Shayari-e-dil
Socha tha mehfil mein bas unka deedar kar aayenge,
Par yeh nahi socha tha ki mohabbat-e-gum saath layenge!
Agar mere samne aana to sambhal kar jaan,
Dil-e-betab ki aadat hai machal jaane ki!
Ghum ki raaton mein,
uske intezar mein taaron se karta raha uski baatein,
Khushi ki subah aaye to woh rasta badal gaya!
Unka deedar hota, shama-e-roshani, dil mein jala lete,
Nazron ki pyaas bhuj jaati,
Thoda sa hum bhi muskura lete!
[written by romil arora - copyright reserved]
3 comments:
phool umeedon k khil hi jayenge,
hum ek roz sanaam mil hi jayenge,
kaun rokega sagar ki maujon ko,
toofan uthenge to kinare mil hi jayenge.
aaj bhi karte hain tera hi intezaar,
aankhen ruki,dhadkan ruki,saansein ruki.
ruk gayi ye zindagi.
phir bhi aas karti hai ye karar,
janmon tak karenge tera hi intezaar.
bahut bahut bahut khoob..
sukriya g sukriya aapka.
Post a Comment