Saturday, May 31, 2008

“Sangharh ki Anokhi Chetna”

“Sangharh ki Anokhi Chetna”

“Zameendaro, thakhuro, shehareyo aur amiroo ne hazar-hazar dukh diye, aashai aur besahara kiya,
jaanvaro, vraksho (paido) aur humse hamare zameen chen le,
yeh batao ab bhi kaha badla hai hamare shoshan ka tarika,
hamare purkhe gaate rahe, dukh se bhare geet,
aur wo dekhate rahe hamare bahu, bateiyo, bhehano, baccho ka naach-gaana”

“Ab mujhse yeh dard nahi shehan hota hai,
amiroo, zameendaro, thakhuro, shehareyo ka aadmi mujhe roz tang karta hai,
main pareshan hu, aur dard se karah utha hu,
Uff aaise hai maire halat,
maire pass ghar nahi hai, maire bacche bhukhe-piyase hai, unke pass pehane ko kapada nahi hai”

“Ab kyon na main chuppi ko todh du?
kyon na main udashi, maun, nirasha ko chodh du?
kyon na main apne haaton main bandukh utha lu,?
kyon na main in zameendaro, thakhuro, amiroo aur shehareyo ki laashe bhicha du
kyon na?.... kyon na......?”

“Mujhe pata hai, mujhe laash beechane ke baad bhi khushi nahi milenge,
magar humko bhi azadi chahiye,
hamare baccho ko bhi pehanne ke liye kapade, khelane ke liye khilone, khane ko khana, peene ko pani, padane ko kitabe, school chahiye, dawa ke liye aaspatal chahiye,
Kya hum insaan nahi hai?”

“Main aaise nahi jeena chahata hu, roz-roz nahi marna chahata hu,
magar yeh zameendaro, thakhuro amiroo aur shehareyo mujhe jeene nahi dete hai,
main pareshan ho!
isliye aapne baccho ko khiloone ke jagah bandukh de raha hu,
jeene se pehle unko marne-maarne ka hausala de raha hu,
apne gharwalon ko baachane ki liye unko taiyaar kar raha hu”

“Uttho baccho aur apna insaaf mango,
apne logon ka haq mango,
baghwan ke barose ab na raho,
uttho aur apna insaaf mango,
apna haath uthao beekh maangane ke liye nahi haq cheenane ke liye”

“Saayad aaj ka tumhara balidaan kal ki peedhe ke liye vardan laye,
Isliye main yeh sangharsh ki jwala tumhare aandar jala raha hu”


Isliye main yeh sangharsh ki jwala tumhare aandar jala raha hu!
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: