Thursday, June 26, 2008

Dil-e-Alfaaz

Dil-E-Alfaaz
दिल-ए-अल्फ़ाज़

Mere haatho ki hatheli ki lakeeron se woh nikal gaya,
meri hatheli fir se woh suna kar gaya!

मेरे हाथों की हथेली की लकीरों से वो निकल गया, 
मेरी हथेली फिर से वो सुना कर गया!

Badi berukhi se usne daaman chuda liya,
daulat se haatho mein mohabbat ki mehandi racha liya!

बड़ी बेरुखी से उसने दामन छुड़ा लिया, 
दौलत से हाथों में मोहब्बत की मेहंदी रचा लिया!

Roz raat ko chand ko dekh kar yahi sochata hu,
Jaise yeh chand ki safed chandani mujh par kafan udha rahi ho!

रोज रात को चांद को देखकर यही सोचता हूं, 
जैसे यह चांद की सफेद चांदनी मुझ पर कफन उड़ा रही हो!

Is kadar durr hokar bhi humne ehsaaso ka diya jalaya tha,
Jaise rabb ke ghar main rooh ki rooh se mohabbat ho rahe ho!

इस कद्र दूर होकर भी हमने एहसासों का दिया जलाया था 
जैसे रब के घर में रूह की रूह से मोहब्बत हो रही हो!

Aaj bhi log jab mujhko zinda dekha karte hai,
teri nazron ko qatil kahan karte hai!

आज भी लोग जब मुझको जिंदा देखा करते हैं, 
तेरी नजरों को कातिल कहा करते हैं...

#Romil
#रोमिल

2 comments:

Anonymous said...

Aise bhi sitam ishq me hote hain,
Ke ratoon ko hum jagte aur woh sote hain,
Kabhi bhoole se jo do pal ko lage aankhe,
To khawab me bhi hum to unse qalt hote hain!

AKHILESH said...

achaa hai mea ahi koi baat jo hum se chup jaye