Saturday, January 31, 2009

bachpan ki mohabbat ko...


bachpan ki mohabbat ko mann se juda kabhi mat karna
meri yaadon ko sanjo kar rakhana...
~
chandani raaton main chand main mera mukhada dekhana
haawaon ke saath mujhko sandesha bhejana
jab aaye kisi ke aane ki aahat
dil ko samjhana, mera khawab samajhana
bachpan ki mohabbat ko mann se juda kabhi mat karna
meri yaadon ko sanjo kar rakhana...
~
fariyaad bas itni hain apna khayal rakhana
kabhi aankhon ko narm mat karna
hoonton par saada muskaan rakhana
bachpan ki mohabbat ko mann se juda kabhi mat karna
meri yaadon ko sanjo kar rakhana...
[written by romil arora - copyright reserved]

1 comment:

Anonymous said...

(main jahaan rahoon
main kahin bhi hoon
teri yaad saaath hai)

kisi se kahoon
ke nahi kahoon
yeh jo dil ki baat hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saaath hai
main jahaan rahoon
main kahin bhi hoon
teri yaad saaath hai

kahin to dil mein yaadon ki
ek suli gad jaati hai
kahin har ek tasveer bhahut hi dhondhali pad jati hai
koi nayi duniya ke naye rango mein khush rehta hai
koi sab kuch paake bhi yeh mann hi mann kehta hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saaath hai

kahin to beete kal ki jadein
dil mein hi utar jaati hai
kahin jo dhage tute to malaayen bhikar jaati
koi dil mein jagah nayi, baaton ke liye rakhta hai
koi apni palko par yaadon ke diye rakhta hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saaath hai...
143