Wednesday, June 4, 2008

"phir taire baare main socha karunga"


"phir taire baare main socha karunga"

socha tha ki tujhe yaadon ke jharokho main basa kar rakhunga,
apne dil ke kise kone main basa kar rakhunga,
har gum main, har khushi main basa kar rakhunga,
har khawab main, har jasbhat main basa kar rakhunga,
har apne sawal main, har apne jawab main basa kar rakhunga,
subah ki pehle kiran main, aur chand ki pehle chandani main basa kar rakhunga,
magar jab neend khule to khulaye aasman ke neeche main bhaitha tha,
yahi soch raha tha ki pehle khud ko basa lu,
phir taire baare main socha karunga.
[written by romil arora - copyright reserved]

2 comments:

Anonymous said...

tere ISHQ ke hui main deewani is qadar,
na waqt ka hosh na khud ki khabar,
na bhuk lage na pyaas bas intezaar rahe tere didaar ka,
har jagah har pal tujhe dhundhti rahe meri nazar.

wow g gr8 compositions........leh me read all of them...... then positively throw some comments

ROMIL ARORA said...

sukriya g sukirya....aapka dil se sukriya..