Thursday, August 28, 2008

Kya Mere Saath Dene Ki Saaza Di?



Dushman Rabb...


Tune Mujhe Khushi Nahi De,
Koiye Baat Nahi,


Tune Dard-Gum Beshumaar Diye,
Koiye Baat Nahi,


Meri Umeed, Chahat Barbaad Ke,
Koiye Baat Nahi,


Meri Zindagi Main Roshani Cheen Kar, Andhere Diye,
Koiye Baat Nahi.
.
.
.
Par Mere Sanam Ko Kyon Dukh-Dard Ki Sugat Di,
Kya Mere Saath Dene Ki Saaza Di!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Ilzaam...

Wah Re Sanam Tumne Bhi Meri Wafao Ki Kya Saugat Di,
Hamari Mohabbat Na Badnaam Ho Isi Sharafat Mein,
Main Thodi Dair Chup Raha
Aur Tum Ilzaam Laga Kar Chal Di!

#Romil

Deedar....

Ilzaam Par Ilzaam Sahe Ja Raha Hu,
Zalil Hokar Zindagi Main Jeeye Ja Raha Hu,
Sochata Hu, Kaun Sa Mohabbat Ka Taj Mahal Is Duniya Se Main Le Jayunga Us Duniya Main,
Na Jaane Kyon Mehboob Ke Deedar Main Maara Ja Raha Hu!
^*^*^
[written by romil arora - copyright reserved]

aitbaar karo...

mere vaadon par aitbaar karo,
kabhi jhut nahi bolunga,
jo kiya hai vaada saath nibhane ka,
zindagi bhar saath nibhayunga!
~*~*~
[written by romil arora - copyright reserved]

kyon ujadate ho...

duniya ke kaatar main humko kyon laate ho,
aapne ko baigana kyon banate ho,
zaara si galti par itne khaafa ho tum,
mohabbat se bane ghar ko kyon ujadate ho...
[written by romil arora - copyright reserved]

Mujhe Mita Dejeiyega....


Dushman Rabb Mumkin Ko To Mujhe Mita Dejeiyega,
Ya Fhir Pathar Ka Boot Bana Dejeiyega,
Jo Na Saansein Le,
Jo Na Aansoo Bahaiye,
Jisme Na Dil Dhadake,
Ek Deewar Par Lage Tasveer Bana Dejeiyega...
[written by romil arora - copyright reserved]

Kamyabi....

Hamesha Kamyabi Tumhare Kadam Chume,
Hamesha Zindagi Tumko Salaam Kare,
Ghar Main Sabko Naaz Ho Tum Par,
Baadhe-Bhujurgo Ka Hamesha, Tumhare Sir Par Haath Rahe...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, August 27, 2008

Har Roz Ka Jhagada Kaun Kare....

Dushman Rabb Jo Maine Ki Hai Khata To Saaza De Mujhe,
Har Roz Ka Jhagada Tujhse Kaun Kare?

Yeh Roz-Roz Tarfana Chod Mujhe,
Yeh Roz-Roz Dard Dena Chod Mujhe,
Ab Faisala Har Baat Ka Kar Mujhse,
Ya Fhir Maut De Mujhe,
Har Roz Ka Jhagada Tujhse Kaun Kare?
[written by romil arora - copyright reserved]

Kabr...

Dushman Rab Kabool Meri Dua Ho Jaye,
Mere Naseeb Mein Bhi Kabr Ho Jaye!

#Romil

दुश्मन रब क़बूल मेरी दुआ हो जाये,
मेरे नसीब में भी कब्र हो जाये!

#रोमिल

Bebas Insaan....

Ilzaam Na Laga Aaise Humpar Ki Hum Bardast Na Kar Sake,
Jeete Hai Tere Liye, Bas Tere Liye Hi Hum Marr Sake,
Haalaton Ko, Mera Kasoor Na Bata Sanam,
Jab Dushman Rab Ho To Bebas Insaan Kya Kar Sake!

#Romil

इल्ज़ाम ना लगा ऐसे हमपर की हम बर्दाश्त ना कर सके,
जीते है तेरे लिए,
बस तेरे लिए ही हम मर सके,
हालातों को, मेरा क़सूर ना बता सनम,
जब दुश्मन रब हो तो बेबस इंसान क्या कर सके...

#रोमिल

Aansoo...

(*)
Dekho Mere Aansoo Yahi Karte Hai Pukar,
Aao Chale Aao Mere Sanam, Mere Yaar,
Poochane Aansoo Mere Kya Nahi Aaoge Tum,
Kab Tak Begunah Par Sitam Dhaoge Tum!
(*)

#Romil

देखो मेरे आँसू यहीं करते है पुकार,
आओ चले आओ मेरे सनम, मेरे यार,
पोछने आँसू मेरे क्या नही आओगे तुम,
कब तक बेगुनाह पर सितम ढाओगे तुम...

#रोमिल

Aaise Na Ilzaam Lagao Hum Par...

Ilzaam Par Ilzaam Hum Par Kyon Lagate Ho?
Dusaron Ki Khata Ki Saaza Humko Kyon Sunate Ho?
Puchana Hai To Pucho Waqt Se Ki Kaun Sa Waqt Humne Tumko Yaad Nahi Kiya?
Puchana Hai To Pucho Chand Se Ki Kis Raat Usse Tumhari Baat Nahi Ki?
Puchana Hai To Pucho Un Haawaon Se Jis Par Maine Har Pal Tumhari Surat Banai?
Puchana Hai To Pucho Un Ehsaaso Se Jo Main Har Pal Tumhare Saath Beetata Tha?

.
.
Pucho Ja Kar Pucho Sanam...
Aaise Na Ilzaam Lagao Hum Par...
Pucho Ja Kar Pucho Sanam...

#Romil

faasale...

Do kadam tum chalo,
Do kadam hum chale,
Mit jayenge har ek faasale kuch hi palon mein...
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Shaq Karte Ho....


Baat-Baat Par Rishte Todh Dete Ho,

Baat-Baat Par Saath Chhod Dete Ho,

Na Main Gunehgaar, 
Na Tum Gunehgaar,

Mohabbat Ki Tadap Itni Hai Dono Mein,

Kisi Aur Ke Kareeb Paate Ho To Shaq Karte Ho.
[written by romil arora - copyright reserved]

Kaise Chod Sakta Hu ...

Kaise Chod Sakta Hu Tera Saath,
Kaise Tujhe Rota Hua Dekh Sakta Hu,
Kaise Tere Dil Ko Toodh Sakta Hu,
Jisse Banaya Hai Apna Sabse Pyara Dulara Baacha Usse Kaise Tanha Chod Sakta Hu!
[written by romil arora - copyright reserved]

Khaas...

~*~
Duniya Main Koiya Khaas Hota Hai,
Jiske Bina Dil Udaas Hota Hai...

~*~

Mehfil Main To Bahut Hote Hai Janne Wale,
Magar Baahon Main Sirf Humdum Ke Hi Haanth Hota Hai...
~*~
[written by romil arora - copyright reserved]

Dil ke naazar....

*****
Dil ke naazar se dekho,
ek hi chehara naazar aayega,
mann ko darpan bana lo,
fhir gaur se dekho mehboob ke galtiyoon main bhi
tumhare liye pyar naazar aayega.

*****
[written by romil arora - copyright reserved]

Tera Daaman...


Tera Daaman Khushiyoon Se Bhar Denge Hum,
Zindagi Itni Khoobsurat Hogi Tere Ki Tere Muskaan Ki Naazar Utarange Hum!
[written by romil arora - copyright reserved]

Kaash...

Kaash Rabb Kare Aaisa Ho Jaye,

Tu Meri Kabbr Ban Jaye Aur Main Tujhme Sama Jayun!
[written by romil arora - copyright reserved]

Chalo Sanam Ek Naya Taj Mahal Banaiye...



Chalo Sanam Ek Naya Taj Mahal Banaiye,

Usse Apne Pyar Se Hum-Tum Fhir Sajaye,

Wahi Khushaboo, Wahi Phool Lagaye,

Charon Taraf Mohabbat Ke Sitare Jagmagaye,

Baahon Main Baahein Dal Kar Kuch Pal Chain Se So Jaye,

Chalo Sanam Ek Naya Taj Mahal Banaiye,

Apne Mohabbat Se Usko Banaiye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Humko yakeen hai ki tum aayoge....

~Humko yakeen hai ki tum aayoge~
~Apni baahon main humko sajaoge~
~Saare sapne poore karoge~
~Tooth kar humko chahoge~
~Apne haanton main humse mehandi sajwayoge~
~Woh pyari-pyari payal ki dhun humko sunaoge~
~Humko yakeen hai ki tum aayoge~
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, August 26, 2008

Mujhe Hamesha Be-Izzahate Mile...

Jahan Yeh Kehta Tha...

Rab Jo Tere Sajde Mein Rehta Hai,
Woh Hamesha Izzat Se Rehta Hai.

Rab Jo Teri Bandagi Karta Hai,
Woh Hamesha Izzat Se Rehta Hai.


Rab Jo Tere Bataiye Hue Usoolon Par Chalta Hai,
Woh Hamesha Izzat Se Rehta Hai.

.
.
.
Dushman Rab...
Maine Tera Sajda Kiya,
Teri Bandagi Ki,
Tere Usoolon Par Chala...
.
.
Par Mujhe Hamesha Beizzati Mili,
Kabhi Parivar Mein,
Kabhi Doston Mein,
Kabhi Pyar Mein...

#Romil

जहां यह कहता था... 

रब जो तेरे सजदे में रहता है 
वो हमेशा इज्जत से रहता है...

रब जो तेरी बंदगी करता है 
वो हमेशा इज्जत से रहता है... 

रब जो तेरे बताए हुए उसूलों पर चलता है 
वो हमेशा इज्जत से रहता है... 
.
.
.
दुश्मन रब 
मैंने तेरा सजदा किया 
तेरी बंदगी की 
तेरे उसूलों पर चला...
.
.
पर मुझे हमेशा बेइज़्ज़ती मिली
 कभी परिवार में 
कभी दोस्तों में 
कभी प्यार में... 

#रोमिल

Aarzoo...

Sajde Main Pada Rehta Tha Tere Rabb,
Tera Diye Sab Dard, Muskura Kar Sehta Tha,
Jabse Cheena Hai Tune Mere Sanam Ko Dushman Rabb,
Tab Se Maut Ki Aarzoo Main Pada Rehta Hu!
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, August 25, 2008

Meri Mannato Ka Yeh Sila Diya...

Meri Mannato Ka Yeh Sila Diya Mere Dushman Rab,
Cheen Kar Har Khushi, Gum Aata Kar Diya!
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, August 24, 2008

Zindagi ...


Kehne Ko To Zindagi Bahut Choti Hai,
Dushman-E-Rabb Tune Zakhm De-Dekar Usko Baada Bana Diya!
[written by romil arora - copyright reserved]

Bekasuron Par Zulm...

Jaane Kya Tu Mujhse Dushman-Rabb Chahata Hai,

Mere Zakhmo Ko Naasur Banana Chahta Hai,

Meri Khata To Mujhko Bata De,

Ya Tu Bekasuron Par Zulm Karna Janta Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Dushman-E-Rabb


Jab Hussain Par Nahi Reham Kiya,
Na Hi Jesus Par Daya Khaye,
Ram Ko Diya Vanvaas Tune,
Krishna Ko Di Maa-Pita Ki Judai,
Gandhi Par Bhi Tune Goli Chalwaye,
Hindu-Muslim Main Aag Lagwaye,
.
.
.
Fhir Dushman-E-Rabb Tu Mujhe Kaise Baksh Sakta Tha!
.
.
Tera To Kaam Hai Dukh-Dard-Zakhm-Taraf Dena,
Yeh Saugahat Tune Hi Banaiye!
[written by romil arora - copyright reserved]

Zakhmo Ka Ishtihaar


Har Kisi No Nahi Naazar Aate Zakhm,
Jitne Aandar Hai Utne Hi Hai Baahar,
Dushman-Rabb Ne Sirf Diye Hai Zakhm,
Ab To Lagta Hai Aaisa Jaise Main Hu Zakhmo Ka Ishtihaar!
[written by romil arora - copyright reserved]

Itna Chaha Maut..

Itna Chaha Maut,
Fir Bhi Maut Nahi Aati,

Ae Dushman-Rab Tu Hi Bata Maut Aaye To Aaye Kaise?
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, August 23, 2008

Dushman-E-Rabb

Dushman-E-Rabb

Har Khushi Mujhse Cheen Li Tune,
Naaz Mere Rabb Mujhse Cheen Li Tune,
Mera Parivar Mujhse Cheen Liya Tune,
Fhir Bhi Tujhe Sakoon Nahi Mila,
Ek Humsafar Banaya Tha Maine,
Woh Bhi Mujhse Cheen Liya Tune!
[written by romil arora - copyright reserved]

Dushman...


Jo Mujhko Pasand Hota Hai,
Rabb Mujhse Cheen Laita Hai Tu,
Kya Kasoor Hai Mera Mujhe Yeh To Bata,
Mera Sabse Baada Dushman Hai Tu!
[written by romil arora - copyright reserved]

Mujhe Maut De De...

Rait Ko Chahe Samundar Kar De,

Aasmaan Ko Chahe, Dharti Kar De,

Par Mere Dushman-Rab Mujhe Aur Na Tadpa,

Mujhe Maut De De...
[written by romil arora - copyright reserved]

Chahane Wale

Jinke Honton Par Muskaan,
Hanton Mein Dard Ke Piyale Honge,
Wohi Sanam, Tere Chahane Wale Honge!
[Inspired. written by romil arora - copyright reserved]

Pasand

Hum Wafadaar The, Isliye Unko Pasand Nahi The,

Shayad Unko Bewafa Pasand The...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tohfa...

Jab Jaana Hota Hai To Yaadein Kyon Chhod Jaate Ho,

Dekar Barbadiyon Ka Tohfa Tanha Kyon Chhod Jaate Ho!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Yaadon

Uski Yaadon Se Kuch Hum Aaise Judhe,
Ki Aur Koi Yaad Nahi Aata!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

phool...

Phool Hue Hai Itne Saaste Bazaron Mein...

Ki Dushman Bhi Lekar Chale Aaye Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, August 22, 2008

Aaja Re Aaja Kanhaiya,




Aaja Re Aaja Kanhaiya,
Aaja Re Aaja Kanhaiya,
Brij Mein Gopiya Akele-Akele Ghume,
Aaja Re Aaja Kanhaiya!



Brindavan Ki Galiyaan Tum Bin Suni-Suni Lage,
Nis Din Tumhari Yaad Mein Aakhiyan Roye Lage,
Ab Na Pucho Kanhaiya Kya Haal Hai Hamre,
Aaja Re Aaja Kanhaiya!
Aaja Re Aaja Kanhaiya!


Tum Bin Koi Na Jamuna Ke Pass Basuri Bajaye,
Na Hi Koi Gopiyo Ke Saath Raas Rachaye,
Hamare Ghar Mein Bhi Koi Na Makhan Churaye,
Aaja Re Aaja Kanhaiya!
Aaja Re Aaja Kanhaiya!


Ab To Daras Dikhajaa Natkhat,
Ab Kya-Kya Tumko Apni Peeda Hum Sunaye,
Aaja Re Aaja Kanhaiya!
Aaja Re Aaja Kanhaiya!
[written by romil arora - copyright reserved]

Janmo-Janmo Re Kanhaiya...



Janmo-Janmo Re Kanhaiya,
Natkhat Sa Kanhaiya Aaya,
Aaya Aaya Re Kanhaiya Aaya!


Sabko Darash Dekhane Aaya,
Murli Ki Dhun Sunane Aaya,
Aaya Aaya Re Kanhaiya Aaya!


Bharat Ka Rakhwala Aaya,
Geeta Ka Vachan Sunane Aaya,
Aaya Aaya Re Kanhaiya Aaya!

Yasodha Ka Lal Aaya,
Hari Ka Swaroop Laya,
Aaya Aaya Re Kanhaiya Aaya!
[written by romil arora - copyright reserved]

Sun Re Kanhaiya Ki Maiya...



Ohh. Sun Re Kanhaiya Ki Maiya...



Chota Sa, Pyara Sa,
Baada Natkhat Hai,
Tera Kanhaiya,
Tu Hi Samjha Humko,
Hum Kya Kare Yasodha Maiya...



Chheed Kar Humko,
Jaane Kahan Chup Jata Hai,
Natkhat Kanhaiya,
Tu Hi Samjha Humko,
Hum Kya Kare Yasodha Maiya...




Makhan Churaye,
Sabko Kheelaye,
Matki Hamari Fhood Jaye,
Natkhat Kanhaiya,
Tu Hi Samjha Humko,

Hum Kya Kare Yasodha Maiya...


Sabka Pyara,
Jag Ka Dulara,
Kyon Hai Itna Natkhat Kanhaiya,
Tu Hi Samjha Humko,
Kyon Hai Itna Natkhat Kanhaiya...
Ohh. Kanhaiya Ki Maiya... Tu Hi Samjha Humko.
[written by romil arora - copyright reserved] 

Krishna Kanhaiya...



Chota Sa, Re Pyara Sa 
Krishna Kanhaiya,
Sabki Aankhon Ka Tara
Krishna Kanhaiya,
Jag Ka Dulara
Krishna Kanhaiya!

Sabka Rakhwala, 
Krishna Kanhaiya,
Yasodha Ka Ladla 
Krishna Kanhaiya,
Radha Ka Deewana
Krishna Kanhaiya!

Mohani Surat Wala
Krishna Kanhaiya,
Moor Mukhat Dharak
Krishna Kanhaiya
Sabko Apni Bansuri Ki Dhun Par Nachaye 
Krishna Kanhaiya!
[written by romil arora - copyright reserved]

Duniya Walon...

Duniya Walon Daulat Ke Nashe Main Zindagi Na Jiya Karo,

Bebas-Laachar Logon Ki Dua Bhi Liya Karo,

Khushiyoon Ke Nashe Main Dard Walon Ke Dard Bhi Suna Karo,

Dusaroon Ki Majbooriyoon Par Muskurane Wale, Kahi Unki Aah Barbaad Na Kar De Tumko,

Kabhi - Kabhi Unke Aansoo Bhi Pooch Liya Karo.
[written by romil arora - copyright reserved]

Mann Ko Sukun....

Rab Se Maango To Jaroor Milta Hai,
Rab Apne Bande Ki Madad Jaroor Karta Hai,
Rab Ke Naam Se Himmat aur Umeed Milti Hai,
.
.
.
Rab Kuch Nahi Karta,
Bas
Aisi Baatein Mann Ko Sukun Deti Hai.

[written by romil arora - copyright reserved]

Vishwas...

Rab Par Mujhe Vishwas Nahi Hai,
Main Insaan Hokar Bhi Insaan Nahi Hu,
Yeh Rab-E-Kudrat Ka Karam Hai,
Main Kareeb Hokar Bhi Uske Kareeb Nahi Hu!
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, August 21, 2008

Zindagi-E-Haalat...


Zindagi To Sari Kati Dukhoon Main,
Aakhiri Waqt Kya Zindagi-E-Haalat Par Runj Kare!
[written by romil arora - copyright reserved]

Fursat...

Rabb Ko Daulat Ki Duniya Se Fursat Hoti To Mere Haalat Puchata,

Woh To Sirf Daulat Walon Ke Baare Main Hai Sochata.
[written by romil arora - copyright reserved]

Meri Zindagi-E-Haalat


Bana Kar Mujhko, Bhool Gaya Hai Rabb,
Agar Woh Mujhko Dekhata To Jarur Usko Meri Zindagi-E-Haalat Par Hota Runj!
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, August 18, 2008

intezaar...

Tum hamesha majbooriyon ka libash pehne raho sanam,

Humko to tumhare intezaar ki aadat si ho gai hai sanam...

*)
[written by romil arora - copyright reserved]

Fitrat...

Sanam Ke Vaadon Ki Shishe Main Utar Gaye Hum,

Kya Kare Aitbaar Ki Fitrat Hai Hamari!
[written by romil arora - copyright reserved]

Bemisal Bana De....

Zakhm De Dekar Tumne Mujhe Ghazal Bana Diya,
Sanam Aur Zakhm De Dekar Mujhe Bemisal Bana De!
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, August 17, 2008

Muskurahat...

Mujhe Bhi Apni Khushi Mein Kar Lo Shareek,

Main Bhi Dekhna Chahta Hu Ki Dusaron Ke Gum Mein Kaise Muskurate Hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Nazar!

Har Chehare Main Mujhe Tu Nazar Aata Hai,

Har Nazar Se Tu Mujhe Dekhata Nazar Aata Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wajah...

Uski Bewafai Ke Peeche Koi Na Koi To Wajah Hogi Yaaron,
Warna Yuhi Koi Hamare Shehar Mein Kisi Ka Dil Nahi Tooda Karta...
[written by romil arora - copyright reserved]

Umeed

Guzaar Di Umar Isi Umeed Mein,
Woh Aayenge Kabhi Na Kabhi 
Hamara Nahi To Is Shehar Ka Haal Puchane...

#Romil

गुजार दी उम्र इसी उम्मीद में, 
वो आयेंगे कभी ना कभी 
हमारा नहीं तो इस शहर का हाल पूछने...

#रोमिल

Zindagi....

Na Magroor Hun, Na Nashe Mein Chuur Hun, Is Zindagi Par Logon...
Yeh Zindagi Maut Ki Aamat Hai Logon...
Pal Bhar Mein Chali Jayegi,
Yeh Shaam Ki Tarah Hai Logon!
[written by romil arora - copyright reserved]

Is tanhai se to mera yarana purana hai...

Tum mujhe kya tanhai mein chhodogi sanam,
Is tanhai se to mera yarana purana hai...

[written by romil arora - copyright reserved]

Intezaar..

Mat Ro Mere Maut Par Doston,

Aur Jeeta Rehta To Yahi Sanam Ka Intezaar Rehta!
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, August 16, 2008

Dil Jhoot Khoobsurati Se Bola Karta Hai...

Uske Dil Ki Yeh Baat Mere Dil Tak Pahuchi Hai!

"Main Din-Raat Tumhein Yaad Karti Hu,

Teri Judai Mein Roti Hu,

Kaagaz Par Aansoo Se Chittiyaan Likha Karti Hu,

Har Waqt Tujhse Milne Ki Dua Karti Hu,

Main Tujhe Dekhne Ke Liye Tarasti Hu..."


Main Janta Hu... 
Dil Jhoot Khoobsurati Se Bola Karta Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Alfaaz...

Jab Samajh Nahi Thi Sanam Ko Hamari Shayari Ke Alfaazo Ki,
Tab Khoob Taliyaa Bajaya Karti Thi...
Jab Se Samajhane Lage Hai Hamari Shayari Ke Alfaazo Ko,
Tab Se Aansoo Bahaya Karti Hai...
[written by romil arora- copyright reserved]

Yaad Aur Aas...

Mera Jeena, 
Mera Marna 
Teri Yaad aur Aas ke Beech mein hai...

Teri Yaad mujhe Jeene Nahi Deti hai
aur 
Teri Aas Mujhe Marne Nahi Deti hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Farishto Ka Kaam Hota Hai....

Dusaron Ko Khushi Dena,
Farishto Ka Kaam Hota Hai.

Apne Dukh Ki Parvah Na Karte Hu, Dusaron Ko Sukh Dena,
Farishto Ka Kaam Hota Hai.

Apna Jeevan Ki Parvah Kiye Bina, Dusaron Ko Jeevan Dena,
Farishto Ka Kaam Hota Hai.

Rab Ki Bandagi Karna,
Uske Sajde Mein Sadaa Rehna,
Uspar Bharosa Rakhna,
Farishton Ka Kaam Hota Hai.

Hamesha Imandaar Rehna,
Sadaa Sach Bolna,
Sadaa Sabka Bhala Sochana, Bhala Karna,
Sabse Achhai Ka Vyayahar Karna,
Farishto Ka Kaam Hota Hai.


Meri NAAZ Bhi Aisi Hi Hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Khabar...

Kya Zameen, Kya Aasmaan Ki Khabar Main Rakhu,

Main To Hawaa Ka Jhoka Hu,
Bas Udha Ja Raha Hu Apne Sanam Ki Mohabbat Mein,
Mujhe Khud Ki Khabar Nahi...

[written by romil arora - copyright reserved]

Meri Pyari Bhehan..

Meri Pyari Bhehan,
Aaj Tujhe Wahi Bachpan Ka Pyar Du,
Apni Baahon Ka Tujhe Haar Du,
Wahi Katti-Mitti Takrar Du,
Wahi Sneh, Wahi Dulaar Du,
Aa Meri Pyari, Gudia Se Bhehan,
Tujhe Khushiyoon Ka Aashirwaad Du....




Teri Har Choti Se Choti Zidd Poori Kar Du,
Apne Kandhe Par Baitha Kar Jhula, Jhulah Du,
Teri Naazare Utaru,
Teri Muskaan Par Apni Zindagi Vaar Du,
Aa Meri Pyari, Gudia Se Bhehan,
Tujhe Khushiyoon Ka Aashirwaad Du....

-----*-----
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, August 14, 2008

Manzil...

Jo Paani Hain Manzil Tumko Sanam,
Rasthe Khud-Ba-Khud Banane Honge,
Usmein Mohabbat Ke Phool Khelane Honge,
FHIR CHAHE AANDHI AAYE, TOOFAN AAYE,
KADAM HAR PAL TUMKO BADANE HONGE...
[written by romil arora - copyright reserved]

Dhua..

Tu Chahe Duniya Se Parde Mein Rahe Sanam,

Magar Meri Laash Ka Dhua Tera Naam Aasman Mein Likh Jayega...
[written by romil arora - copyright reserved]

Dil...


Yeh Apna Dil Bhi Bewafa Likala,
Hamare Nahi Yeh Bhi Us Bewafa Ka Likala.
[written by romil arora - copyright reserved]

Bharat...

Yeh Bharat Hai Baada Nirala,

Saare Jag Main Fhela Isse Ka Ujiyala,

Har Kisi Ke Juban Par Hai Isse Ka Naam,

Saare Duniya Kehte Hai, Sabse Ucchi Isse Ki Shaan!
[written by romil arora - copyright reserved]

Mohabbat Ka Samundar...

Yeh Dil Nahi Mera,

Mohabbat Ka Samundar Hai,

Duniya Walon Isme Zehar Mat Daalo,

Poora Shehar Tabah Ho Jayega...
[written by romil arora - copyright reserved]

Haadse....

Haadse Itne Jyada Ho Rahe Hai Mere Shehar Mein,
Khoon Se Akhbaar Chaap Lo Akhbaar Walon...
Itni Siyahi Kahan Se Laoge?
____________
[written by romil arora - copyright reserved]

Vaade...

Socha Nahi Tha Woh Mera Pyar Bhool Jayegi,
Jo Vaade Humne Sang Kiye The Woh Vaade Bhool Jayegi!
[written by romil arora - copyright reserved]

Khabar..

Agar Khabar Hoti Ki Woh Hamari Lash Par Aayenge,
Rab Qasam Kabke Hum Marr Gaye Hote!
[written by romil arora - copyright reserved]

Aansoo

Har Aansoo Ki Apni Ek Kahani Hoti Hai
Kisi Ki Zindagi Khushi Ke Saath, Kisi Ki Gum Ke Naam Hoti Hai!
***
[written by romil arora - copyright reserved]

Qismat...

Yeh Kaynat Itni Baadi Nahi Ki Raj Ki Chahat Poori Na Ho Sake,

Baat To Isme Hai Ki Jab Koi Chahe Nahi To Mulaqat, Fir Kaise Mulaqat Ho Sake.
___________________

Rab Ke Darbar Se Khali Jholi Lekar Nahi Jaunga,
Tujhe Apni Qismat Mein Likhwakar Jaunga!

#Romil

यह क़ायनात इतनी बडी नहीं कि राज की चाहत पूरी ना हो सके...
बात तो इसमें है कि जब कोई चाहे नही तो मुलाकात, फिर कैसे मुलाक़ात हो सके...

रब के दरबार से खाली झोली लेकर नही जाऊँगा,
तुझे अपनी किस्मत में लिखवाकर जाऊँगा...

#रोमिल

Aazmana....

Suraj Ko Kaisa Aazmana,
Woh To Duniya Ko Zindagi Deta Hai,
Apne Liye Andhera Rakh Kar,
Duniya Ko Roshani Deta Hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Jashan Aazadi


Jashan Aazadi Ka Tum Manana,
Magar Mere Saatiyoon Tum Unko Na Bhul Jaana,
Jinhone Is Aazadi Ke Liye Muskurate Hue Maut Ko Gale Lagaya,
Jinhone Har Sukh ko Chod Kar, Dukh Ka Saath Nibhaya...
[written by romil arora - copyright reserved]

Oh Maa, Oh Bharat Maa...

Oh Maa, Oh Bharat Maa,

Tum Janamdaata Hamari,
Tum Palanhaari Hamari,
Aashish Se Tumhari, Chale Jeevan Hamara.

Gyan Dekar, Jeene Ki Raha Humko Seekhaiye,
Kathin Samay Main Satya-Marg Par Chalna Shikhaya,
Aahinsa Ka Paath Tumne Padaya Saath Hi Saath Satru Par Vijay Karna Shikhaya.

Bas Itni Kripya Aur Karna,
Saada Humko Apne Mann Main Rakhana,
Saada Hamare Sar Par Apna Aashish Rakhana!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, August 13, 2008

Zindagi...

Apno Se Bichhadkar,
Yahi Sochata Hu Main,
Ki Pedh Se Tootkar Tehni Ki Zindagi Kya Hai?
__________________
[written by romil arora - copyright reserved]

Apna Na Mila...

Chal Chale Mere Dil Is Shehar Se Door,
Is Shehar Mein Sabse Mulaqat Ho Gai, Magar Koi Apna Na Mila...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tujhe Bhi Gum Ki Talash Thi...

Tujhe Bhi Gum Ki Talash Thi Mere Dil,
Tabhi To Ishq Kar Baitha!
[written by romil arora - copyright reserved]

Pagali...

Mere Aane Ke Intezaar Mein Woh Pagali...
Sindoor Se Maang Apni Bhar Leti Hai...

Tasveer Se Mere Karti Baatein Hai,
Mere Pasand Ke Pakwaan Woh Khoob Banati Hai...

Khoob Saaj-Sringaar Woh Apna Karti Hai,
Saare Mohalle Main Pagali Ban Kar Sabse Kehte Hai....
"Woh Aane Wala Hai, Woh Aayega"

Magar Sab Jante Hai
Jo Is Duniya Se Chala Gaya Hai, Woh Kabhi Nahi Aayega.
Kabhi Nahi Aayega...
[Inspired... Written by romil arora - copyright reserved]

Dushmani...

Haawaon Ne Bhi Mujhse Kaisi Dushmani Nikali,

Jo Tooda Mujhe To Dali Se Zameen Par La Diya...
[written by romil arora - copyright reserved]

Mohabbat Ki Raat....

Gale Lag Ja Aur Jee Bhar Kar Humko Ro Lene De,

Kya Pata Kal Waqt Ho Na Ho,

Aaj Mohabbat Ki Raat Khushnaseeb Ho Lene De...
[written by romil arora - copyright reserved]

saaza mat diya karo...

Yadoon mein nahi haqiqat mein hamare saath raha karo,
Khamosh reh kar dil ki baatein humse mat kara karo,
Kismat BADALNE KA HUNAR JANTE HAI HUM,
HUMSE HAAL-E-DIL KAHA KARO,
Jaan kar bhi humse anjaan bante ho tum,
Mere Sanam...mohabbat ki aisi bhi saaza mat diya karo...
[written by romil arora - copyright reserved]

Khayaal....

Tere Khayalon Mein Hum Sanam,
Teri Rooh Tak Pahuch Jaati Hai...
Magar Jab Tum Saamne Aate Ho,
Bas Muskura Kar Reh Jaate Hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Aarzoo...

Sanam, Aarzoo Hai Ki Apni Baahon Mein Lekar Mujhe Tum Kabr Mein Laitao,
Chahe Mujhe Zehar Ki Kyon Na De Do...
[written by romil arora - copyright reserved]

Aarzoo...

Aarzoo Thi Ki Sanam Ko Dulhan-e-Libash Main Dekhu,

Par Pata Nahi Tha Ki Naseeb Mein Likha Hai,
"Zamana Usko Dekhe aur Hum Na Dekhe"
[written by romil arora - copyright reserved]

Vaade...

Vaade To Hum Lakh Kar Le Tujhse Sanam,
Darr Bas Itna Hai Ki Vaade Ki Ruswaiya Na Ho!
**!**
[written by romil arora - copyright reserved]

aitbaar....

Ek baar to bas hausala kar le,
Tu deedar-e-yaar kar le,
Yunhi kab tak door se aajmata rahega mujhko sanam, 
Kabhi to pass aakar mujhpar thoda sa aitbaar kar le...
Pyar kar le...

[written by romil arora - copyright reserved]

Faisala Manjoor Ho Ya Nahi....

Toofan-e-Darr Ke Haar Jaye Aise Bhi Hum Aashiq Nahi,
Bandagi Bhi Ki Hai Teri Keval Aashiqi Nahi,
Payenge Tujhe Dil Mein Yakeen Yeh Hai,
Fir Chahe Rab Ko Yeh Faisala Manjoor Ho Ya Nahi.
[written by romil arora - copyright reserved]

Dil Ke Kaagaz Par Kya Likhe...

Dil Ke Kaagaz Par Aaj Apni Kahani Likhe,
Bolo Sanam...Tumko Apna Ya Paraya Likhe...

Tumne Jo Dard Diya, Uski Kahani Likhe Ya Jo Pyar Diya Uski Kahani Likhe...
Bolo Sanam...Dil Ke Kaagaz Par Kya Likhe...

Jo Bahaye Aansoo Tumhari Yaadon Mein Woh Likhe Ya Jo Tumko Yaad Kar Karke Hum Muskuraye Woh Likhe....
Bolo Sanam...Dil Ke Kaagaz Par Kya Likhe...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, August 12, 2008

Kabr...

Ek Beghar Ko Ghar Mil Gaya,
Use Kabr Mil Gai!

#Romil

एक बेघर को घर मिल गया,
उसे क़ब्र मिल गई!

#रोमिल

Mere Doston Ka Koi Bharosa Nahi...

Jis Taraf Chalti Hai Haawan,
Udhar Apna Rukh Kar Jaate Hai...
Mere Doston Ka Koi Bharosa nahi...
[written by romil arora - copyright reserved]

Kitne....

Kitne Haadson Ki Numaish Nahi Hoti Akhbaron Mein,
Kitne Dil Toot Jaate Hai, Bina Aansoo Bahaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Yaadon Ka Gharonda ....

Tere Liye Yeh Jahaan Hoga,
Khushiya Ka Tere Zindagi Main Nishan Hoga,
Kuch Na Hoga Hamare Pass,
Bas Tere Yaadon Ka Gharonda Hoga.
[written by romil arora - copyright reserved]