Friday, May 23, 2008

Haan Main Shaitan Hu Mujhe Pathar Maaro!

Haan Main Shaitan Hu Mujhe Pathar Maaro!

Maire Shehar Hote Hai Mehboob Ke Naam Se,

Maire Shaam Hote Hai Mehboob Ke Naam Se,

Rabb Ke Bandagi Ke Liye Ab Maire Haath Utate Nahi,

Uski Dargarh Par Main Kabhi Jaata Nahi,

Main Kisi Rabb Ko Ab Janta Bhi Nahi,

Ab To Har Saans Beetati Hai,

Sirf Apne Pyar Ke Intezaar Main,

Haan Main Shaitan Hu Mujhe Pathar Maaro!

Gaamo Se Choor Hu,

Uske Mohabbat Main Masgul Hu,

Uske Rang Roop Main Vahashi Hu,

Deewana Hu,

Koiye Shikwa Nahi Hai Mujhe,

Jo Chahe Mujhe Saaza Do,

Haan Main Shaitan Hu Mujhe Pathar Maaro!

Rabb Ka Khauf Ab Mujhme Nahi Hai,

Zindagi Ka Noor Ab Mujhme Nahi Hai,

Madhoosh Hu Main Uske Mohabbat Main,

Uske Husn Ke Bina Ab Kuch Yaad Nahi Hai,

Maira Har Dard Wohi Hai,

Maire Har Daawa Wohi Hai,

Maire Har Khushi Wohi Hai,

Maira Har Shehar Wohi Hai,

Maira Har Shaam Wohi Hai,

Khawab Wohi Hai,

Hosh Wohi Hai,

Badhoshi Wohi Hai,

Maut Wohi Hai,

Zindagani Wohi Hai,

Jaahan Wohi Hai,

Rabb Wohi Hai.

Haan..... Maira Rabb Wohi Hai.

[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: