Tuesday, September 30, 2008

*Dil Deta Hain Ro-Ro Duhae*

*Dil Deta Hain Ro-Ro Duhae*


Dil Deta Hain Ro-Ro Duhae
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
~*~
Bade Mahange Padegi Judai
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
~*~
Kise Se Koiye Pyar Na Kare - 2
~*~
Dil Deta Hain Ro Ro Duhae
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
~*~

Bade Mahange Padegi Judao
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
~*~

Koi Samajhe Kise Ko Na Apna
Jootha Nikalega Jeevan Ka Sapna - 2
Gaaun Gaaun Pukaare Sehanaiye - 2
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
~*~
Bade Mahange Padegi Judai
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
~*~
Shej Pe Baithe Roye Sajaaniya
Bha Gaye Sajana Ko Sautaniyaan
Haye Nikala Balam Harajaaye
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
~*~
Bade Mahange Padegi Judai
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
~*~

Pyar Ne Kuch To Paagal Banaya
Aur Kuch Zindagi Ne Bhi Sataya
Khoob Apani Hue Jag Hasaaye
Kise Se Koiye Pyar Na Kare - 2
~*~
Bade Mahange Padegi Judai
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
(not written by me)

~*~ Pyar Mujhse Jo Kiya Tumne To Kya Paaogi ~*~

~*~ Pyar Mujhse Jo Kiya Tumne To Kya Paaogi ~*~

pyar mujhse jo kiya tumne to kya paaogi - 2
mere haalaat ki aandhi mein bikhar jaaogi
~
pyar mujhse jo kiya tumne to kya paaogi
mere haalaat ki aandhi mein bikhar jaaogi
~
ranj aur dard ki basthi ka main baashinda hoon

ye to bas main hoon ke is haal mein bhi zinda hoon
khwaab kyoon dekhoon wo kal jispe main sharminda hoon
main jo sharminda hoon, tum bhi to sharmaaogi
~
pyar mujhse jo kiya tumne to kya paaogi
~
kyon mere saath koi aur pareshaan rahe

meri duniya hai jo weeraan to weeraan rahe
zindagi ka ye safar tum pe to aasaan rahe
humsafar mujhko banaaogi to pachtaaogi
~

pyar mujhse jo kiya tumne to kya paaogi
~
ek main kya abhi aayenge diwaane kitne

abhi goonjenge mohabbat ke taraane kitne
zindagi tumko sunaaegi fasaane kitne
kyoon samajhti ho mujhe bhool nahi paaogi
~
pyar mujhse jo kiya tumne to kya paaogi
mere haalaat ki aandhi mein bikhar jaaogi - 2
(not written by me)

Rakhna Apne Balak Ka Dhyan Maa...


Veenati Karo Manjoor Maa,
Dedo Bhakti Ka Daan Maa,
Tumhare Charno Mein Rahu Mein Hamesha,
Rakhna Apne Balak Ka Dhyan Maa!
~*~
Mahima Teri Badi Nirali,
Tu Hai Sherowali Maa, Jyotawali Maa,
Vishnu, Brahma, Shiv Ji Ne Gurgaan Tera Gaaya Hai!
Tera Deedar Jisne Kiya Maa,
Usne Apna Jeevan Paar Lagaya Hai!
~*~
Mujhe Bhi Do Bhakti Ka Vardaan,
Daya Ab Karo Maa, Rakho Apne Balak Ka Dhyan!
Ho Asha Poori Meri Maa,
Bas Mann Mein Rahe Teri Murat Maa!
~*~
Veenati Karo Manjoor Maa,
Dedo Bhakti Ka Daan Maa,
Tumhare Charno Mein Rahu Mein Hamesha,
Rakhna Apne Balak Ka Dhyan Maa!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Monday, September 29, 2008

~*~ Kyon zindagi ki rah mein ~*~

~*~ Kyon zindagi ki rah mein ~*~
~*~

Kyon zindagi ki rah main majboor ho gaye hum,
Itney hue qareeb k hum door ho gaye.
~*~
Kyon zindagi ki rah main majboor ho gaye hum,
Itney hue qareeb k hum door ho gaye.
~*~

Aisa nahi ki hum ko koyi bhi khushi nahi
Lekin ye zindagi to koyi zindagi nahi - 2
Kyon is k faisley hamein manzoor ho gaye
Itney hue qareeb k hum door ho gaye.
~*~
Kyon zindagi ki rah main majboor ho gaye hum,
Itney hue qareeb k hum door ho gaye,
~*~
Paya tumhein to hum ko laga tum ko kho diya,

Hum dil pe roye, aur ye dil hum pe ro diya - 2
Palkon se khuwab kyon girey, kyon choor ho gaye,
Itney hue qareeb k hum door ho gaye.
~*~
Kyon zindagi ki rah main majboor ho gaye,
Itney hue qareeb k hum door ho gaye!
(not written by me)

Aankh....


Koiye Rishta Nahi Rakha Usne Mere Saath
Fhir Bhi...
Uski Yaad Main, Meri Aankh Bhaari Se Hai,
Meri Naazare Kar Rahe Hai Uska Intezaar
Shayad Zindagi Main Uski Kami Se Hai!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Uske Jaane Ke Baad..


Dafan Kar Do Mujhe,
Ya Fhir Jala Do,
Meri Zindagi Se Uske Jaane Ke Baad,
Nabz Kuch Thami Si Lag Rahe Hai!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Tu Sanam Aa Ja...

Mujhe Fir Rulane Aa Ja,
Mujhe Fir Satane Aa Ja,
Tu Aa Ja Mujhe Barbaad Karne,
Kisi Bhi Bahane Se Tu Sanam Aa Ja!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]


Maut Ka Paigam

Jaana To Use Pehle Bhi Tha,
Magar Is Baar Jaate-Jaate Woh Hum Par Ilzaam Laga Gaya,
Keh Kar Bewafa,
Hamari Maut Ka Paigam Suna Gaya!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Maine Dil Se Kaha, Dhoond Laana Khushi


Maine Dil Se Kaha, Dhoond Laana Khushi
Nasamajh Laya Gum, To Yeh Gum Hi Sahi
~
Maine Dil Se Kaha, Dhoond Laana Khushi
Nasamajh Laya Gum, To Yeh Gum Hi Sahi
~
Maine Dil Se Kaha Dhoond Laana Khushi
Bechaara Kahan Jaanta Tha
Khalish Hai Yeh Kya Khala Hai
Shehar Bhar Ki Khushi Se
Yeh Dard Mera Bhala Hai
Jashna Yeh Raaz Na Aaye
Mazaa Toh Bas Gam Main Aaya Hai
~
Maine Dil Se Kaha, Dhoond Laana Khushi
Nasamajh Laya Gum, To Yeh Gum Hi Sahi
~
Kabhi Hai Ishq Ka Ujaala
Kabhi Hai Maut Ka Andhera
Bataao Kaun Bes Hoga
Main Jogi Banu Ya Lutera
Kayi Chehre Hai Is Dil Ke
Najaane Kaunsa Mera
~
Maine Dil Se Kaha Dhoond Laana Khushi
Nasamajh Laya Gum, To Yeh Gum Hi Sahi
~
Hazaaron Aaise Phaasle The
Jo Tai Karne Chale The
Raahe Magar Chal Padi Thi
Aur Peeche Hum Rah Gaye The
Kadam Do Chaar Chal Paaye
Kiye Phere Tere Mann Ke
~
Maine Dil Se Kaha, Dhoond Laana Khushi
Nasamajh Laya Gum, To Yeh Gum Hi Sahi
~
Maine Dil Se Kaha, Dhoond Laana Khushi
Nasamajh Laya Gum, To Yeh Gum Hi Sahi
(not written by me)

Lehre...

Lehroon Se Ladh-Ladh Kar Thak Gaya Tha,
Mujhe Kinara Chahiye,
Duniya Dosti Ko Kuch Bhi Kahe,
Mujhe To Sahara Chahiye!
 #Romil

लहरों से लड़-लड़कर थक गया था, 
मुझे किनारा चाहिए, 
दुनिया दोस्ती को कुछ भी कहे, 
मुझे तो सहारा चाहिए! 

#रोमिल

Sunday, September 28, 2008

Yeh Sila Milta Hai....

Meri Wafao Ka Mujhe Yeh Sila Milta Hai,
Hamesha Tanhaiyoon Ka Saath Milta Hai!
*~*
WOH KEHTI HAI MUJHSE
KHUDA KE LIYE...
MERA NAAM BHOOL JAYO,
MERI TASVEER JALA DO,
MUJHE KYON HAMESHA INTEZAAR KA YEH SILA MILTA HAI!
*~*
Dil Ne Uska Naam Khud Mere Naam Se Joda Hai,
Jab Tak Maut Nahi Aati, Zindagi Bhar Isse Naam Ke Sahare Jee Lunga,
Shayad Meri Duaon Ka Asar Mujhe Bas Itna Milta Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Eid Mubarak...




Naaz..Kitne Eidain Beeth Gaye,
Tera Intezaar Karte-Karte,
Ab Na Tarfa Rabb Ke Liye,
Dekh Eid Fhir Aa Gaye,
Tu Aa Ja Mujhse Milane Ke Liye!
[written by romil arora - copyright reserved]

kala....

Dukh main sukh ke deep jalana kala hoti hai,
Dil main ho gum, hoonton par khushi rakhana kala hoti hai,
Apna dard to sabhi jee laite hai,
Dusaron ka dard batana kala hoti hai!
[written by romil arora - copyright reserved]


Saturday, September 27, 2008

mohabbat....

Jis tarah mohabbat ki thi maine usse yaaron,
mere jaane ke baad,
woh diwani,
sabse kehte hai mujhse mohabbat karo to
us jaane wale ki tarah!
[inspired... written by romil arora - copyright reserved]

Salaam...




Socha Sanam Akhiri Tujhe Salaam Kaise Bhejhu,
Ghar Ka Pata Nahi, Yeh Gulab Tujhe Kaise Bhejhu!
~
Baaharon Ko Main Kis Ka Pata Batau,
Khushiyoon Ko Main, Darwaze Kiske Bhejhu!
~
Raat Bhar Tu Roshan Rahe Chiraago Se,
Chand Ko Ghar Tere, Main Kaise Bhejhu!
~
Ab Ho Raha Hu Main Is Duniya Se Alvida,
Tujhe Apni Maut Ka Paigam Kaise Bhejhu!
~
Socha Sanam Akhiri Tujhe Salaam Kaise Bhejhu,
Ghar Ka Pata Nahi, Yeh Gulab Tujhe Kaise Bhejhu!
[written by romil arora - copyright reserved]

Hum Bhool Gaye Re Har Baat Magar Tera Pyaar Nahi Bhoole


"Hum Bhool Gaye Re Har Baat Magar Tera Pyaar Nahi Bhoole"

~
Hum Bhool Gaye Re Har Baat Magar Tera Pyaar Nahi Bhoole
Kyaa Kyaa Hua Dil Ke Saath - 2 Magar Tera Pyaar Nahi Bhoole
Hum Bhool Gaye Re Har Baat Magar Tera Pyaar Nahi Bhoole.
~
Duniya Se Shikayat Kya Karate Jab Tune Hame Samaja Hi Nahi - 2
Gairoko Bhala Kya Samajate Jab Apanon Ne Samaja Nahi
Tune Chhod Diya Re Mera Haath - 2 Magar Tera Pyar Nahi Bhoole
Kyaa Kyaa Hua Dil Ke Sath - 2 Magar Tera Pyar Nahi Bhoole
Hum Bhool Gaye Re Har Baat Magar Tera Pyar Nahi Bhoole.
~
Kasame Khakar Wade Tode Hum Phir Bhi Tujhe Naa Bhool Sake - 2
Zoole To Pade Bagon Mein Magar Hum Bin Tere Na Zool Sake
Sawan Mein Jale Re Din Raat - 2 Magar Tera Pyar Nahi Bhoole
Kyaa Kyaa Hua Dil Ke Sath - 2 Magar Tera Pyar Nahi Bhoole
Hum Bhool Gaye Re Har Baat Magar Tera Pyar Nahi Bhoole.
(not written by me)

Monday, September 22, 2008

*DHOKA*

*DHOKA*

Sab Apne Ban Kar Mujhe Dhoka Dete Hain,
Ek Chehare Ke Peeche, Haazar Chehare Hote Hain!
!*!
Uske Saath Mohabbat Main Humne Kya-Kya Khawab Sajaye The,
Har Gum Ko Bhul Kar, Khushi Ke Phool Khelaye The,
Magar Kya Pata Tha,
Yeh Khawab Apne Sab Paraye The,
Usne To Bas Chehare Par Chehare Lagaye The!
Naam Par Naye Naam Sajaye The!
!*!
Har Khawab,
Har Manjar,
Har Waafa Ki Umeed Bhikhar Gaye Hai,
Jisse Tooth Kar Chaha Humne,
Usse Ne Dhoka Diya,
Ab To Rabb Se Bhi Aas Toot Gaye Hai!
!*!
Na Kisi Se Shikhwa Na Gila Hai,
Bas Dukh Is Baat Ka Hai,
Sab Apne Ban Kar Mujhe Dhoka Dete Hain,
Ek Chehare Ke Peeche, Haazar Chehare Hote Hain!
!*!

[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Sab Naseebo Ka Khel Hai...

Sab Naseebo Ka Khel Hai,
Sab Naseebo Ki Hai Baatein,
Koi Kisi Ki Yaad Mein Marr Jaata Hai,
Aur Kisi Ko Yaad Hi Nahi Aati!

[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Jee To Lete Hum Tanha Zindagi

Paa To Sakte The Hum Zindagi Ki Har Khushi,
Magar Tanhaiyoon Se Hamara Rishta Kuch Khaas Tha,
Jee To Lete Hum Tanha Zindagi,
Magar Teri Kami Ka Ehsaas Tha!
***
[written by romil arora - copyright reserved]

khayal....

Jab thandi haawan koi geet sunayegi,
Jab tumhari zulfein lehrayengi,
Tab tum aankhein band karna
aur so jaana,
Hum fhir khayalon mein aayenge, tumko satayenge.
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Saturday, September 20, 2008

Main....



!*!Main Roz Naye Gum Se Milata Hu,
Jab Tak Gum-e-Shama Nahi Hoti, Tab Tak Main Roshan Nahi Hota Hu!*!
~
!*!Main To Bas Tanhaiyoon Main Us Chand Ko Dekha Karta Hu,
Fhir Na Jaane Kyon, Khud Par Muskurakar Rota Hu!*!
~
!*!Ek Aaina Thi Tere Aankhen,
Jisme Main, Apna Deedar Hamesha Karta Tha,
Jab Aaina Bewafa Ho Gaya,
Bas Ab Hamesha Naaqab Main Rehta Hu!*!
[written by romil arora - copyright reserved]

zindagi ....

Yeh zindagi nahi jaise koi laash ho,
tair raha hu main is zindagi-e-samundar mein!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Rehamdili...

Badi Rehamdili Humse Yeh Dard Dikhata Hai,
Bin Bulaye Hi Mujhse Milne Chala Aata Hai!
*****
[written by romil arora - copyright reserved]

Uski Bewafai To Bas Ek Naya Bahana Tha...

Khud Ko Dard Dene Ka Shauq Hai Mujhe,
Uski Bewafai To Bas Ek Naya Bahana Tha!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, September 19, 2008

Tanhai Se To Hamara...

Tanhai Se To Hamara Bachpan Ka Naata Hai,
Fir Na Jaane Kyon Uske Jaane Ke 
Baad Hum Akele Ho Gaye Hai!

[written by romil arora - copyright reserved]

Hamara Udas Chehra Jo Aapne Dekha...

!*!Hamara Udas Chehra Jo Aapne Dekha,
Bhar Aaye Aapki Aankhon Mein Aansoo,
Agar Aapne Yeh Dil Ka Haal Dekha Hota,
To Na Jaane Aapka Kya Haal Hota!*!

#Romil

हमारा उदास चेहरा जो आपने देखा, 
भर आए आपकी आंखों में आंसू, 
अगर आपने यह दिल का हाल देखा होता, 
तो न जाने आपका क्या हाल होता...

#रोमिल

Thursday, September 18, 2008

Yaad

Yaad Aai Teri Zulfon Ki Ghani Shaam,
Jab Dhoop Mein Guzra Main Aur Sar Par Koi Saaya Bhi Nahi Tha!

#Romil

याद आई तेरी जुल्फों की घनी शाम 
जब धूप में गुजरा मैं और सर पर कोई साया भी नहीं था! 

#रोमिल

Kismat...

Bhool Kar Bhi Bhool Nahi Sakte Tumko,
Aur Ek Kismat Bhi Apni Aaise Hai,
Pa Bhi Nahi Sakte Tumko...

#Romil
__________________

भूलकर भी भूल नहीं सकते तुमको
और एक किस्मत भी अपनी ऐसी है
पा भी नहीं सकते तुमको...

#"रोमिल

Intezaar...

Tera Intezaar Hum Aur Karte Sitamgar,
Agar Hamari Zindagi Hamara Aur Intezaar Karti!

#Romil

तेरा इंतजार हम और करते सितमगर, 
अगर हमारी जिंदगी हमारा और इंतजार करती...

#रोमिल

Naazaron...



Meri Naazaron Main Mat Dekhana Sanam,
Jo Isme Duboge To Fhir Na Ubhar Payoge,
Agar Saath Chudana Bhi Chahoge,
To Saath Na Chuda Payoge!
[written by romil arora - copyright reserved]

Chand...

Ae Chand Tune Bhi Kaisi Saaza Pap Hai,
Mohabbat Karne Wale Chale Jaate Hai Bandh Kamron Mein
Aur Tu Bhatakta Rehta Hai,
Hum Jaise Tanha Logon Ke Saath!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, September 17, 2008

Mujhe Pata Nahi Chala...


Woh Ho Gaya Gair Ka Mujhe Pata Nahi Chala,
Kis Tarah Khaya Hain Maine Dhoka,
Mujhe Pata Nahi Chala...
Kab Chut Gaye Haanth, Baaton Hi Baaton Main,
Mujhe Pata Nahi Chala...
Kis Tarah Bheeg Gaye Meri Aankhen,
Aansoo Main,
Mujhe Pata Nahi Chala...
[written by romil arora - copyright reserved]

Apne Pyar Ki Aadat Daal Ke...

Saare Mere Sapno Ko Haqeeqat Dikha Ke,
Umar Bhar Ke Sapne Sajaa Ke,
Woh Chhod Gaya Mujhe Tanha,
Apne Pyar Ki Aadat Daal Ke...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, September 16, 2008

modh...


~*~Aab is modh pe laye hai zindagi mujhko,
woh aa bhi jaye meri zindagi main to aaye na karna pyar mujhko~*~
[written by romil arora - copyright reserved]

kyon

Woh khush hai apne faisale se Khuda,
fhir humko gum kyon hai?
Hum to hamesha yahi chahte the ki woh zindagi bhar chain ki neend soye,
fhir hamari aankhen neend se door kyon hai?
_________
[written by romil arora - copyright reserved]

Mera Kafan Kar De...

Ya Khuda, Usne To Mujhe Apne Dil Se Juda Kar Diya,
Ab Tu Bhi Mujhe Is Duniya Se Juda Kar De,
Use Bhoolne Ki Dua, Agar Main Kabhi Tujhse Karu To,
Mere Dua Ko Mera Kafan Kar De!
!***!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tu Sanam Mujhe Zara Bata!

Kaise Ho Jayun Tere Qaid Se Azaad,

Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
Parinde Ke Pairon Se Kaise Bediya Toote,
Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
Suraj Nahi Ugta Hai, 
Tere Deedar Ke Liye Meri Aankhein Khulti Hai,
Kaise Suraj Ughe,
Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
Teri Mohabbat Mein Jo Phighal Kar Mera Dil Pani Ho Gaya Hai,
Fhir Kaise Woh Pathar Bane,
Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
Aaj To Raatein Teri Yaad Mein Roshan Lagti Hai,
Kal Wahi Tanha Ho Jayegi,
Kaise Tanhai Mein Khud Ko Jeene Du,
Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
Shama Ke Pehlu Mein Parwana Marta Hai,
Bina Shama Ke Kaise Parwana Marr Jaye,
Tu Sanam Mujhe Zara Bata!
!*!
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, September 14, 2008

Jo Kuch Bhi Karo Shyam Tum Karo


Chahe Aabad Karo,
Chahe Barbad Karo,
Jo Kuch Bhi Karo, Shyam Tum Karo!
~*~
Chahe Sukh Do,
Chahe Dukh Do,
Jo Kuch Bhi Do, Shyam Tum Do!

~*~
Chahe Yahaan Rakkho,
Chahe Wahan Rakkho,
Jahan Bhi Rakkho, Bas Shyam Apni Nazron Ke Saamne Rakkho!
~*~
Jeevan Do,
Chahe Jeevan Lo,
Jo Kuch Bhi Karo, Shyam Tum Karo!
~*~
Jo Ho Tumhari Marzi,
Shyam Tum Wohi Karo,
Sab Kuch Tumko Samarpith Hai,
Bas Prathana Itni Hai,
Jo Kuch Bhi Karo, Shyam Tum Karo!
[written by romil arora - copyright reserved]

Main Use Apne Rab Ki Rehmat Kehta Hu...

Duniya-e-Jahan, 
Jo Meri Mohabbat Ko Kehti Hai Mera Pagalpan,
Main Use Apne Rab Ki Rehmat Kehta Hu!
~~~
[written by romil arora - copyright reserved]

Ehsaas...

Tere Ehsaason Mein Kuch Is Kadar Khoya Rehta Hu
Ki Khud Ki Takleefon Ka Mujhe Ehsaas Nahi Hota,
Dushmano Ko Muskurate Hue Kehte,
Suna Hai Maine,
Ki Main Talkeef Mein Rehta Hu!
_____________________
[written by romil arora - copyright reserved]

Deedar...

Meri Nazaron Mein Jo Tumhare Deedar Ki Tadap Hai Use Kaise Dushman-e-Duniya Se Chupayun...

Kya Kabhi Dulhan Ki Mehandi Se Saje Haanton Ko Chupaya Ja Sakta Hai!
###
[written by romil arora - copyright reserved]

tasveer...

Rait par mehboob ki tasveer kyon banate ho,
Haawaon se kyon dushmani karte ho!
!*!
[written by romil arora - copyright reserved]

Deedar

Mujhe Yeh Mehsus Hota Hai Aksar,
Tu Mera Deedar Kar Raha Hai, Badalon Ke Beech Se!
_______________
[written by romil arora - copyright reserved]

Deedar...

Sochate Hai Ki Hum Marr Jaye,
Shayad Apni Mayyat Par Hi Unka Deedar Ho Jaye!
***
[written by romil arora - copyright reserved]

Bin Tere Kya Hai Jeena

!*!Bin Tere Kya Hai Jeena!*!

bin tere kya hai jeena - 2
mere dil ki raani tum
meri khushiyon ka mausam
mere khwaabon ki taaviz
mere sapanon ki tasveer
bin tere kaisi aas
woh jeet ho ya haar
tere sang hai sab kuchh
tu na ho toh bekaar
bin tere kya hai jeena - 2
!*!
suni khaali raaten
ruthi feeki baaten
har aahat pe chaaukun
tujhko harsu dekhu
tujhko hardam sochu
tujhko har pal chahu
tere bin toh jeevan mera hai intezaar
bin tere kya hai jeena - 2
!*!

tere saath jiye jo pal
kuchh unse nahi badhkar
tere khaatir saans main loon
teri khaatir jeeta hoon
marne ki tamanna bhi
tere saath main rakhta hoon
tu hai jeene ki wajah
kar mera aitbaar
bin tere kya hai jeena...

(not written by me)

~Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam~



~Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam~


Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam
Teri yaad jo aati hai mere aansoo behte hain
Apna to
milan hoga pal pal ye kehte hain
Kya ye zindagaani hai bas teri kahaani hai
Bas teri kahaani hai ye jo zindagaani hai
~

Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam
~

Teri vo baatein vo chaahat ki rasmein
Jhoothe thay vaade kya jhoothi thi kasmein
Jaane tamanna kya ye sach hai bas itna keh de
Toot jaayein na lamhe aitbaar ke
De koi sila mere intezaar ka
~

Chaaha hai tujhko chaahoongi har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam
~

Teri hoon teri jo chaahe kasam le le
Mujhko humrahi tu apne gam de de
Saari umar hai mujhko dard judaai ka sehna
Raaste mein khoyi hai manzil meri
Mere saath jayengi mushkilein meri
~

Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam
~

Tu saamne hai mere phir kyon ye doori hai
Tujhe kaise bataoon main hay kya majboori hai
Ye bhi koi jeena hai sirf aansoo peena hai
Sirf aansoo peena hai ye bhi koi jeena hai.

(not written by me)

mere nasib mein aye dost teraa pyaar nahi

~mere nasib mein aye dost teraa pyaar nahi~

khiza ke phool pe, aati kabhi bahaar nahi
mere nasib mein aye dost tera pyar nahi
mere nasib mein aye dost tera pyar nahi...

~
na jaane pyar mein kab main, zubaan se fir jao
main ban ke aansoo khud apni nazar se gir jao
tere kasam hain mera koe, ayetabaar nahi
mere nasib mein aye dost tera pyar nahi...

~
main roz lab pe naye yek aah takata hoon
main roz yek naye gum ke raah takata hoon
kise khushi ka mere dil ko intezaar nahi
mere nasib mein aye dost tera pyar nahi...

~
gareeb kaise mohabbat kare ameeron se
bichhad gaye hain kae raanjhe, apne hiron se
kise ko apne muqaddar pe ikhtiyaar nahi
mere nasib mein aye dost tera pyar nahi...
~
khiza ke phool pe, aati kabhi bahaar nahi
mere nasib mein aye dost tera pyar nahi...
(not written by me)

Saturday, September 13, 2008

God Bana Margdharshak....




God Bana Margdharshak,
Baachi Ko Samjhane,
Usse Panchi Ka Jeevan Batlane,
Uske Mann Main Pyar Ki Jyoti Jalane!

God Ne Kahan...
Panchi Ki Tarah Apni Udaan Bharo,
Panchi Ki Tarah Rang-Berange Rang Apne Jeevan Main Bharo,
Panchi Ki Tarah Chichiha Kar Muskurao,
Zakhm, Dard Sabko Bhul Kar, Udane Ki Hamesha Umeed Karo,
Duniya-E-Pinjada Lakh Tumhe Ladki Samaj Kar Roke,
Tum Har Pinjara, Har Duniya Ki Bediya Toodh Kar Udho!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Mujhe Aisa Vardan De...




~*~Mere Waheguru~*~

Dena Hai To Mujhe Aisa Vardan De...

"Saada Sach Bolu"
"Saada Sachai Ke Raste Par Chalu"
"Saada Imandar Rahu"
"Saada Tera Gurgan Karu"
"Saada Dusaron Ki Madad Karu"
"Jarurat Se Jyada Kisi Bhi Vastu Ka Upyog Na Karu"
[written by romil arora - copyright reserved]

Meri Majbooriyon...

Meri Majbooriyon Ne Usko Sataya Hoga,
Baat-Baat Par, Usko Rulaya Hoga!
^*^
Baat-Baat Par Aankh Uski Jhalki Hogi,
Chehare Ko Haathon Se Chupaya Hoga!
^*^
Raat Ke Bheetne Tak Neend Na Aai Hogi,
Chadar Mein Chehare Ko Chupaya Hoga!
^*^
Hokar Mazboor, Yaadon Mein Meri,
Meri Tasveer Ko Seene Se Lagaya Hoga!
^*^
Meri Majbooriyon Ne Usko Sataya Hoga,
Baat-Baat Par, Usko Rulaya Hoga!
[written by romil arora - copyright reserved]

Aarzoo...


Zamane Ne Mera Saath Choda,
Har Kadam Par Mera Vishwas Thoda,
Tum Bhi Na Saath Chod Dena,
Vishwas Na Mera Thod Dena,
Bas Yahi Aarzoo...Yahi Tamanna...Yahi Eltija Hai Tumse!
[written by romil arora - copyright reserved]

Main ek phool banna chahta hu...

Main ek phool banna chahta hu,
jo zindagi bhar teri bahon mein lipti kitab mein rehna chahta hu!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, September 12, 2008

Hum Intezaar Karte Hai!

~*~ Hum Intezaar Karte Hai~*~

Tumhare Haanton Ka Haar, Hamari Baahon Main Hoga,
Hum Intezaar Karte Hai!
~
Tumhari Zulfon Se Hum Khelenge,
Hum Intezaar Karte Hai!
~
Tere Seene Par Sar Rakh Kar Hum Soyenge,
Hum Intezaar Karte Hai!
~
Raat Bhar Karenge Pyari-Pyari Baatein,
Hum Intezaar Karte Hai!
~
Tumko Apna Banana, Zindagi Saath Beetana,
Aaise Palon Ka Hum Intezaar Karte Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

dosti..


Abhi kahan tumko yeh ehsaas hai
mujhse dushmani karne walon,
meri maut ke baad hi tumko yeh ehsaas hoga,
main kitna aacha dost tha tumhare dosti ke liye!
[written by romil arora - copyright reserved]

Raatein...


Sheetal
Raatein Hai,

Hamari
Baahon Main Aao,

Apne
Shoolon Se Badan Se

Humko Jalao!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Main woh phool tha...

Main woh phool tha jise pairon se raunda jaana tha,
Magar usne mujhe apni zulf mein sajaa liya!
[written by romil arora - copyright reserved]

Kal ki raat....



Kal ki raat qayamat se guzare....

Jo fasaale banate the, woh pighal gaye baahon main hamari!

Jo ehsaaso main jeete the, woh lipath gaye jism main hamari!

Jo daaman chudane ki baatein karte the, woh khud simat gaye daaman main hamari!

*******
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, September 11, 2008

Sach Keh Raha Hai Deewana Dil



Sach Keh Raha Hai Deewana Dil

(Sach keh raha hai deewana dil
Dil na kisi se lagaana) - 2
Jhoothe hai yaar ke vaade saare
Jhoothi hai pyaar ki kasmein
Maine har lamha jisse chaaha, jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
Toda toda, tanha tanha chhoda
~*~

Sach keh raha hai deewana dil
Dil na kisi se lagaana
Jhoothe hai yaar ke vaade saare
Jhoothi hai pyaar ki kasmein
Maine har lamha jisse chaaha, jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
Toda toda, tanha tanha chhoda
~*~

Sundar sundar voh haseena badi
Sundar sundar main to khone laga
Uske nashe mein bin piye baheka, aah
Sundar sundar voh haseena badi
Sundar sundar main to khone laga
Uske nashe mein bin piye baheka
Ek din usse bhoola doonga main
Uske nishaan mita doonga main
Chaahoonga na main us patthar ko
Jaa usse bata de

~*~
Oh, sach keh raha hai deewana dil
Dil na kisi se lagaana
Jhoothe hai yaar ke vaade saare
Jhoothi hai pyaar ki kasmein
Maine har lamha jisse chaaha,
jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
(La lai lai lai lai la le
La lai lai lai lai la) - 2
Maine har lamha jisse chaaha, jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
Toda toda, tanha tanha chhoda

~*~
Mausam mausam tha suhaana bada
Mausam mausam maine dekha usse
Hua main paagal bas pal bhar mein,
aah Mausam mausam tha suhaana bada
Mausam mausam maine dekha usse
Hua main paagal bas pal bhar mein
Aake basi hai voh mere mann mein
Uski kami hai ab jeevan mein
Voh door hai meri nazron se
Kyoon usse main chaahoon
Oh, sach keh raha hai deewana dil
Dil na kisi se lagaana
Jhoothe hai yaar ke vaade saare
Jhoothi hai pyaar ki kasmein
Maine har lamha jisse chaaha,
jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
Toda toda, tanha tanha chhoda
(not written by me)

Ashirwaad

Muskurane Ka Ashirwaad Diya Hai Tujhe,
Hamare Ashirwad Ki Laaj Rakhna,
Hamesha Muskurate Rehna!
Jab Kabhi Bhi Hamara Janaza Nikle,
Rona Mat,
Bas Muskura Ke Humko Vida Karna!
[written by romil arora - copyright reserved]

Kasme Wade Pyar Wafa


Kasme Wade Pyar Wafa


Koyi kisi ka nahi ye jhoothhe,
Naate hain naato ka kya
Kasme waade pyaar wafaa sab,
Baatein hain baato ka kya

-

Hoga masiha ...
Hoga masiha saamne tere,
Phir bhi na tu bach paayega
Tera apna?
Tera apna khoon hi aakhir tujhko aag lagaayega
Aasmaan mein ...
Aasmaan me udne waale mitti mein mil jaayega
Kasme waade pyaar wafaa sab, baatein hain baato ka kya

-

Sukh mein tere ...
Sukh mein tere saath chalenge,
Dukh mein sab mukh modenge
Duniya waale ...
Duniya waale tere bankar tera hi dil todenge
Dete hain ...
Dete hain bhagwaan ko dhokha,
Insaan ko kya chhodenge
Kasme waade pyaar wafaa sab,
Baatein hain baato ka kya
(not written by me)