Udasiyaan Chah Jaati Hai!
Jab se tum ho gayi ho gair ki,
Tera naam leta hun main to udasiyaan chah jaati hai!
Tumhari yaadon mein hamesha khoya rehta hun main,
Jab yaad, tadap ban jaati hai to udasiyaan chah jaati hai!
Lakhon dard hai is dil mein tere jaane ke baad,
Main jab bhi muskurata hun to udasiyaan chah jaati hai!
Jaane kis kadar ho gaya hu mayush khud se,
Jab kisi se tumhari baatein karta hun to udasiyaan chah jaati hai!
#Romil
उदासियां छा जाती है
जब से तुम हो गए हो गैर की
तेरा नाम लेता हूं मैं तो उदासियां छा जाती है...
तुम्हारी यादों में हमेशा खोया रहता हूं मैं
जब याद तड़प बन जाती है तो उदासियां छा जाती है..
लाखों दर्द है इस दिल में तेरे जाने के बाद
मैं जब भी मुस्कुराता हूं तो उदासियां छा जाती है...
जाने किस कदर हो गया हूं मायूस खुद से
जब किसी से तुम्हारी बातें करता हूं तो उदासियां छा जाती है...
#रोमिल
No comments:
Post a Comment