deewar par laataki hue badsurat tasveer par haans lo
aaye duniya walon tum meri taqdeer par haans lo
दीवार पर लटकी हुई बदसूरत तस्वीर पर हंस लो
ए दुनिया वालों तुम मेरी तकदीर पर हंस लो...
================================
dhoka khana to meri aadat hai
tum meri jhuti muskurahat par haans lo
aaye duniya walon tum meri taqdeer par haans lo
धोखा खाना तो मेरी आदत है
तुम मेरी झूठी मुस्कुराहट पर हंस लो
ए दुनिया वालो तुम मेरी तकदीर पर हंस लो...
================================
aashiana banana to mera khawab tha
tum mere khawabon ki numaish par haans lo
aaye duniya walon tum meri taqdeer par haans lo
आशियाना बनाना तो मेरा ख्वाब था
तुम मेरे ख्वाबों की नुमाइश पर हंस लो
ए दुनिया वालो तुम मेरी तकदीर पर हंस लो...
================================
apne yaar ke vaadon par main aaj bhi yakeen karta hu
tum mere vaadon ki zanjeer par haans lo
aaye duniya walon tum meri taqdeer par haans lo
अपने यार के वादों पर मैं आज भी यकीन करता हूं
तुम मेरे वादों की जंजीर पर हंस लो
ए दुनिया वालो तुम मेरी तकदीर पर हंस लो...
================================
apne yaar ko main rab samjha karta hu
tum meri ebaadat par haans lo
aaye duniya walon tum meri taqdeer par haans lo
अपने यार को मैं रब समझा करता हूं
तुम मेरी इबादत पर हंस लो
ए दुनिया वालो तुम मेरी तकदीर पर हंस लो...
================================
#Romil
#रोमिल
No comments:
Post a Comment