Monday, June 23, 2008

Na jaane woh kyon?



Na jaane woh kyon?


Jis par aitbaar rehta hai khud se jyada,

Na jaane woh kyon daaga de jaata hai...



Jis par pyar rehta hai jahaan se jyada,

Na jaane woh kyon bewafa ban jaata hai...



Jis par rehta hai aitbaar woh umar bhar saath rahega,

Na jaane woh kyon beech raahon main chod jaata hai...



Jisse daite hai hum dil ka tohfa,

Na jaane woh kyon dil par zakhm de jaata hai...

[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: