Tuesday, July 8, 2008

aaj bhi main aisa hu!



Bachpan mein maa ki goad bheego deta tha,
Aaj maa ke aankhen bheego deta hu!

Bachpan mein bhai ko pareshan kiya karta tha,
Aaj bhai ko uljhan mein daal deta hu!

Bachpan mein doston se ladai kar liya karta tha,
Aaj doston ke dil toodh deta hu!

Shayad main bachpan se aisa tha,
Kisi ko koi Khushi nahi de sakta tha,
Kal bhi main aisa tha, aaj bhi main aisa hu!

[written by romil arora - copyright reserved]

2 comments:

Anonymous said...

Best poetry raj. best best best.

ROMIL ARORA said...

sukriya g sukriya g.