Thursday, May 29, 2008

BASURI DEDE MOHE!

BASURI DEDE MOHE!

(Kahna) 
Kaahe sataye, Kaahe ko rulaye,
Dede meri basuri,
Radha, Kahe chupaye!

Basuri ke bin to main hu re aadhura,
Kya bigade meri basuri, teri Radha
Mohe tu bataye!

(Radha) 
Kaise main de du, basuri tujhko re Kahna,
Yeh basuri to meri saut si kehlaye!

Teri basuri ki dhun mein,
main shud-bhud bhul jaun,
chhodkar sab kaam-kaaz,
tere pass kheechi chali aau!

(Kahna)
Meri basuri to keval prem ki dhun sunaye,
kisi ko bhi tanik si chot na pahuchaye,
meri gaayein (cow) to bhi basuri sun – sun, thumak - thumak chali aaye,
Dede meri basuri,
Radha, Kaahe chupaye!

(Radha)
Kaisi yeh sautan meri tujhe, mujhse bhi jyada bhaye,
nahi dungi basuri tujhe Kahna,
tohe diyo bataye.

(Kahna) 
Kaahe sataye, Kaahe ko rulaye,
Dede meri basuri,
Radha, Kaahe chupaye!

#Romil

1 comment:

Anonymous said...

krishna ji. amazing yaar.