Tuesday, July 15, 2008

yeh baat samaj nahi aai...

Humne usko baat-baat par muskuraya,
magar usne mujhe rula diya,
yeh baat samaj nahi aai...

Humne, waafa mein apni zindagi beeta di,
magar usne bewafai kyon ki,
yeh baat samaj nahi aai...

Humne, intezaar mein raatein beeta di,
magar woh hamari liye do pal ruk na saki,
yeh baat samaj nahi aai...

Hamne, sapne mein hi mulaqate saja li,
magar woh hamara khayaal bhi saja na sake,
yeh baat samaj nahi aai...

[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: