Wednesday, May 28, 2008

"RAJ...... Naam Kaha tha Maira"


"RAJ...... Naam Kaha tha Maira"


Naam kaha tha maira,
ek ne “Aae” keh kar bula liya,
fhir kisi ne “Abey” keh diya,
phir ek ki juban se ‘Oye” sunaye diya,
“Suno jara” chaar log aur kehne lage,
Jis ko jee chaha us naam se mujhe bula liya.............

fhir tumse sadak ke nukkar par aachanak mulaqat hue,
“Raj” keh kar tumne mujhe bula liya...............


aaisa laga jaise subah-subah gulab ne aapne panchadi khole ho,
ooosh ki boond jaise thande badan par giri hu,
hawan jaise naadi ke paani ko chu kar likle ho,

bas tumhare diye naam ko lekar main
ek panchi ke tarah khule gagan main pankh fhailaye udata ja raha hu.......

kaha ja raha hu kuch pata nahi,
bas udata ja raha hu.....

DOST, udata hi ja raha huuuu bahut dur,

bahut dur...... bahut dur DOST main udata ja raha hu......
[written by romil arora - copyright reserved..inspired]

3 comments:

Anonymous said...

jab se mile tum hum na rahe hum,
bekhabar dil se bekhabar zindagi se hum,
labon ki pyaas aur dil ki tadap yun badti jaye,
us par yaddon ki tapish ki chhuban se jale hum.

ROMIL ARORA said...

wadiya hai g....bahut wadiya...

Anonymous said...

bas tumhare diye naam ko lekar main
ek panchi ke tarah khule gagan main pankh fhailaye udata ja raha hu.......


jabardast line raj.