Agar yeh zindagi hai to fhir maut kya hai?
Yahaan sapne tinke ki tarah bikhar jaate hai,
Har apne kaanch ki choodiyon ki tarah toot jaate hai,
Kis-kisko samete apne aanchal mein hum,
Zindagi ki aandhiyon mein aanchal uda jaate hai…
Agar yeh zindagi hai to fir maut kya hai?
Kitna badla-badla insaan ka chehra nazar aata hai,
Kabhi dost to kabhi dushman yeh chehra nazar aata hai,
Matlab ke riston ki door sabhi ne apne haathon mein tham rakhi hai,
Mukh main ram to bagal mein chhuri chupa rakhi hai….
Agar yeh zindagi hai to fir maut kya hai?
Sirf parchaiyon mein yaar nazar aate hai,
Zindagi ki daud mein dost peeche chute hue nazar aate hai,
Do kadam ka saath pana to namumkin hai,
Yahaan log janaze par bhi matlab nibhane se aate hai…
Agar yeh zindagi hai to fir maut kya hai?
[written by romil arora - copyright reserved]
No comments:
Post a Comment