Wednesday, November 5, 2008

Yeh to rabb ko hi hai pata.....

Kyon do dil milate hai
Kyon do dil tooth jaate hai
Kyon do pyar karne wale juda ho jaate hai
Mujhe nahi pata
Yeh to rabb ko hi hai pata!
~
Jisko chaho duniya main sabse jyada
woh kyon nahi haasil hota
Mohabbat ka dard yeh kaisa hota hai
ki jeena bhi muskil hota hai
Aansoo hi behate rehte hai aankhon se
aur muskurana namumkin hota hai
Mujhe nahi pata
Yeh to rabb ko hi hai pata!

~
Kyon rabb ka banda thokar khata rehta hai
Na jaane kyon garibon ka ghar jaala diya jaata hai
Buukhe baachon ki cheekhe kisi ko nahi sunaiye daite
Toothi hue jhopadi dekhaye nahi daite
Kyon sacchai ko ek maazak bana diya jaata hai
Mazboori par kyon yeh duniya haasati hai
Kyon gunehghar banda khushi ke saath jeeta rehta hai
Mujhe nahi pata
Yeh to rabb ko hi hai pata!
Yeh to rabb ko hi hai pata!

~
Rishtoon ke jhoote libhas insaan kyon pehne rehta hai,
Juban par meethi boli aur mann main zehar chupaye rehta hai,
Khud ko dharam main baatata rehta hai aur
Insaniyat kyon bhul jaata hai
Mujhe nahi pata
Yeh to rabb ko hi hai pata

Wohi sab janta hai!
Mujhe nahi pata
Yeh to rabb ko hi hai pata!
~
Kyon zindagi ek khel naazar aati hai,
Geeta, Quran, Bible, Gurughant ki baatein sab jhoot naazar aati hai,
Kyon suraj ke rehte chaaron taraf phela hai andhera ghana,
Kyon daulat ki duniya main mohabbat beek jaati hai.
Mujhe nahi pata
Yeh to rabb ko hi hai pata
Yeh to rabb ko hi hai pata
Yeh to
Rabb ko hi hai pata!
[written by romil arora - copyright reserved]