Tuesday, June 10, 2008

dil se alfaaz...


dil se alfaaz...


"Khudha tumse naraz hai,
har apna tumhara dushman hain,
wo sab tumse jalte hain,
kyonki ek aacha ka dil tumhare paas hain"


"Bahut gum hai is zindagi main,
hamesha muskurate raho,
humsafar aur bhi mil jayenge huzur,
bas tum apne kadam barate raho,
jo rukh gaye tum,
to tumhari haal bhi us Jheel ke paani ke tarah hoga,
jo kamal ko khilane ke baad bhi kisi insaan ke kaam na aa saka"


"O bewafa mujhe kehne wale,
jara apne dil main jhak kar dekh,
wafa kab ki the maine jo tune mujhe bewafa samjha"
“Aisa laga ki woh apna haal - e - dil likh rahe hai,
magar jab khat padha to laga wo hamara haal - e - dil bata rahe hai”
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: