Apne Kahan Hai…
Phoolon ki tarah jo khil kar milte the woh apne kahan hai?
Milte hi humko gale laga lete they woh dost kahan hai?
Dil todne ka silsila mere saath kyon hai laga?
Dekhe the jo mohabbat ke sapne woh kahan hai?
Hamari mohabbat ki daulat par jo qurban they kabhi,
Woh hamare mehboob kahan hai?
Dard se be-haal ho kar puchata hu,
Jinki yaadon mein, main soya nahi,
Jinki khushiyon ke liye maine kabhi duaon ka silsila roka nahi,
Woh sab mere apne kahan hai?
Jinki yaadon mein, main soya nahi,
Jinki khushiyon ke liye maine kabhi duaon ka silsila roka nahi,
Woh sab mere apne kahan hai?
#Romil
अपने कहां है...
फूलों की तरह जो खिलकर मिलते थे
वो अपने कहां है?
मिलते हैं हमको गले लगा लेते थे
वो दोस्त कहां है?
दिल तोड़ने का सिलसिला मेरे साथ क्यों है लगा
देखें थे जो मोहब्बत के सपने वो कहां है?
हमारी मोहब्बत की दौलत पर जो कुर्बान के कभी
वो हमारे महबूब कहां है?
दर्द से बेहाल होकर पूछता हूँ
जिनकी यादों में मैं सोया नहीं
जिनकी खुशियों के लिए मैंने कभी दुआओं का सिलसिला रोका नहीं,
वो सब मेरे अपने कहां है?
#रोमिल
No comments:
Post a Comment