Sunday, November 9, 2008

mera rabb mujhe dikha aaj...

fhir ibadaton ke silsile suru ho gaye,
fhir duaon ka daur suru ho gaya,
mera rabb mujhe dikha aaj
fhir umeedon ke phool khilne suru ho gaye!
***
kyon nahi dikhta koi aur is jahan mein,
kyon rab dikha mujhe ek insaan mein,
sajde ke silsile suru ho gaye,
mera rab mujhe dikha aaj
fhir umeedon ke phool khilne suru ho gaye!
***
na mujhe yeh duniya chahiye,
na mujhe yeh chand, sitare chahiye,
mera rabb mujhe de do,
mujhe bas mera rabb chahiye,
fhir fariyadon ke din suru ho gaye,
mera rabb mujhe dikha aaj
fhir umeedon ke phool khilne suru ho gaye!

#Romil

फिर इबादतों के सिलसिले शुरू हो गए, 
फिर दुआओं का दौर शुरू हो गया, 
मेरा रब मुझे दिखा आज 
फिर उम्मीदों के फूल खिलने शुरू हो गए! 

क्यों नहीं दिखता कोई और इस जहां में, 
क्यों रब दिखा मुझे एक इंसान में, 
सजदे के सिलसिले शुरू हो गए, 
मेरा रब मुझे दिखा आज
फिर उम्मीदों के फूल खिलने शुरू हो जाए!

ना मुझे यह दुनिया चाहिए, 
ना मुझे यह चांद, सितारे चाहिए 
मेरा रब मुझे दे दो, 
मुझे बस मेरा रब चाहिए, 
फिर फरियादों के दिन शुरू हो गए, 
मेरा रब मुझे दिखा आज 
फिर उम्मीदों के फूल खिलने शुरू हो गए...

#रोमिल

1 comment:

Anonymous said...

zindgi Jab Bhi Teri Panaho Main Ho,

Khuda Se Aarj Hai, Sada Wo, Teri Baho Main Ho|

Gam Kise Kahtey Hai, Ye Na Jane Tu,

Kamyabi Is Kadar, Teri Raho Main Ho

Khuda Se Main To Bas, Itani Aarj Karti Hoo,

Umra Bhar Tu, Khuda Ki Panaho Main Ho