milate hai,
raat ko wahan chandrama, chakor ke sang aankh ladate hai,
eid par jahan hindu-muslim gale milte hai,
holi par wahan sab saat guziya khate hai,
diwali mein sab apne ghar mein roshani lagate hai,
wahi baisakhi mein sabhi bangara paate hai,
jahan aaj bhi sawan mein jhoole lage dekhai dete hai,
jahan aaj bhi baache mitti ke khilaune banate hai,
jahan aaj bhi sab, bujurgo ko aadab farmate hai,
jahan aaj bhi zamane ki zanjeer ko tod kar heer-ranjha chup-chup kar mila karte hai,
imambara jahan par apni khoobsurati ki kahani khud kehta hai,
charo tarah se saje parko ka jahan mela rehta hai
yeh sab dekh kar gomti nadi bhi itraati hai,
aur mast pavan ke saat haath milakar geet gati hai,
aur kehti hai...
jahan mein kaha aisa nazara dekhne ko milega,
ganga-jamuna sabhiyata ka mail kaha milega,
main to dhan hu is dharti mein apni dhara bhakar,
aisa khushiyon ka sansar kahan dekhne ko milega,
main bhi apne shehar par naaz karta hoon,
isliye to shayad Khuda ki Jannat se uski barabari karta hoon.
Shayad isliye maine rakha hai Jannat apne shehar ka naam...
Shayad isliyeeeeeee...
#Romil
मैंने तो रखा है जन्नत अपने शहर का नाम