Wednesday, July 9, 2008

uski bewafai par yakeen nahi aaya....

Muskura kar gaya, mujhe yakeen nahi aaya,
Mujhe bata kar gaya, mujhe yakeen nahi aaya,

Log kehte rahe ki woh laut aayega,
par mujhko unki baaton par yakeen nahi aaya,

Chirag jalate rahe, roshani hoti rahe, main intezaar karta raha,
Par woh laut kar aayega mujhe yakeen nahi aaya,

Barbad kar gaya zindagi hamari,
De gaya, maire aankhon main aansoo,
Toodh gaya, maire mohabbat ke tajmahal ko,
Magar mujhe uski bewafai par yakeen nahi aaya!
[written by romil arora - copyright reserved]

3 comments:

Anonymous said...

wah shyar wah.

ik shaks mujh ko zekhm e shanasai de gya
jab de saka na pyar to ruswai de gya
jate hue wo apni nishani ke tor per
barre khloos se mujhe tanhai de gya

Anonymous said...

wah shyar wah.

ik shaks mujh ko zekhm e shanasai de gya
jab de saka na pyar to ruswai de gya
jate hue wo apni nishani ke tor per
barre khloos se mujhe tanhai de gya

ROMIL ARORA said...

sukriya g sukriya.