Tuesday, January 27, 2009

kaise kahu ki zindagi kya hai...

kaise kahu ki zindagi kya hai
behti hui nadi ki tarah hai
puche maajhi se tera pata kya hai
aaya tu kahan se
jaana tujhe kahan hai
kaise kahu ki zindagi kya hai...
kaise kahu ki zindagi kya hai
behti hui hawaa ki tarah hai
puche toote hue patte se tera theekana kahan hai
aaya tu kahan se
jaana tujhe kahan hai
kaise kahu ki zindagi kya hai...
kaise kahu ki zindagi kya hai
ek anjaan rasta hai 
puche musafir se tera pata kya hai
aaya tu kahan se
jaana tujhe kahan hai
kaise kahu ki zindagi kya hai
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: