Teri aansoo ki boondon mein hum nazar aayenge,
kabhi rona mat jaan hamari,
warna hum dil se kabhi nahi jayenge!
Chand lamho mein daaman sab bheg jayega,
mohabbat hai tujhe yeh sabko pata chal jayega,
aankhon mein tere sabko hamara chehra nazar aayega,
kabhi rona mat jaan hamari,
warna hum dil se kabhi nahi jayenge!
Aansoo tere dekh kar jab zamana puchega, tab kya batayegi,
kya apni bewafai ki kahani sunayegi,
kabhi rona mat jaan hamari,
warna hum dil se kabhi nahi jayenge!
Sach to yeh bhi hai tera rona hum bhi nahi dekh payenge,
zinda hi marr jayenge,
gumo ki baarish mein beh jayenge,
kabhi kiya ho agar humse pyar to bas itna khayal rakhna,
kabhi rona mat jaan hamari,
warna hum dil se kabhi nahi jayenge!
[written by romil arora - copyright reserved]
2 comments:
yeh kaise ho sakta hai
tu yaad aaye aur aankoo main aansu na aaye.
zamane ki mujhe purwah nahi
jab tu hi maira khuda hai.
khoobsurat shabd.
Post a Comment