Tuesday, May 27, 2008

"Hamne Har Rishta Badalte Dekha"



"Hamne Har Rishta Badalte Dekha"


Hamne Apni Naazaro Se har Rishta Badalte Dekha,

Maa-Bhai Badalte Dekha,

Dost Badalte Dekha,

Yaar Badalte Dekha,

Gulishta-E-Zindagi Ki Baahar Ko Badalte Dekha!

Hamne Har Rishta Badalte Dekha.....

Unke Tabiyat-E-Haal Janne Ke Liye,

Hum Hamesha Unki Raahon Main Paade Rahe,

Jalte Rahe Unki Yaadon Ki Parchaiye Main,

Humne Unko, Humko Rahoon Main Dekh Kar,

Apni Raahein Badalte Hue Dekha!

Hamne Har Rishta Badalte Dekha.....

Zaara Si Khushi Humko Mile,

Jaise Jaale Hue Ghar Main Ek Paudha Ugate Hue Dekha,

Magar Chaman Ko Kahaan Manzoor Tha,

Humne To Har Baag, Har Phool Ujadate Hue Dekha!

Hamne Har Rishta Badalte Dekha.....

Mujhko Umeed Thi, Ki Woh Zindagi-E-Humsafar Banege,

Magar Humne Unko Kisi Aur Ka Daman Pakadate Hue Dekha,

Hamne Har Rishta Badalte Dekha.....

[written by romil arora - copyright reserved]

2 comments:

Anonymous said...

door v dera lake sajanna vekh liya,
dil v samjhake variya main vekh liya,
phir v dil mera teri yaad bhulave na,
koi aisa dass thikana,
jithey teri yaad satave na

ROMIL ARORA said...

bahut wadiya g wadiya....