Na Meri Koi Jaat Hai,
Na Mera Koi Dharm Hai,
Na Main Koi Rishte Mein Bandhata Hu!
~~~
Main Hoon Woh
Jo Majdoor Ke Paseene Mein Rehta Hu!
Main Hoon Woh
Jo Logon Ke Dhukhon-Sukhon Mein Saath Rehta Hu!
Main Hoon Woh
Jo Mandir, Masjid, Gurudware, Church, Is Duniya Ke Karn-Karn Mein Rehta Hu!
Main Hoon Woh
Jo Pyar, Satya, Aahinsha, Shanti, Vishwas Mein Rehta Hu!
Main Hoon Woh
Jo Khet Ki Hariyali Ke Saath Lehrata Hu,
Pawan Ke Saath Dolta Hu,
Suraj Ki Kirano Mein Tej Bankar Rehta Hu,
Chand Ki Chandani Ki Sheetala Mein Rehta Hu,
Phool Ki Khushboo Mein Rehta Hu!
Main Hoon Woh
Jo Karmo Ke Hisab Par Naseeb Likhta Hu!
Main Hoon Woh
Jisse Jeevan, Mrityun Hai!
Main Hoon Woh
Log Jise Bhagwan, Rab, Allah, Jesus, Waheguru aur Hazaron Naam Se Jaante Hai!
~~~
Na Meri Koi Jaat Hai,
Na Mera Koi Dharm Hai,
Na Main Koi Rishte Mein Bandhata Hu!
[written by romil arora - copyright reserved]
No comments:
Post a Comment