*DHOKA*
Sab Apne Ban Kar Mujhe Dhoka Dete Hain,
Ek Chehare Ke Peeche, Haazar Chehare Hote Hain!
!*!
Uske Saath Mohabbat Main Humne Kya-Kya Khawab Sajaye The,
Har Gum Ko Bhul Kar, Khushi Ke Phool Khelaye The,
Magar Kya Pata Tha,
Yeh Khawab Apne Sab Paraye The,
Usne To Bas Chehare Par Chehare Lagaye The!
Naam Par Naye Naam Sajaye The!
!*!
Har Khawab,
Har Manjar,
Har Waafa Ki Umeed Bhikhar Gaye Hai,
Jisse Tooth Kar Chaha Humne,
Usse Ne Dhoka Diya,
Ab To Rabb Se Bhi Aas Toot Gaye Hai!
!*!
Na Kisi Se Shikhwa Na Gila Hai,
Bas Dukh Is Baat Ka Hai,
Sab Apne Ban Kar Mujhe Dhoka Dete Hain,
Ek Chehare Ke Peeche, Haazar Chehare Hote Hain!
!*!
!*!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]
No comments:
Post a Comment